Wednesday, February 29, 2012

Le jayega churake koi...

Anjaan logon se,naa kar baatein ..
Maa bole, baba bole, 
Wo le jayenge chura ke..
Naa dekh khidki ke bahar 
Na kar taak jaank gari gari..
Koi dekh lega toh utha ke 
Le jayega meri sone ki pari..
Main naa jaanu, naa jane 
Meri chhoti si buddi..
Apni masti mein lagi guddi si
Naachti kudti hui badi, 
Mujhe raha wo darr,humesha dil mein
Le jayega koi chura ke kabhi na kabhi..
Aaya wo din jab maa aur baba ne 
Diya mera haath kisi ajnabi ki
Hathali mein khushi khushi. 
Maa boli chal udh jaa re meri sone ki pari ab
Yeh na aangan tera na yahan tera koi..
Durr desh hai basera tera par
Yahan aana banke mehmaan kabhi kabhi..
Jo le jaa raha hai wo hai saath tera.
Jab bi aaye aana uske sangh hie..
Par wo to tha ajnabi pata na chala
Kab ban gaya mera humjoli...
Kaise ban jate hain ajnabi apne.
Yeh to Rabb ji, jane..ya jane Ram ji..

ho rahi hai barsaat..


Aaj kyun hai aankhen udaas.. 
aansuon ki ho rahi hai barsaat..
labon pe hain siskiyan..
lagta hai jaise kisi ne 
aaj seene se dil chheen liya..
ab bi dhadak raha hai dil haath mein..
aawaaz aayi saanse bi le lete saath mein.
adhure hum kis kaam ke 
na unke bagair jee payenge aur 
naa hum mar payenge yahan..

Tuesday, February 28, 2012

Tum kyun ho aise..

Mann>tum kyun ho aise..ah soch
Jeetna samajhna chaha tumhe
Utna tum mujhe uljhate gaye..
Har baar tumhare ek naye
Sawal se pareshaan ho jate hum.
Kyun mujhe, tum itna uljhate ho..
Tum toh, mere dost ho na..
Acche se saathi ho..ah soch..
Par tum aise kyun ho..
Kabhi aake, khayalon se ulhaj jate ho
Toh kabhi dil ko, aake tadpate ho..
Tum aisa kyun karte ho bolo na...ah soch..
Bas har baar mujhe sataane ke
Naye tarike, dhund lete ho..
Itna pyaar karte ho ke 
Akele dekha nahi aur 
Saath mere ho lete ho..
Naye uljhan lekar..


Sunday, February 26, 2012

dhadkano ka lagaya alaram.


Dekho to kaise banaya insaan..
ismein dhadkano ka lagaya alaram.
saanso ki dor se nachaya..
pyaas bukh aur neendh se jod ke 
ek machine bana ke tic tic kar chalaya..
kabhi khushi to kabhi gham de kar aazmaya..
kabhi dukho ki aandhiyon mein dhuboya..
chahat aur khuwaaishon ke 
rang dikhakar lalchaya..
bechara insaan haddi aur 
chamre se bana kab tak chal pata..
din se raat ..subh se shaam..bas 
jab thak gaya to dil ko pakad liya.. 
nachna tab jake uska khatam hua..
aik bulbula sa tha pani ka 
hawa mein udh raha 
fut ke zameen pe bikhar gaya...
kisko pata wo kahan gaya..
kuch pal ki yaadein 
apno ke dil mein sanjho gaya..

Saturday, February 25, 2012

PAL BHAR KI MULAKAT..


PAL BHAR KI MULAKAT..
WO BI KABHI KABAAR..
BIGHRA HO MOOD YA 
HO KOI PYAAR KA FUNDA..
BAS SILSILA CHALTA HAI
RUTHNE AUR MANANE KA..
PYAAR KE MITHE SE ALFAZ KHO GAYE,
DEKH KAR CHEHRA EK DUSRE KA.
AFSOS WAQT BEET GAYA MILNE KA..
AUR US PAR ITNA SARA INTEZAAR..
UFF ITNA BADA IMTIHAAN MOHABBAT KA..

Chahat ke diye.....



wo aate to hain roz 
per mulakat nahi hoti..
unne soch ke muskurate hain hum per 
ab tak unse baat nahi hoti..
kaisi adhure se hai mohabbat ke silsile 
jo pal pal ghinte ghinte bi poore nahi hote..
kabhi wo nahi milte kabhi hum nahi milte.
per chahat ke diye hain aaj bi dil mein jalte..


