Tuesday, May 31, 2011

YEH NAZAR....


haaye kaisi hai yeh aankhen.
kisi ko dekh le agar
dil ko kar de pagal.
abh toh nazron ke daal dohre 
yeh bahaya hai mann more.
iske dil ko nayno ke
teer se apna banao.
phir he apni
palkein jhukaun.
kahin koi na churale 
meri nazron se isse.

yuhi na ruthe...

koi unse keh de
humse yuhi na ruthe.
dard hota hai dil mein
agar woh yuhi
ghumsum se hain rahte.
kuch hie pal hain
humare paas
saath bhitane ke liye.
keh do phir na kehna ke
hum nahi aaye
mana ne ke liye.

PRAKURTI KE NEEYAM..


Kudrat ke khilone,
Jeev jantu,janwar,pakshi,aur insaan...
In sab mein kudrat ne di hai jaan...
Badi khubsurti se 
Sajjai dharti aur aasmaan.
Jis din se aaya insaan tod diye 
Sare prakruti ke neeyam.
Padh likhkar bada hogaya, 
Rabh ki duniya hie badalne laga.
Uski sajjai prakruti ko mitane laga.
Yeh laaye toofan aandhi aur sailaab...
Mit gayi khubsurti,
Mitne lage hain kai praniyon ki jaan..
Bada pareshaan abh hai bhagwaan 
Kyun banaya yeh insaan?
Sare prakruti ke neeyam tod diye.
Apne he haathon se kitne qatl kiye...
Kabhi khuda ke naam per toh kabhi 
Bhagwaan ke naam par apne paet bahare.
Rota hai aasmaan,
Jab bi dharti hoti hai udaas. 
Kahan woh teri khubsurti gayi 
Jisse eshwar ne racha..
Kahan hai woh pyari pyari hawain,
Woh pyare se mausam jeen  ke 
Inthzaar karte thay hum.
Abh toh suraj ki garmi se 
Dharti per jeena hai mushkul.
Jungle ko kaat kar ghar banaye.
Kahan jaye rabb ji ke pyare jeev.
Sab rote hain insaan ki wajah se,
Insaan sohte hain a/c mein aaramse..
Kya sujji tuje uperwale 
Jo yeh insaan banaye.
Humko behghar karke 
Inhone apne ghar banye.
Teri prakruti ke neeyam 
In per kyun na  tumne lagaye...

Monday, May 30, 2011

NAZAR NAZAR SE..

NAZAR NAZAR SE BACHTI RAHI.
BACHPANSE APNE SAPNE BUNTI RAHI.
EK AISE SAATHI KA JISE MANN BHAAYE,
DIL CHAHAY AUR USSE
DEKHKAR NAYAN SHARAMAYE.
PHIR WOH BOLE HI HI LO HUM AAYE,
TERA DIL CHURANAY
PALAKON MEIN CHUPANAY,TUMKO
APNE MANN MANDIR MEIN AAJA BITHANAY.

Teri tasveer .....


Teri tasveer banata hoon,  
tasveer nahi banti..
Dil se rang bharta hoon,
rang bi nahi baithte...
Kis baat se naraz 
ho kar soyi ho ke,
tasveer poori hie nahi hoti..
Chalo jaldi se jaag jao,
tere bina toh meri  
mohabbat bi pheeki si lagti hai..

Saath dena na tha ..

Saath dena na tha
Toh haath thama kyun,
Saath chalna na tha
Toh hume bhulaya kyun,
Saath nibhana na tha toh mera
Naam apne naam se jora kyun.
Phir kyun tadpate ho aise ke
Ashq bi beh jaye aankhon se
Toh koi aur na dekhe..

KYUN DETE HO..



kyun dete ho itna dard ke 
dil sah nahi sakta.
kyun dete ho itna gham ke 
hum jee nahi sakte.
pyaar karte ho to 
samjho pyaar ko bi,
itna tadpaya nahi karte.

Sunday, May 29, 2011

Woh na aaye....

Woh na aaye.. 
Na aayi koi khabar...
Unke intezaar mein 
Sari raat so naa payi.
Pal pal kat ta nahi, 
Raat hai dalti nahi,
Din hai chadd ta nahi.
Deewani si ho gayi main.. 
Sabse nazrein churati rahi,
Per teri raha niharti rahi.
Dil be toh nahi mere bas mein,
Jo laage tumein karti hun 
Main kitna yaad..
Uff..kaun sangh karu teri baatein 
Jo aaye tumein bi meri yaad..



Teri aankhon ki ...


