Sunday, June 26, 2011

Kuch pal ke liye.


Dekha apne he haathon se
zindagi ko fisalte hue.
thaam na paaye usko aur
kuch pal ke liye.
Ruth si gayi hai
mujhse woh abh toh.
koi keh de us se laut aaye
kuch pal ke liye.`
aankhon mein chhupa ke
dil mein bitha denge.
hum haathon ko
bandh kar denge.
bas aa toh jao wapas
meri zindagi ban ke
kuch pal ke liye.

Saturday, June 25, 2011

A zindagi aaj....



A zindagi aaj kyun 
udaas ho gayi..
tere chehre ki woh 
hansi kahan KHO gayi...
kaisa dard hai jo hoton ki 
muskurat bi GHUM ho gayi...
thaki thaki si palkein hain, 
lagta hai raat bhar 
aankhen rohti rahi...
kya dil ka dard itna hai ke 
aaj ZINDAGI EK LAASH LAGNE LAGI.

Friday, June 24, 2011

Do tukron mein.




yuh naa chuppa apna gham..
chalak jane de in ashqon ko.. 
naa rok inne palkon mein..
yeh dard ke maare hain..
warna chiheer dengay 
tera dil tukron mein.

Abh aisa kya hua hai

Kya hua hai tume,
kahan khoye se rahte ho.
ab mujh pe bi diyaan 
nahi hai tumara.
kya koi hai tumari 
nazron mein.
ya kisi aur ko 
bitha diya hai 
dil aur zehan mein.
mere khayal bi ab 
tume nahi satatay.
mere paas hoker bi 
mere nahi hote.
kya hua hai tumko,
badle badle se 
lagte ho tum ab to.
lagta hai yeh baarish ka 
mausam he aisa aaya 
jo mere dil ke aagan mein 
dard ka toofan banke
ashqon ka sailaab lekar aaya..

Rishtay banana kitna aasaan hai...


Rishtey bana na kitna aasaan hai.
Woh jo rishte apne hain.. 
kya hum woh niba paaye...
Phir kyun har rishte ko naam de dete hain.
Kyun hum itne bhavuk ho jate hain.
Kyun anjaane se rishta jod lete hain.
Kyun usse apne rishte mein baand lete hain.
Kya koi khaas vajah hoti hai.. 
jo hadde bana lete hain rishte ke naam de kar.
ya phir humari sanskiriti aisi hai 
anjaan ko be apna samjh lete hain pyaar se..


Thursday, June 23, 2011

Ik tinka hun teri is srishti ka...

Main ek kan hun mitti ka,
ik tinka hun teri is srishti ka.
ya mere rabha naa lay mere imtihaan.
agar teri bandagi mein mujhse koi
galati hui hai to mujhe baksh de.
per mujhe apne se durr na kar.
mana teri is jahan mein mera koi wajud nahi,
per kya mujhse tuje pyaar nahi.
paani mujhe dhuba ke apne saath le jata hai,
hawa mujhe udha ke le jati hai aasmaan mein.
aur kitni thokaron se ghujarna padega.
bas rabha ji abh mujh per dayaa kar.
apne hi pairon talay mujhe rakh
taaki sada tere saaye mein rahun.

Itna kyun muskura rahe hain.

Tumne kabhi yeh na jana hum
itna kyun muskura rahe hain.
hum apne dard aur gham
tumse kyun chuppa rahe hain.
per tumne yeh na jana
kya dard hai,kaisa gham hai
jo hum yuh jeeye jaa rahe hain.
palkon mein kajal hai per chupke se
ashq chalkay jaa rahe hain.
hum yuhi tumse durr
chale jaa rahe hain.
apni yeh udaasi,
apne aanchal mein
samatay jaa rahe hain.
bas tumse hum apna rishta
nibhay jaa rahe hain.
ISLIYE MUSKURAYE JAA RAHE HAIN.
.