Dost khaas hote hain..

Dil mein rehne wale dost khaas hote hain..
rishtedaron se jyada,yeh paas hote hain..
khushi aur gham mein humesha 
wo humare shareek hote hain..
apne na hoke bi apne se lagte hai..
do pal na mile wo to bechaini si hoti hai..
kaise bataye ah dost..
tere bin zindagi adhuri si lagti hai.
saath mil jaye dost to 
har manzil haseen lagti hai..

Friday, February 24, 2012

sone ka hai takiya

aayi aayi Raat aayi
apne saath wo hai kuch khaas layi..
chand ka hai takiya..
badalon ka hai bichhona
taaron se saji hai razai..
aaja aaja DIN pyare..
aayi neendiya rani aayi..
chhup jaa re chaar pahar
Raat ki godh mein.
shama jal jal ke lori sunaye..
parwana naach naach ke
aasmaan ka jhula jhulaye..
 neendh pukare aaja re din pyare..
tume sapno ki saher karaye
khuwabon ke mahal deekhayen.

Thursday, February 23, 2012

kuch pal to rehne de..


Aansuon n kaha nazron se..
kuch pal to rehne de 
apni aankhiyon mein..
na kar mujhe duur apne se..  
aankhiyon ke pehredar..
chura lenge wo mujhe tujhse 
mila ke aankhiyan chaar..
loot ke bikhar na jaun 
mein tere palkon ke aas paas.

dil mein unki tasveer..

Dil mein thi tumhari tasveer..
aaj tut ke chur chur hogayi..
aankhon ne kaha sorry 
humse bhool hogayi..
jeene samajha tha apna 
wo kisi aur ka nikla.
meri wajah se AH DIL ..
tum laho lohan hogaye.
dard to mujhe bi 
bahut hua sab dekh kar..
per kya karun us se jyada 
mujhe tumse hai mohabbat hai..

bikhar gaye aise..


abi palkon pe baithe bi nahi aur 
bedardi aansuon ne ghira diya..
gaalon pe ghire to 
bikhar gaye aise 
jaise kisi ne apne dil se 
mera naam mita diya.

Wednesday, February 22, 2012

Teri nazar se..


Teri nazar se na kabhi duur thay hum
per har pal tum thay paas mere..
aur hum tume dhundte rahe idher udher
har pal tere intezaar mein.. 
hum baithe rahe aur 
tum samne hoke bi chhupte rahe..
kaise kaise tumne daale nakab 
chehre per apne ke 
hum hie kahin kho gaye..

Tuesday, February 21, 2012

Unse mili bi..




Unse mili bi na thi nazrein aur 
aankhen sharma gayi..
dil ne kaha do pal to 
unse nazrein chaar kar leti..
bas ek nazar se unko 
main palkon mein chhupa leti...

wafa ko nibhate...


Maine umar bita di 
wafa ko nibhate nibhate..
tumne pal mein mujhe 
bewafaa karar kar diya..
yeh kaisi mohabbat hai tumhari 
jo parda e hayat ka bi 
mere khayal na rakha.



Aankhon aur dil pe..




Aankhon aur dil pe 
koi ikhtiyaar nahin chalta 
jab samne ho husn chand sa..
palkein bi khamosh si ho jati hain 
dekh ke nazara husn-e-yaar ka....

Kya hai yeh...


Kya hai..yeh duniya..yeh zidagi..yeh log..
yeh hai sab maya ke jhol..
socho to kaisa jadoogar hai wo..
kaise khelta hai apna khel har ek ke saath..
kisiko lambi race ka gora bana ta hai.
to kisi ko dhar dhar bhat ka ta hai..
kisiko khushiyon ke sagar mein dhubota hai..
kisi ko dukhon ke tarazu mein tol ta hai..
karne karane wala wohi AIK MALIK hai..
hum sab to bas tinke aur 
pankh ki tarah hain jo aasmaan se 
udhte hue ghirte hai niche 
zameen mein samane ke liye..

wo aate nahi baaz


wo aate nahi baaz hume rulane se. 
har baar milte hai dil mera dukhane ke liye..
puche ..to kehte hai yehi hai 
mere andaz tumse pyaar jata ne ke.

