Zindagi ke safar mein bachpan se
Lekar aaj tak milay farishtay...
Koi rishtay mein jude milay toh
Koi dost ban ke saath saath chale..
Koi beech raah pe bichhar gaya,
Koi nazron se durr ho gaya 2 kadam saath chalte..
Khushi ki meethas aur dukh ka ehsaas
Mila is maya ke mahal mein aake..
Mitti ke putlon ko dilse laga baithe
Jane anjane se apna banake..
Jab jab bhool gaye uski rehmat toh
Woh durr le gaya apne farishtay ko humse,
Ya humein hie durr kar deta hai sab se..
Janam se lekar rabb ke ghar ka rasta hai lamba
Isliye farishtay milaye is safar ko kaat ne ke liye
Aur hum ne apna samajh kar dil mein bitha diye..
Aaj samajh mein aaya ke kyun raahi ban ke
Woh farishtay jane-anjaane
Mein thay mile saath saath.
Suratein lagti hai jani pehchaani si,
Kabhi toh milay honge kisi raah pe
Is safar ke bulbulaiya mein..
Karmon ka aakra hai jodna aur
Kaatna isliye mile bana ke apne paraye.