Dosti pe koi shak,

Naa kar meri dosti pe koi shak,
naa le mera koi imtihaan.
dost banaya hai toh vishwas kar
mujhse jada apne per.
dosti ki koi umar nahi hoti.
dosti dilse hoti hai dimaag se nahi.
dost ko na yuh badnaam kar
uski hi nazron se ke woh
sharam se tera saath hie
chhod de hamesha ke liye.

Wednesday, June 22, 2011

kaash aisa hota....

kaash aisa hota
tuta hua dil hum 
khud jod sakte.
toh woh taar hie 
nikal dete jis se dard ki
tarange uthti hai aur 
dil tut jata hai.

A qalam teri sihayi ....





A qalam teri siyai ki kasam. 
jab bi liya tujhe haath mein 
pata nahi kitne panne kiye katam.
jab bi bithaya tujhe jider 
khich diye kai lafaz.
rehta mere haathon mein hai per 
sunta mere dil ki hardum.
tune kitne pyaar ke 
paigam likhe mere liye 
kitnae peeye dard aur gham.
phir bi tu saathi bana raha mera 
behwafaa nikla mera sanam.

Nindh ke nashay mein...

Nindh ke nashay mein hum
khoye thay sapno mein.
sapna itna pyara tha,
lagta hai koi
anjana sa chehara tha.
uski har adda pe
hum mar mitay,
sapne mein hi apna
dil unpay loota diye.
aankh khuli to sapna tut gaya.
jo anjaan chehara tha woh
sapane mein hi rah gaya..

Milte ho kuch pal ke liye ..


Sapno mein yun na aaya karo,
aate ho to yun na sataya karo...
Milte ho kuch pal ke liye 
yun na hume rulaya karo...
Rulate ho toh kabhi manaya karo...
Milte ho kuch pal ke liye 
toh kabhi yun hi pyaar jataya karo..

Tuesday, June 21, 2011

Bas raakh ke siva...




Kab waqt aa gaya pata na chala 
aankhen bandh ho gayi.
sab toh hain apne per 
main begaani hogayi.
dekho na sab ke 
aankhon mein hai aansu 
per meri aankhon mein 
nahi hai paani.
mere jane ke dard se 
sisak rahe hain sab.
per abh mujh ko to 
dard bi nahi.
main chal di 
iss jahan se durr 
jahan apne to thay 
per mera koi nahi.
yeh bharm tha jo tut ke 
khak mein mil gaya.
abh main kuch bi nahi 
bas raakh ke siva...

kis ke sapno..

Khoye khoye se lagte ho..
jaage ho ya soye ho.
kis ke sapno mein ho..
jo yuhi muskura rahe ho.
kyun yuh sharama rahe ho 
jaise unki nazronse 
khud ko chhupa rahe ho..

Monday, June 20, 2011

Ho jati hai galatiyaan.

Zindagi ke safar mein,
Kitna bhi chaha 
Koi galati na ho..
Jaane anjaane kisi ka 
Dil na dukhayain 
Per ho jati hai galatiyaan.
Naa koi maqsad hota hai 
Naa koi eraada,
Per kisi na kisi ka dil 
Dukhta he hai behchara.
Kya woh pal aisa hota hai, 
Ya uss gari kismat 
Ruthi rahti hai.
Acchayi karne ki 
Koshish mein 
Haath aati hai burai.

kisi ka phehera.



Sohay hain aankhein mundke,
per nindh per hai kisi ka phehra.
dil hai ke sisak raha hai holay se 
jaise usne hai kuch khoya. 
palkein bandh hain per jaise 
koi aake aankhon mein hai soya.

Ruk jate hain kadam...



Chalte chalte ruk jate hain kadam.

yaad aata hai kabhi aaye thay yahan hum.
koi khaas tha humare saath per 
aaj nahi hai woh mera humdum paas.
kabhi chhod gaye thy kuch yaadein peechay 
aaj woh aake aankhon ko uljha gayi.
ruke hue kadamo ko unke kadamo ki yaad aa gayi..