Teri aankhon ki mastiyaan chalati 
hain mere dil per chhuriyaan.
usper yeh jhuki jhuki si 
palakein karti hain madhosh mujhe.
yeh tere kajrale kaale kaale 
nayan loot gaye mera chain.
abh toh bas teri in nazron 
mein rehna chahata hun.
meri jaan, ab bata de kab aa jaun.

Friday, May 27, 2011

KAUN HAI APNA.....

kaun hai apna, kaun hai paraya.
jab sabke sar par hai, ek malik ka sayaa.
kaise bole jo saath hain wo apne hain.
jo rishton ke bahar hain wo paraye.
kaun karega faisla, kis se puchenge iska hul.
apne hokar be, parayon jaisa vehvaar karte hain.
paise paise ko rulate hain, roti ke liye be tarsate hain.
jo paraye hain apne bankar saath nibhate hain.
waqt pe paise ka be hisaab nahi karte.
apno ke paas apno ke liye waqt nahi,
dukh aur dard mein bi saath nahi.
jo paraye hain paas aajate hain,
kisi bi waqt madad ke liye.
apne aur paraye ke behd mein 
apno ne diye ghaav aur nafrat,
parayaon ne lagaya uspe mahrum pyaar ka..

AKS...


Humse mat puch 
aankhon mein 
kisko chupaya hai.
pyaar jo karta hai humne 
uske aks ko bithaya hai. 
uski yaadon mein 
raaton ko jaag kar  
ginte hain taare 
yeh do nayan bechare. 
palkein bi nahi japki ke 
mitt na jaye uska 
aks aansuo ke sahare...

AANSNU.....


palakein mili bi nahi 
aur tum chhalak gaye.
kuch hua bi nahi ke dard ka 
bahana banakar ghir pare.
dukh ya khushi sunte he 
chal padte ho nayano mein.
kabhi sailaab banker dukh aur 
dard ko kum karte ho.
kabhi moti bankar khushi se 
chamak jate ho gaalon per.
tum per pyaar har haal pe aata hai.
tum itne naazuk ho ke 
sambalna be muskul hai.
sab ki aankhon mein rahte ho.
tum ko rabhji ne 
palakon ke piche chupaya,
per ho tum anmol moti aankhon mein..

Thursday, May 26, 2011

CHALTE CHALTE....












RAITH PER CHALTE CHALTE NAYNO NE 
KADMON KE NISHAN DEKHE.
SOCHA KAHIN AAS PAAS HOGE.
GHUMTE RAHE PER TUM NA MILE. 
MAAUS HOKER HUM CHALTE RAHE.
HAWA KE JOKON NE KHA NAA HO UDAAS,
DEKHLE WOH TUJHE YAHI MILENGE.
PALKEIN JHUKA LI KE TUM TOH 
DIL MEIN BAITHE MILE. 
NAYANO NE KAHA.HAAYE RE NATKHAT DIL.
TUMNE TO HUME RHULA DIYA.
DIL NE KAHA KISNE KAHA 
DHUNDO UNNE AAS PAAS.
WOH TO RAHTE HAIN HAR 
PAL MERE SAATH.

Wednesday, May 25, 2011

Aisi Mauj Kar De...



Ya khudaya aisi mauj kar de.   
Dhoop mein bi bharish kar de.
Jo kal tak tha palkon 
Ke pichhe chupa hua.
Aaj bahut khush hun kar ke 
Sone yaar ke deedaar haqeeqat mein..
Bas dil yehi manage duaa ke 
Ab woh naa jaye kabhi durr mujhse..  



Tuesday, May 24, 2011

NA RUTHA KARO..


ITNA NA RUTHA KARO..MERI JAAN.
MANANE MEIN SAMAY KAT JAYE.
BADI MUSHKUL SE 
MILTA HAI MAUKA MILNE KA, 
KAHIN FIR DIL KI BAATEIN
NA ADHURE REHJAYE.

Monday, May 23, 2011

AISI CHOTT KHAYI...


Pyaar mein aisi chott khayi,
Dil zakhmi ho gaya.
Yaar ne aisa dokha diya,
Dard he dard mila.
Vaade aur kasme sare
Bhool gaya pardes jate hie.
Mili judaai intezaar mein.
Yeh pyaar karne ki
Sazaa di yaar ne..

RHUT GAYE..


Ruth gaye hain haath, 
jab pakada kalam ko.
Chup ho gaya dil, 
jab khola kitaab ke panao ko. 
Udh gaye hosh jab dekha 
har panay pe sanam ko..

