Zindagi naatak ki kitaab si lagti hai..
Har kahani ke panne pe kirdar badal jata
hai..
Har kirdar ka apna mehtva hai..
Kahin pe alfaaz rula gaye, kahin pe shabad
hansa gaye..
Kahin pe toh main khamosh si reh gayi..
Samundar ki lehron ki tarah uchhal
uchhalte badti gayi..
Kabhi kinare se takrai toh kabhi dusri
lehr se jud si gayi..
Umar ki ginti bas badti gayi..
Ab naa woh bachpan raha,
Naa woh shauk aur chanchalta..
Bas beete hue pal aur lamhon ki yaadein
hain
Is kitaab ke panno pe nazar aati...
Tasveerein kai hain jeevan ki,
Har tasveer pe apna rang hai beete hue pal
ka
Aaj woh kal ke gujre hue lamhon ki
yaadgaar ban gayi..
Kori kitaab thi bachpan ki,
Zindagi ke rangon se rang gayi sihai
indradanush ki..
Panna panna palat ti gayi zindagi mere
jeevan ki..
Ek nayi kahani rachti gayi mere kirdar
ki..
Kabhi thaki si kabhi waqt se ladti
hui
Soch ke samundar mein dhoobti gayi..
Kamjoor nazron se bheegi palkon ko
Ungliyon se sehlate hue,
Mausam ke badalte rukh ko sehti rahi..
Aaj bi zindagi kisi na kisi kirdar
ke
Naqaab mein hai ulhji hui..
Kirdar badal gaye
Chehron pe naqaab lagate 2..
Aik jeevan ke kai kirdaron ko nibhate 2..
Loot gayi komalta jeevan ki
Salvatein sehlate 2..
Abh juriyaan nazar aati hain chehre ki
Aaine ke aage..