Teri galiyon mein......



Teri ek jalak dekhne ke liye, 
Teri galiyon mein 
deewana sa ghumta hoon..
tum ho ke parda kar baithi ho 
chand se chehre pe..
ek jalak tere deedar ho jaye,
nazaron se nazrein chaar ho jaye...
kab se hain phirte yeh aas lagaye..
mere dil ko bi kuch sukun aur chain mil jaye..

YEH AANKHEIN ...


Agar naa hoti yeh aankhen toh accha hota...
Naa yeh shararat karti naa Yeh
Kisi se ladti aur Naa dil ghayal hota..
Na yeh dard aur ghamon ke Pahar uthane padte...
Ya rabba kaisa Jadoo bhar diya hai in mein.
Madhosh ho jaye woh Jo in aankhon ke
Jaal mein aik baar phanas jaye.

WOH MERA DARD....

WOH MERA DARD DEKH NA SAKA 
PUCH BAITHA,KYUN HO ITNE UDAAS,
KISNE DIYA HAI ITNA DARD JO YUH 
BIKHAR KE RAKH DIYA HAI KHUD KO.
DIL NE KAHA,JISNE DIYA YEH DARD 
WOH DURR CHALA GAYA.
DARD HADD SE JADA THA 
ISLIYE BIKHAR SA GAYA YUHI.

Sunday, June 19, 2011

AAJ KAL KE LADKE....


AAJ KAL KE LADKE.. 
PAHLE LADKI KE SAATH 
NAZRON SE BAATEIN KARTE HAIN.
PHIR DIL KI ZUBAANSE APNE 
PYAAR KI SHIFAARISH KARTE HAIN.
BAATON HI BAATON MEIN, 
LADKI KE ZINDAGI KI 
KUNDALI PUCHH LETE HAIN.
BAS PUCCHO TOH KEHTE HAIN..
YAAR..BAS APNA AUR LADKI KA 
TIME PASS KAR RAHE THAY.

YEH PALKEIN ...



(DIL)DEKH YEH PALKEIN 
BANDH HOTI HI NAHI.
KABSE BOLTI HUN AANKHON KO,
YEH MERI BAAT SUNTI HI NAHI.
(AANKHEN) KAISE BANDH KARE PALKEIN,
ABHI TOH WOH AAYE NAHI.
RUK JARA, KAHIN BANDH DEKH KE 
AANKHON KO WOH CHALE NA JAYE ..

Ah phool ....

Ah phool teri bi hai ajeeb kahani.
Choti si hai teri zindgani.
Komal si pankhuriyaan teri 
Toh kaanto se bhari tahniyaan bi.
Duniya hai teri khushboo ki dewaani..
per tu hai ishq aur mohabbat ke dil ki nishaani..


Saturday, June 18, 2011

A dost teri ...

Ai dil teri har muskurat pe 
mera dil qurbaan.
tu hai to hai meri jaan. 
warna kab ke ghum 
ho gaye hote hum is jahan se 
mit jata humara bi naamo nisha.

kaanch ki tarah...



Meri aankh se 
chhalka har aansu 
kaanch ki tarah 
sakt ho gaya.
Tera pyaar itna tha ke,
inme chhupe dard ko 
bikhar ne naa diya.

Friday, June 17, 2011

Aaj yeh ..

Aaj yeh mera dil kyun 
itna tadap raha...
bevajah kyun itna dard ho raha...
puchtay hain aankhon se to kehti hai.. 
aaj isse beghar kar diya....
pyaar itna karti thi ke 
ab isse dard hi dard mila hai.
iski jagah kisi aur ko rakha hai.

Dil ke hogaye...





Dil ke hogaye tukre tukre
jab humse tum na mile.
har roz teri 
raah dekhte hain.. 
per tum ho ke rasta hie 
badal gaye ho kisi aur ke liye.
mana hawaon ka rukh badla 
toh wo khuda ki marzi se..
per tumne apna rukh badla 
kisi aur ki khushi ke liye.
dil to humara tuta 
tumari galti se..