DIL BAS MEIN...


Aaj na dil bas mein 
Mera na hie mann.
Azeeb si bechaini hai, 
aur hai thode thode 
Khafa khafa se hum.
Kalam haath mein hai 
Par siyai nahi.
Kitaab to hai par 
Alfaaz nahi.
Khayal unke hai par 
Woh  ab paas nahi.

EHSAAS....

Aankhen mundhkar tere 
Khayalon mein kho gaye.
Tere dil ki dhadkano ko sun ne lage,
Aansnu moti bankar humare 
Nayano se chhalke, 
To ehsaas hua,
Tum bi humein kitna 
Miss karte ho.

Saturday, May 21, 2011

MILAN..


Yeh kaisi mujbhuriyaan,
Kaisi hain dhuriyaan
Humare dharmiyaan.
Tumse kab milayengi hume  
Gari ki do suiyaan.
Humare dharmiyaan 
Hain faasle bade.
Ab to yeh dil 
Milan ko tarse.
Bin saawan aankhon se 
Aansu barse.
Ab to samajho hume, 
Kitna pyaar hai tumse.



O PYARI APSARA....


Meri aankhon ko bhaa gayi
Teri kaali ghatano 
Jaisi kaali zulfein..
Teri pyari pyari hansi dil pe 
Mere bijlee gira gayi.
O pyari, apsara tum ne 
Yeh kaisa jadoo kiya...
Din mein bi 
Nazar aata hun main, 
Tere pyaar ke 
Nashe mein dhuba dhuba.
Dost kahte hain 
Pyaar ke chakker mein 
Pagal ho gaya hun.. 
Woh kya jane kaisa
Nasha hota hai mohabbat mein.

MERI JAAN ...


Naa le mere itne imtihaan...
Dard hota hai mujhe jab tum
Karte ho shak mere pyaar pe..
Pyaar karti hun tumse,
Kyun nahi samajhta...
Dil cheer ke nahi dikha sakti tumhe, 
Yeh to tumhara hai..
Mera dil tumhare paas hai,
Usse be nahi cheer sakti
Us mein to meri jaan tum rehte ho.

Friday, May 20, 2011

Haiiii Re Meri Aadat...


Yeh lo ab yeh computer be
Mujhe bore karne laga.
Kal tak tha mera
Favourite time paas.
Ab yeh irritate karne laga.
Wah re mere mann
Ab bol kya kare hum.
Teen patti mein
Kabhi tha mazaa ab woh
Ho gaya hai badmashon ka addha.
Rummy kabhi acchi lagti thi ab
Woh be moody ho gayi.
computer laya nayi games
Per usko understand karne ka
Nahi hai mujh mein patience.
Haiii re abh main kya karu?
Doston ne naya site bataya
Facebook uska naam bataya.
Socha chalo kuch change sahi
Teen patton se writng he sahi.
Abh hum aagaye facebook per.
Kya bataye kahan hai
Mera dil aur jigar.
Sab ke haal-e-dil padhkar laga
Sare hain kisi janam ke
Bichchre hue friends n love birds.
Kuch waqt dil behl jayega
Chalo rah late hain is mahfil mein kuch pal...


Thursday, May 19, 2011

Dil behlane ke liye..


Dil behlane ke liye
Teri tasveer banate rehte hain..
Tumhe yaad kar ke,
Khud hie teri tasveer se
Batlate rehte hain..
Pata na tha ke tum bi
Humse milne ki dil mein
Khwaish rakhte ho..
Humein itna yaad karte ho..
 jo itni jaldi yun hie
Tasveer se bahar aa jaoge..

HAR LADKI...


Har ladki pe 
Nazar rakte hain.
Pitai ke dard se darte hain.
Ladki pat jaye to 
Apni girlfriend hai,
Naa pate woh toh..matlab.???
 yaar, wo aur meri choice...
Nahi..


KOI BAAT DIL MEIN ..


Kya baat hai jo dil mein
Chupa rakhi hai..
aankhon ko palkon se dak baithi ho..
Naa rakh koi raaz dil mein
Is tarah ke dard uthe tere seene mein
Phir hum yehi kahenge
Ek dil diya tha rakhne ko
Tum usse be na sambhal sake..
Nazron ke teer se
Chhuriyon sa vaar kar baithe.


SOCH...