Monday, February 20, 2012

Piss raha hai is chakki mein..


Har boond mein hai jaan.. 
Har katre mein hai aan..
Har daane mein hai 
Kisi n kisi ki kismat leekhi..
Sab hai likha fir bi 
kyun hai sab uljha sa..
Lagta hai jeevan ik jaal sa..
Phir bi piss raha hai is chakki mein 
Khuwab aur khuwaaishein apni apni..
Zindagi ki daud mein uljane hai kai..
Suljate suljate mitt si 
gayi lakeerein hathali ki..
per chalta hai chakra is 
prithvi ka yuhi chakki ki tarah.
boond banke chamka tha 
kan banke mitti mein mil jayega.
bas astitva aur wajud 
ik yaad banke rehjayega. 

Hum intezaar karenge..


Hum intezaar karenge..
tu aaye na aaye hum roz naya 
paigam likhenge..

haal-e-dil apna 
ismein bayaan karenge..
hawaaon se teri baatein karenge.
tumse milane ki guzaarish karenge..

phir bi tum na aaye milne to 
aankhon se teri shikayat karenge..
teri judaai ke dard 
aansuon se bayaan karenge.

hum intezaar karenge..
tumse milne ki chahat 
dil mein zinda rakhenge.
hum intezaar karenge...

Sunday, February 19, 2012

Aankhon ke dayare..


Aankhon ke dayare hain palkein..
palkon pe sajay hain kaale se pehredar..
per ho dard dil mein zara sa to aansuon se 
bheeg jate hain bechare be vajah..
na koi gila na koi shikva bas 
rehte hai aankhon ke saath wafaadar..
dekho kaisa hai yeh pyaar 
aankhon ka palkon ke saath....

Reth ke kan kan mein ho


Reth ke kan kan mein ho.. 
phir bi insaan ke dil mein 
apni jagah dhundte ho..
sab hai suvarthi matlab ke liye 
bana te hain apne dayare 
tume khush karne ke liye..
tum maati ke putle banke sab dekhte ho..
jab ek dharti hai aur ek aasmaan phir 
kyun banaye tumne itne sare taare yahan.
tum rehte ho aasmaan pe..jaise
IK CHAAND CRORON TARON KE BEECH 
phir kyun na reh sake tum dharti pe 
ik chaand banke sab jeevon ke liye. 
bhaant diya tume sab ne kahi naamo ke 
mazhub aur zaaton ke beech.
isliye rotii hai dharti dard se..
ah upper wale kabhi mujhse bi aake mil.
mere seene mein bi hai ik hie dil..
jo sajaya tha tumne mujhe khub per 
bhool gaye puchhna mera haal.
kabhi mujh per bi apni nazar daal..   

Friday, February 17, 2012

Zindagi ke hain kai rang..


Zindagi ke hain kai rang..
Milte hain kuch dukh se bhare 
 toh kuch sukh ke sangh..
Lati hai chehre pe muskaan to 
aankhon mein aansu bi..
jab ho kismat bhimaar
hoti hai mulakaat dard aur 
gham ke saath kabhi kabhar, . 
subah se shaam hogayi 
ab zindagi thak ke chuur ho gayi..
Din dhal ke raat ke aagosh mein chhup gaya.. 
A ZINDAGI chal ab kar kal ka intezaar 
phir la na naya sa rang nayi subah ke saath..

Leekh ne wale...




Leekh ne wale ne leekh di 
kismat teri aur meri..
 Dono ke haathon mein kich di 
lakeerein tedi medi.
Nahi jante kya hai taqdeer mein. 
hoga koi chhutaa hua 
adhura sa gehra rishta pahle ka,  
jo rabh ji ne ab tumse diya hai mujhe mila..

Tuesday, February 14, 2012

Na kar bandh dil ke...

Na kar bandh dil ke
darwaaze hume dekh kar..
aaj to hum aaye tumse milne
shayad kal na aa paaye.
waqt ka koi barosa nahi
kab wo chhupa le hume
apne bahon mein aur
reh jaye ek aarzoo aapse milne ki
humesha ke liye is dil mein..

SEENE VICH DIL..


SEENE VICH DIL PYAAR DA HAI..
ZUBAAN PE NAAM PYAAR DA HAI..
AANKHAAN VICH INTEZAAR PYAAR DA..
FIR SONIYE KYUN TERA DIL UDAAS SA HAI.. 
PYAAR DI YAADEIN TE
GALAN MITHI MITHIYAAN 
FIR BI HEERIYE KYUN BHEEGI SI HAIN 
TERI PALKEIN AANSU SE..