Meri har namaaz ....

Meri har namaaz mein
hai tera naam.
phir bi meri aawaz
tere dhar tak
nahi pahunchti.
har pal tujhe
yaad karti hun.
per tujhko hi
mera khayal nahi.
sajda karti hun
haath utha ke,
teri hie nazar
mujh pe nahi padti.
pata nahi kya pal
thay wo jo likhi
meri taqdeer
jo tujhse bi meri
kismat ki lakeer
hie nahi bani.

YUHI......






Yuhi khayalon mein
aaya na karo..
Yuhi aake chupke se
sataya naa karo..
Yuhi humara dil
naa bhalaya karo..
Hum janey hain,
tumko bi pehchante hain...
Yeh hi adayain hain tumhari
jis pe hum apna dil harray..

Jo nami si hai,..


Meri palkon pe jo nami si hai,
woh tere pyaar ki behwaafi se hai.
humne toh tume apne dil mein bithaya 
per tumne he hume apne dilse nikal diya.
yeh na socha ke tumse alag hokar 
dil ke tukray tukray ho jayange.

Wednesday, June 15, 2011

Meri yeh deewaangi...

Meri yeh deewaangi kaisi
jo mujhe hi rhulagayi.
kabhi socha na tha
kisi se pyaar karenge,
aaj woh bi kar baithay.
kabhi suna na tha
dil-e-dard kya hai.
dil laganay se pata chala
dil-e-dard kya hota hai.
gum ka khayal na tha kabhi,
abh gumon ko peetay hain.
kaisi yeh deewaangi jo mujhe
udaasi ke jaal mein dakhail gayi.
duniya ki nazron mein
deewaani ban gayi..

Angrayi le raha...


Aaj dil mera mujhe 
hi satta raha hai..
pal pal dard bari 
angrayi le raha hai.
pata nahi kya hua hai isse..
aaj na yeh hansta hai 
naa yeh rohta hai.
per udaas sa lagta hai.
puchti hun to kehta hai  
ab tum udaas hona nahi 
yahan to kuch apna nahi.. 
kisi ka dil dukhana nahi. 
pata nahi mana ne ka 
moka mile ya na mile.
phir kal yeh aankhen 
khule ya na khule..
pal pal zindagi 
kam hoti ja rahi.
agla pal kaisa 
aayega pata nahi. 

Bheega bheega sa mausum..

Bheega bheega sa mausum,
nami nami si hai hawaon mein.
koi bheeg raha hai mazay se
toh koi khole hai
chhatri bachne ke liye.
woh kichad aur
woh mitti mein khelte hue
bachchay apni masti mein dubay hue.
baharish ki vajah se koi
khush hai toh koi pareshaan.
per sab jeev karte hain kinara
baharish mein bheeg ne se.
woh jor ki baharish,
woh hawaon ka tej chalna
woh chhatri ka udh jana.
phir bhulsi baat aa jati yaad
baharish ke saath.
woh bheeg kaar bhuta khana..
pure saal ka mausum bi
hai ajeeb sa suhaana.

Tuesday, June 14, 2011

chal kuch pal ..



DIL..chal kuch pal unse mil aate.
ab wo hai naraz kuch humse aise ke 
humne chhor diya tha saath unka 
TUMARE keh ne pe kuch palon ke liye..

MANN..kaise jayenge ab unse milne.
(AANKHON) unno ne to 
bandh kar di hai palkein.
abh na jaga na unne warna 
wo chhalka degi aansuo ke 
pehmaane kahin hum na 
un ke dard me dhoob jaye.




dil ki zabaan....