Har ek ki apni soch.
Soch ke socha kya socha..?
Sochne mein naa lage 
Kodi ya paisa...
Socha apno ke liye,
Koi khush toh 
Koi dukhi dikhe...
Socha doston k liye, 
Toh kuch ruth se gaye...
Socha rishton ke liye toh 
Tarazu ka palra ek uper ek 
Niche jhukte mile...
Socha apne liye toh sab ne 
Selfish samjha.
Sochu toh kya sochu jis 
Mein sab ko khushi mile?
Isliye sochna hie
Chhod diya sab ke liye.

SAPNA MERA ...



Sapna mera tut gaya.
Aankh khuli sab loot gaya.
Dil ke saath mera 
Chain bi le gaya.
Haaye re pardesi tu toh 
Bada dil chor nikla.

Wednesday, May 18, 2011

BHULE SE MIL JAOGI ...


Zindagi ke safar mein 
Saath chalte chalte tum mil gayi..
Kuch pal jo ruk gaye 
Ek duje se ruth ke
Kaise thay woh pal jo 
hum yuhi bichhar gaye.
Naa phir tumne  pukara aur 
na murh ke dekha maine.
Per aaj bi hai us pal ka 
Dard chhupa seene mein.
Aaj bi hai mujhko tujse 
Mohabbat pahle jaisi.
Aaj bi aata hoon roz 
Us jagah per tere liye.
Kabhi na kabhi toh 
tum bhule se mil jaogi.
Per roz udaas hoke 
Laut jata hoon main...
Tera khayal aata hai aaj bi 
mere dil ko dastak dene..
Toh tume bi satati hogi 
Yaad meri har gari.
Kahin tum bi meri tarah 
Aake laut toh nahi jati.


FANAA...




Tere bina yeh zindagi 
Kab hume pasand thi?
Yeh to tumari mohabbat 
Ki kasam thi.
Bas abh toh jee letey hain 
Tume yaad kar ke 
Warna hum kab ke fanaa ho 
Chuke hote is jahan se.

Tera shingar karu..



Aaja meri jaan,
Apne haathon se 
Tera shingar karu.
Aasmaan per jitne sitare hain 
Tere aanchal mein laga du.
Chand ko tere mathay ki 
Bindiya bana du.
Tere hoton ko shaam ke 
Suraj ki lali se rang du.
Phoolon ke ghanay banakar 
Tujhe sajaa du.
Aasmaan bi tujhe dekh kar 
Darti se pyaar karega.
Thoda sa mujh per bi jalega.
Aaja tujhe mein apne 
Dil mein chupa lun 
Jab chahe palkein 
Jhuka ke tere deedar karu.

Milna Na Tha



Girl~boy=milna naa tha 
Toh bhulaya kyun? 
Baatein naa karni thi 
Toh bithaya kyun?
Jab pata tha 
Amanat hun kisi aur ki,
Aankhon mein chuppaya kyun?

Boy~girl=jab se dekha hai tujhe 
Nasha sa hogaya hai.
Tujhse naa milun toh 
Chain kahan milta hai.
Pal bhar teri jalak 
Dekh leta hun 
Toh hosh mein rehta hun.
Varna bin piye teri tasveer 
Aankhon mein sajaye 
Behosh rehta hun.

JHUKI JHUKI SI...



Jhuki jhuki si teri nazrein,
Mujhe maar hi daalegi.
Teri khil khilati hansi ne 
Ghayal kar diya dil mera. 
Zaleem ab toh ek nazar 
Utha ke idhar bhi dekh le,
Kab se khade hain 
Teri raho mein.
Ek baar hi meri 
Aur bhool se dekh le .
Tere deedaar toh kar liye,
Par ek baar bol de mujhse 
Do bol pyaar ke.
Kabse aas lagaye hue hain.
Kabhi toh mujh par bi 
Nazrein karam teri hogi.
Lagta hai us din meri 
Diwali ya eid hogi.

DUR HUMSE..



Naa jao itna dur humse ke 
Milne ki umeed bi tut jaye.
Dil mein bassi teri 
Tasveer bi mit jaye. 
Kaise pathar dil ho ke 
Meri aankhon se chhalke 
Aansuo ke dard bi 
Naa tum samjh paaye.

KIS MORH PE...




Zindagi le aayi hai 
Kis mor pe humein.
Teri aur meri 
Rishte ki dor, 
Khichti jaa rahi hai yeh kis aur
Dekh is mein 
Kitna tanav hai.
Pyaar karte ho,
Per ekraar nahi ho karte.
Yuhi naa rondh 
Apne armaano ko.. 
Dard hota hai mujko
Jab tum laut ke, 
Chale jate ho 
Kuch bole bina yun ruth ke..

KIYA THA VAADA ...