Saturday, February 11, 2012

ek aks ban ke..


Chalte ho saath saath mere 
kabhi khayal banke to 
kabhi mera saaya banke. 
har pal rehta hai tera wajud 
mere aas paas ek aks ban ke..

SAANSO PE JHULE THAY...


A dil na rula itna in aankhon ko,
ke chehre pe udaasi aa jaye..
na tadpa in aansuo ko itna 
ke gham ke sailaab chalak jaye..
kabhi dhadkano ko thaam ke 
saanso pe jhule thay tum pyaar se
ab kyun ho dard ke saaye mein tum(a dil)..
yeh hum(mann) na aaj tak samajh paaye..

Friday, February 10, 2012

Jaise badle mausam....

Jaise badle mausam 
waise tum badal gaye.
badal gaye tum itne ke 
ab hum nahi yaad tume.
bhool gaye tum wo 
mausam-e-barsaat..
bheege thay hum tumari 
yaadon ke aansu ke saath.
bheegi palkein bi jab royi 
aakhiyaan dil ke saath.
na jane kaisi thi ab ki barsaat jo 
rula gayi dil ko teri judaai ke 
dard se phir ab ki baar.

Apni aankhiyon mein..


Kuch pal to rahne de
apni aankhiyon mein..
na kar mujhe duur apne se..  
Oh aankhiyon ke pehredar palkein..
chura lengay wo mujhe tujhse 
mila ke aankhiyan chaar..
darr lagta hai loot ke bikhar na jaun 
mein tere palkon ke aas paas.

Thursday, February 9, 2012

Wo shaam...


wo shaam bi ajeeb thi..
jo tujhe roz apne saath le aati..
mere chehre pe 
pyaari si muskaan khila jati.. 
thandi hawaaon ke chalte 
ab wo shaam badal si gayi..
ab ek ajeeb udaas si hai yeh shaam 
jo paas hoke bi na kabhi 
mere saath muskurai aur 
na liya kabhi usne tera naam.

Monday, February 6, 2012

Apne dil pe likhte..

Apne dil pe likhte mera naam  toh
 shayad aaj bi hum tume yaad rehte...
kuch saath bheetaye hue
lamhe tumare liye bi khaas hote.
 mera naam hota labon pe tumare per
tum to mera naam reth pe likh kar
bhool gaye mujhe hamesha ke liye..

Sunday, February 5, 2012

AH DIL LAUT AA..




Eh dil laut aa..
Naa mandir tera,
Naa masjid teri.
Naa hie aur
Koi garonda tera..

Laut aa apne pinjre mein
Jahan karta hai,
Mera pyara sa mann
Aaj bi intezaar tera..
Laut aa in aankhiyon ne
Teri yaad mein
Chhalkaye hai aansu kai.

Ab toh laut aa
Jaldi se dher na kar
Meri saanse na udh jaye 
hawaaon ke Saath 
Hamesha ke liye kahin..

Kyun batakta hai gali gali..
Na udh daali daali.
Reh na jaye tere intezaar mein
Yeh pinjra viraan sa khali..
Laut aa a dil..laut aa..





Thursday, February 2, 2012

AANKHIYON MEIN REHNE DE..


Aankhiyon mein 
rehne de ashqon ko,
aankhiyon mein rehne wale.. 
ab enne aur naa rula 
kahin tadap ke chal pade 
chhod ke palakon ke baand.
kar baithe hain dil bi apna tere havale 
ab naa tadapa ke tut ke bikhar jaye 
tuje dilse chahane wale.

Wednesday, February 1, 2012

Khayalon mein tere..


khayalon mein tere har pal rehte hain..
 palkein jhuki to tere dilse milte.. 
bahut kareeb hain tumare 
phir bi lagta hai dono ke 
darmiyaan hain lambhe se faasle.

Dil ki dukaan..


Loot gayi wo dil ki dukaan.. 
chalak gaya wo dard se 
bhare ashqon ka jaam..
pyaar aur mohabbat ke bazaar mein..
na ab wo sakhi hai na ab wo maikhana..
bas rehgaya wo deewana aashiq 
gungunate apni mashooq ka naam..