Mere hoton ki muskurat ko na dekh.
yeh to dil ki zabaan bi nahi samjhte.
mere nayano ki taraf dekh
jo tujhe kitna miss karte hain.
yeh dil ka dard hai
aankhen padh lati hai.
warna hum to aik zinda laash hain
tere pyaar mein jee rahe hain.

TERI AANKHO SE....

TERI AANKHO SE 
GIRA HAR EK AANSU 
MERE DIL KO CHHU KAR 
TADPA JATA HAI..
KYA AISA DARD DIYA HAI TUME 
JO AB TUMHARE AANKHO SE 
BAYAAN HOTA HAI..

Monday, June 13, 2011

Kya dard hai aisa.....




Kal tak thay jo tumhare saath
Ab hogaye hain durr..
Phir yeh tumhari aankhen
Kiska rasta dekhti
Rehti hain baar baar...
Kya dard hai aisa jo
Andhar rakh baithi ho ab tak tum..
Koi to isko bataye
Is jahan se jaane wale 
Kabhi laut kar nahi aate
Phirse zindagi mein..

ROZ MILTE HO...


O CHAND AASMAAN KE,
KABHI HUM PAR BI NAZAR KAR..
ITNE DINO SE KARTE HAIN INTEZAAR,
AAJ HUMSE BI KAR LE NAZRAIN CHAAR..
ROZ MILTE HO CHANDNI SE,
AAJ HUMSE BI TOH KARLO PYAAR KI BAAT..
HAR RAAT TUJHSE MILNE AATE HAIN,
TUM AISE CHHIP JATE HO BAADLON MEIN 
KE RAAT KAT JATI HAI AANKHON MEIN..

Baadalon ke pichay se...

Kal raat chand KHIDKI se jhank raha tha...
O chanda re kyun chupke chupke se
dekh raha hai baadalon ke pichay se..
nindh na mujhe aaye,UNKI YAAD SATAY,
jo jaa baitha hai bhidesh.
tuh mujhe dekh dekh ke chiraye,
kyun tuh mujhe AKALI DEKH YUN sataye.
KAHAY MORA JEEARA JALAY.
meri palkein bheeg bheeg jaye.
ABH TOH MOHAY TUJSE LAAJ AAYE,
jaa re chanda unnay bhula ke la ray..

Sunday, June 12, 2011

MOHRE MANN BAHAY...

NAA PHOOLON KI KHUSHBOO
MOHRE MANN BAHAY,
NAA KANTON KI
CHUBAN KOI DARD JAGAY.
RUTHA HAI DIL MERA
USSE KAUN MANNAY.
AANKHEIN HAIN SURKH
NAA HE ASHQ AAYE.
NAZREIN UDAAS USSE
DUNDHTI HAIN,
JO KITNE DINO SE
MILNE NA AAYE.
AIK ZINDA LAASH
BANGAYE HAIN.
UNKAY PYAAR MEIN,
KOI JAA KE UNHE BATAYE.

TU HI TOH MERA DOST HAI..


TU HI TOH MERA DOST HAI..
TUJ SANGH CHALE HAIN ,
TERA HAATH THAAM KE,
KAHIN BEECH RAAH PE
CHHOD NA DENA MUJHE..

BAS ITNA YAAD RAHE..
TU HI TOH MERA DOST HAI.
SAMAY KOI BI HO PER SAATH
HUMESHA PAKAA TERA MERA HO.
SAU BAATAIN BHURI HO
PER EK BAAT SADA YAAD HO..
TU HI TOH MERA DOST HAI...

KAHIN KISI MOR PE KHAYAL
YA VICHAAR NA MILE,
YA GHARAM MIZAAZ HAI
TOH BI CHHOD NAA DENA MERA HAATH..
BAS YEH HI HO YAAD TU MERA DOST HAI..

HUM PHIR KYUN LADTE HAIN
HAR CHOTI CHOTI BAAT PER ,
KYUN KE HUM DOST HAIN
ISLIYE TOH KEHTE HAI
DOSTI KE JAISA KOI RISHTA NAHI...
ISLIYE TU HI TO MERA DOST HAI..
SAMJHE DOST JI..

