Wednesday, January 30, 2013

Ab ke milay...


Ab ke milay phir naa bichhre kabhi..
Na janay kis gari zindagi  rooth jaye rooh se bi..
Dharkte dil aur saanson ki ranjeesh mein
Mit jaye tere mere mohabbat ka jahan..

Tuesday, January 29, 2013

Bhanwre ki tarah bhin bhinate..



Bhanwre ki tarah bhin bhinate rehte hain 
Mere dil-o-zehn mein tere khayal..
Sochti hoon kitna naadan hai yeh 
Mann mera jo aaj bi khojta hai tumhein, 
Deewana sa beete hue lamhon mein..


Bahut kuch kehna hai tumse..

Aaj teri nazrein jaise kehti ho
Bahut kuch kehna hai tumse..
Jab puchta hoon toh khamoshi se
Lipat ke mujhse ro deti ho..
Palkein nam hoti hain teri toh
Dard se dil tadap jata hai mera..
Naa raho itne khamosh..
O meri jana, mohabbat mein ke
Teri dhadkane hie
Rooth jaen meri saanson se..

Tuesday, January 22, 2013

O angel of almighty...


O angel of almighty
All have to go,
No one is permenant here..
Today, tomorrow or 1 day..
Then why in a hurry
To say all this..
"if u heard that i died,
Don't cry for me..
This won't bring
Me back to life..
Just pray for me
B'coz i'll need it badly".
O angel of almighty..
Wishes, blessings & prayers
Of beloved ones will always be the treassure 
which will be with all before & after death..
Got life at present live like
A king or queen from ur heart..
Got pain & sarrows then to
Smile like a clown..
All will vanish away..
But be happy today
It will not come back again..
Why thinking of death when u have
A superb life in hand..
So be happy n smile..


Monday, January 21, 2013

main bi ban gaya gadda..


Hissab kitaab..karmo ka..
Janam se lekar marne tak ka...
Subah se shaam tak 
Dhota hoon bhoj apne karmo ka..
Kichta hoon rassi kismat ki 
Kab khatam hoga 
Safar dukh aur dard ka..
Naa jane kab se 
Chala jaa raha hoon, 
Per koi manzil aati hi nahi..
Kichta rehta hoon dola apne
Khwabon aur khuwahishon ka..
Beannt hai lagam sapno ki..
Samajh na paya kahan
Le jaa raha yeh rasta mere kadam..
Zindagi ke safar mein mile hain
Mujhe acche aur bhure bi..
Toh lalachi aur makar bi..
Har ekk ne phansaya mujhe 
Badi chaturai se apne apne jaal mein..
Apne karmon ke bhoj ka 
dekho aaj main bi ban gaya gadda.. 


Saturday, January 19, 2013

Uphaar..


Uphaar.. Tohfa..dena aur lena..
Jo uphaar dilse pasand ho wo dena,
Naa ki khud ko napasand ho woh 
Uphaar bolke samne wale ko de dena..
Ek uphaar se jude hote hain kitne jazbaat..
Dene wale se lene wale tak ka pyaar aur samaan..
Kitni khushiyaan hoti hai aaspaas
Jab milta hai tohfa ya uphaar..
Jo uphaar apne haathon se kisi ke paas jata hai
Uske dil aur aankhon se khushi nazar aaye..
Naa ki  tohfa dekh ke aankhon se aansu chhalak aaye.. 
Anmol se hain sab rishte, in mamuli cheezon ke mol se..
Sunte aaye hain apno se..
Dost aur rishtedar malik ke hain farishtay..
Jo zindagi ke safar mein milte hain naseeb se...
Isliye karo izzat aur pyaar dilse sab ke saath..



Thursday, January 17, 2013

Itne daire ek masum rooh per..


Yaa rabba ji..paanch tatvon se
Sincha hai yeh shahreer phir
Kyun baand rakhe hain
Itne daire ek masum rooh per..
Jab dil aur mann per hai
Raaj saans aur dhadkan ka..
Kyun har baar karm aur
Kismat ka dosh hota hai,
Ek zindagi ko banane
Aur bigarne mein..
Sab hai khel maya ki
Chahat aur nafrat ka...
Phir kyun uljha hua hai
Kai sawalon ke
Jaal mein yeh jeevan...
Kya soch ke  waqt karta hai
Khada mahal khwabon ka,
Jab pal ko nahi hai
Khabar agle pal ki..
Saathi to koi nahi zindagi ka..
Bas musafir hai rooh is dharti
Aur aasmaan ke darmiyaan..

Tuesday, January 15, 2013

Chand si gol bindiya..

Kabhi thi pyari unko
Meri chand si gol bindiya aur 
Hoton ki muskan gulabi si..
Ab dhoondhti hai nazrein woh aankhen kaali si..
Jiske liye thi itna sajjti aur sanvarti thi.. 
Ab udaas aur pheeki si lagti hai 
Unke bagair yeh rang bi rangi zindagi..

Monday, January 7, 2013

Naa yun tadap..

Palkon mein chhip ke rehne wale 
Naa yun tadap chhalakne ko..
Aankhon se dil ke jazbaat samajh 
Naa umhar sab se milne ko.

Friday, January 4, 2013

Aankhon ko rula gaya..



Tumhari yaad mein  
itna tadapa hai yeh dil ke 
Aankhon ko rula gaya..
Aansu banke haal-e-dard 
chhalka bi aisa ke 
palkon se bi chhip na saka..