Humne kiya tha kabhi vaada ,
Aaj nibhane chale hain.
Dard apne dil ka 
Tumse chhupane lage hain.
Teri tanhaiyon ko apne 
Daaman mein samatay hue hain.
Per teri yaadon ko apne saath 
Lekar chale hain.
Ab hum nahi lautenge,
Tum kitne bi karo jatan,
Bas tumse dur jana hai, 
Jana hai humein sanam....



MERE DIL PE DASTAK..

Woh Kaun Hai
Mujhe Nahi Hai Khabar.
Ek Mithi Si Khushboo
Aati Hai Hawa Mein..
Jab Woh Chup Chaap Se,
Aake Apne Dil Ko
Mere Dil Se Chhu Jata Hai.
Aik Ajnabi Sa Sayaa Banke
Meri Nazron Mein Rehta Hai..
Mere Dil Per Deta Hai Dastak..
Aankhen Dundhti Hain Usse Per
Woh Itne Cheharon Mein
Kho Jata Hai.

RABBA JI..


Rabba Ji.. Tune Insaan Jaise
Putle Ko Kyun Banaya..
Katputli Ki Tarah Nachata Hai,
Fir Usse Kilona Samjhkar
Khelta Hai Uske Dilse..
Bas Kuch Pal Ki Khushi Dekar
Bhagata Hai Zindagi Ki Race Mein...
Chhoti Chhoti Khushi Dekar
Bade Dard Deta Hai rone ke liye..
Kyun rulata Hai Is Tarah ke 
dard se dil dhark uthe..
Woh Haar Kar Fir Tere Dhar Pe 
Jhukta Hai Haath Jod Ke,
Teri Hie Panah Mein
Ek Bachche Ki Tarah..
Kitna Masoom Aur
Pyara Sa Hai Yeh 
Tera Banaya Hua 
Khilona INSAAN...

INSAAN...


Insaan aaya tha sansar mein
tab bi kisi ke haathon mein tha.
Jab jata hai sansar se tab bi
kisi ke haathon se hie jata hai,
Phir kyun main main karta hai..
Kyun
 
bhool gaya ? 
Laya kya tha...kya le jayega...
Jo kuch mila tujhe
is sansar ne diya..
Jab se darti pe khada hua,
tabse sab kuch apne bas mein
karna chaha..
Aaj jab khada ho bi
nahi sakta do pairon par
phir us moh maya mein phansa hai.
Kya karega itna sab.
Jab jeene ke liye
chahiye ek muthi bhar.
Jab sab apni apni
kismat ka khate hain.
Apne apne tum jo karta hai.
Yeh to ek dokha hai.
Aaya tha akela jayega akela.
Kab koi saath chalta hai.
Yeh hie ek safar hai
jahan naa koi humsafar hai.
Bas ek manzil hai,
woh bi pata nahi
swarag hai ya narak hai...



YEH JEEVAN EK RAIL...


Kudrat ka khel.
Yeh jeevan ek rail.
Safar lamba ho ya chhota.
Sabko milta hai apna mauka.
Woh(kudrat) naach nachay sare.
Par usko samajh naa insaan paaye.
Roz salaam karte hain usse(rabbji).
Sau baar yaad karte hain.
Par apni-apni soch mein
atak gaye sab pyare.
Uska(rabbji) khel wohi jane.
Phir tu kyun dhoondta
hai kai bahane.
Sari shrishiti ka Raja  
bada mann mauji hai woh.
Tere haath mein to 
kuch bi nahi hai.
Phir kyun sochne mein 
waqt ganvaaye..
Kaal ke jaal mein 
khud ko phansaye.
Pata nahi yeh rail kab 
aur kahan ruk jaye.
 Afsos kisi ko bol bi 
naa paaye aakhri bye bye.

Tuesday, May 17, 2011

PYAAR MOHABBAT...


Hazaron saalon se pyaar
Karta aaya hai insaan...
Kitaabon mein padha hai
Pyaar ka vigyaan...
Jeetna padha ya suna woh
Mirch masale se bahra tha...
Pyaar mein dard ka
Koi zikar na tha..
Gum ka koi jaam na tha
Udaasi ki koi shaam na thi,
Bas mohabbat hi mohabbat thi.
Aaj pyaar ho gaya hai sauda.
Shaadi ho gayi hai vyapaar.
o pyare...Maan apne dil ka kehna,
Jo nayan bhaye
Woh pasand karna.
Bas zindagi mein apne
Dil mein ek ko rakhna.
Varna umar bhar
Dard se padega ladna.