Saturday, June 11, 2011

Dekho roh diya aasmaan..



Dekho roh diya aasmaan..

Jo kal tak chupaaye baitha tha dard apna..
aaj uska be dil dard se dharak gaya.
chhalka diye usnay aansu apne.
insaan usse baarish samajh baitha..
aasmaan ke rone se hil gaye pahaar,
ghir gaye jahar, fut gayi dharti.
HO GAYA HAR JEEV behbas aur lachaar.
phir be na samajh paye uske dard ka raaz.
ya rabha yeh bi hai teri chaal.
ya hai dharti aur aasmaan ka milap.

Ah dost mere...


Rabh ji se yehi dua hai..
ah dost mere..
tujhe phoolon ki sehej milay,
mujhe katon ka kaffan..
tujhe sukun aur chain mile
mujhe tere sare
dard aur gham.
tum sada suraj ki
tarah chamko sare aakaash,
tere sare andhare
mere daaman mein ho.
A dost,teri dosti pe
hume aaj bi hai naaz.
tum raho aabad
rabh se aur nahi
meri koi fariyad.
yeh hai meri
dosti ka pyaar..

Friday, June 10, 2011

Halke halke se.....

Halke halke se rakhna kadam zameen per.
In phool ke nichay daffan hai mera dil o jigar.
Naa chhunaa in phoolon ko,
Innay sincha gaya tha mere ashqon se.
agar bhulse koi kanta chub jaye toh
samjh lena aaj bi tumko
hum yaad karte hain dil se.

Tanha tanha hai....


Tanha tanha hai 
Har lamha meri zindagi ka..
Jab se tumse bichhare hain 
chain na humko ek pal ka mila..
 Ah dil teri yaadon ne aisa rulaya ke
Aankhon se aansuon ka 
Sailaab chhalak aaya.

Har lamha .....

Har lamha unka 
Intezaar hai in aankhon ko.
pal bhar bi 
palkon ko japakne na diya.
kahin woh nazronse 
nikal na jaye...
isliye kahin nazar ko 
batakne nahi diya idher udher...
aajaye woh toh chhupa lengay 
humesha ke liye dil mein.
taaki unper kisi aur ki nazar na jaye..

Thursday, June 9, 2011

Bhule se....

Bhule se aa baithay tere dil mein.
Gari gari palkein jhuka ke na dekh.
Naa kar koi ishare nazronse.
Kahin hum na koi shararat kar baithay.

AAJAO AIK BAHAR...


DIL KEHTA HAI BAAR BAAR..
AAJAO AIK BAAR.
JEE BHAR KE DEKHLE TUMKO.. 
ABH KI BAAR.
AANKHON MEIN KHUWAB.. 
BAN KAR AAJAO.
DIL MEIN YAAD BAN KAR.. 
PAAS AAO.
AUR NAHI TOH AB DIL MEIN 
DARD BAN KAR AAJO.
DEKH LENGE 
TUME IS BHANE SE, 
MEHSUS BI KAR LENGE TUME..
DUR JANE SE PAHLE..

Teri palkon se....



Aasmaan se ghira hun
shabnam bankar.. 

Teri palkon se tere gaalon pe, 
aaya hun aansu bankar.
apni ungliyun se halke se uthana.. 
kahin mera wajood na mit jaye, 
hamesha ke liye TERA NAAM LE LEKAR.

ALFAAZON KI MALA......


Lafzon se alfazon ki mala banayi.
Bahut mehnat se jod kar
Har baar kuch leekh kar laye.
Taaze phool ki tarah
Guldastay mein sajay.
Shayad kabhi to
Doston ke bi mann bhaye per
Fursat hie naa mili doston ko
Jo wo kuch kehte.. :(
Dosti ki khatir feeka sa
Like kar jaate.. :(
Nahi dete hain kabhi
Apni koi comments.. :((
Lagta hai unne kabhi
Nahi thay humare guldastay ke 
rang aur mehak pasand.. :((

DOST HE RAHNE DO...


