Friday, April 26, 2013

Waah kya zamana aa gaya..


Waah kya zamana aa gaya.. 
Chhoton ko jaldise bada hona hai 
Aur bhudon ko jawan rehna hai..
Umar ka takaza hai ya 
Dilon ki khwaishon ka 
Mann mein toofan utha hai..
Waqt ke chalte samay ki 
Ginati nahi rukti..
Per mausam ke badalte rukh se 
Jeevan mein halchal si hai uthti..
Kaisa zamana aa gaya..
Bachpan abhi khila bi nahi 
Ke aakhon ne sapne 
Jawani ke dekh liye..
Loot gaya balpan is 
Computer ke chakkar mein..
Badal gayi bolne ki basha 
Aadi hindi toh aadi angrezi mein..
Naa samajh paaye gharwale 
Kya hua aaj kal ke chhora aur chhori ne..
Naa jane kitne jhoot ke mahal 
Inke mann ne khade kiye..
Kho gaya hai mazaa 
Wo khule aasmaan ke 
Talay uchhal kudne ke..
Jab mila moka aake 
Computer par haath japta..
Badal kar naam aur laga kar tasveer hero 
Aur heroine ki  khud ko hai pesh karte..
Ganton tak is par hai mast rehte 
Bhool kar apno ko 
Games & chat mein khush hote..
Kar baithe hain aanjaan se 
Dosti bin dekhe ya milay..
Naa jane kitno ko jaan aur 
Sweetheart hai roz bolte..
Ho gaya hai avishkaar sansar ka 
Ya ho raha naash insaan ka..
Kuch accha hai kuch bura sa hai 
Fayeda is computer ka..
Afsos..par nazar aata hai aaj 
Bachcha bachcha iske jaal mein phansa hua..




Wednesday, April 10, 2013

kal tum thay ek zindagi..


kal tum thay ek zindagi 
toh uska ehsaas tha aaspaas..
sochta hai dil aaj bi tumhein
bas woh khali yaadein 
jo jeevan mein aake 
palkein bheega jati hain 
udaasi se aankhen..