DOST KO DOST HE REH NE DO.
DOSTI KO PYAAR MEIN NA BADALO.
JO MAZAA DOSTI NIBHANAY MEIN HAI,
WOH PYAAR KI RAAH MEIN NAHI.
HAATH THAAMA HAI DOST BANAKAR TO 
PYAAR BANA KAR BAHON MEIN NA LENA.
RISTA DOSTI KA BADA NAZUK HAI 
ISKO KOI AUR NAAM NA DENA.

Ek behwaafa se..


Ek bewafa se pyaar kiya.

Uss par apni nazron se teer-e-vaar kiya.
boli surat per uski hum mar mitay.
apne he dil ko kitne dard diye.
UFFFF.. us harjaee ko humse pyaar na hua.
haaye re humne unse pyaar kyun kiya.

Rabh ki marzi se....

Rabh ki marzi se hum do dil mile..
per teri khudgarzi se tadap uthe.
haal-e-dil yeh hai mera
na jeete hain na marte.
apni kismat se aaj
bi hum hain ladte.
subah aur shaam
peete hain gham ke jaam.
dard ka kafan odke
lete hain ram ka naam.

Unse mile.....


Muddatein ho gayi
unse bichhde.
fursat nahi un ne ke 
aake humse kabhi to mile.
pata nahi intezaar mein
raatein lambi ho gayi ya
hum he thay unki
yaadon mein khoye hue se.

Wednesday, June 8, 2011

Doston ke saath har shaam...

Jab tak tha pyaar ke naam se bekhabar.
Doston ke saath har shaam
ghuzar jati thi masti mein.
kisi ne apni teer-e-nazaron se 

khubsurat aankhiyon se,
ghayal kar diya mera dil-O-jigar.
haal mera behaal kar diya..
doston ko chhor kar uske pichhe chal diya.
pyaar mein ghuzarta hai mera har pal..
kabhi phone pe toh kabhi net per..
mulakat hoti hai doston se per kabhi kabhi.
ab doston ki nazar mein pagal ho gaya main.
pyaar ke pichhe deewana ho gaya main.
ab main jaun to jaun kahan a dil.

Aise kanjus dostonse ....

Aik aik lafaz jodh kar alfaaz banaye.
Alfaazon se sher banaye...
per aise kanjus dostonse
Hume khuda bachaye..
Badi mehnat karte hain
unke liye sher likne ki..
per yeh dost hain ke padhte he nahi..
padhte to wah wahi to karte.
mana mehangayi hai.
Per doston ismein na lage
paisa aur na takka.
fir kis baat ki kanjusi hai..

Dukhi hai mann...

Dukhi hai mann,sangh nahi sajan.
dur baithay pardes aaj yaad aaye.
pal pal unke khayal aaye.
dil mera machchal machchal jaye.
phir sochun kyun re chanchal mann
aaj kyun hai udaas.
yeh toh uski  hai koi chaal,
baithay baithay dil ko tadpaye
aankhon ko rhulaye.
sohay dard ko jagaye.
yeh lo tabhi toh hum
yeh sab kuch likh paye..

Kabhi kisi ko...



Ab yeh wo hawaain nahi 
Jo kabhi chalti thi 
Mohabbat ke mausam se.. 
Ab yeh hawain to chalti hain 
Bas mausam ko dekh ke 
Pyaar ke naam pe..
Ab in mein nahi hai koi 
Dil aur dhadkan ka mail.
Ab naa kisi ko itna pyaar karna ke, 
Badle mein dard hie dard mile..  
Aur Tumare naseeb mein 
Gham aur aansu aa jaye.
Ab kabhi kisi ko 
Itna  bi naa chahana ke 
Jeena mushkil ho jaye 

tumhara uske begair...