Thursday, March 27, 2014

Waqt ke haathon se..




Nanhi si kali, maa baba ke aagan khili..
Titli si udti udti apne pankh se 
Naa jane kab pari ban gayi..
Aaya mor aisa jeevan mein ke 
Mamta ki murat si lagne lagi..
Waqt ke haathon se naa jane 
Kab meri zindagi takrai ke main 
Hal ki tarah apne jevan ke 
Khet mein chalti girti sambhalti rahi..
Bhoj tha itna bari karmon ka ke 
Uthate uthate sar pe 
Chehre pe zuriyaan nazar aayi..
Ladti girti samay ke haathon se 
Apni kismat ki ladai..
Halat se ek thaki si zandgi, 
Khamosh ulhji si nazar aayi..
Eik nanhi si pari ki, kismat ki lakeerein 
Aaj buddi amma ke chehre pe nazar aayi..

Saturday, March 22, 2014

Har Taraf Hai Itna Shor...

Aaye din 
Har taraf hai itna shor...
Siyasat ki kursi ka shor..
Durghatna ho jane ka shor..
Jahan kaan aur aanken jaye bas
Sunayi aur dikhayi deta hai shor hie shor..
 yeh kaisa hai waqt aaya,
Labhon pe jhooti muskaan aur
Aankhon mein hai khanjar chhupaya..
Kya isliye janame 
Dharti pe nari ki kohk se, 
Hosh sambhalte nari 
Ko hie apna shikar banaya..
Itna neeche gira nar jaati ke aaye din
Machi hai loot aisi ke insaan se haiwaan bana,
Aisa gira jeev ke tod diye sare rishte naate apno se..
Behan aur betiyon ko apni hawas ka shikar banaya..
Kaisa morh hai kudrat ka ke apne hie
Gar mein nahi surakshit nari..
Bhook aisi badi lalach aur hawas ki
Ke nochte aur loot te hain andhe hoke insaan...
Kahan se aaya itna josh aur krodh ke
Hue hain aise halat jo bandh ghar ka shor
Ab nazar aata hai galiyon aur bazaaron mein.
Lalach aur hawas ne toh kisi ko khushi  nahi bakhshi..
kyun ban baithe ho lobi bahriye 
insaan ka nakab odh ke karte ho itna shor..

Wednesday, March 19, 2014

Khamosh si hai tanhai..

Khamosh si hai tanhai..
Mere akelepan mein, 
Kahan hai ab koi kwaaish..
Tanha tanha sa hai mahol aaspaas ka 
Bas teri yaad hie mere paas hai..
Ujra mera aashiyana ujra mera naseeb 
Kis se puchhe ki kya thi meri galati..
Maanga naa kabhii kismat se kuch phir 
Kyun durr kar diya mera saathi..
Sochte sochte naa jane dil ki baat labh pe zubaan layi..
Mere dil ko rula ke yeh aankhen bhar aayi.. 
Phir bi khamosh si hai mere aas paas yeh tanhai.. 


Wednesday, March 12, 2014

Jaan Kya Lekar Jayenge Khuli Si Hateli Mein...?


Aaye thay lekar bandh muthhi,
 Naa jane kya lekar jayenge khuli si hateli mein...
Reh jayega sab bichhar ke apne tan aur mann se..
Sab hai moh aur maya ke jaal,
Jis mein yeh rishte natay
Nazar aate hain ulhje hue se..
 sab hain aankhen mundh ke 
Maya ke nagri mein khoye hue..
Koi apne rang roop se loot raha hai kisi ko..
Toh koi apni chaturai se loot raha bewakuf bana kar..
Har ek hai maya ke bharm mein phansa hua..
Itne gehre hain maya ke rang ke 
In do aankhon ko dikha ke 
Duniya ki chaka chaund se, 
Deewana sa bana rakha hai is moh maya ne..
Jhoote nakab se dhake chehre aur 
Jhooti se muskaan se behlate hue,
Chhupe baithe hain moh maya ke lalchi bheriye..
Lakh kare koshish phir bi 
Kuch naa le jane denge 
Yeh maya ke jaal muthi mein..
Phir kyun daud raha hai
Gore ki tarah is maya ke aage pichhe..

Monday, March 10, 2014

kitne anmol thay woh pal jo..


kitne anmol thay woh pal jo 
Tum sangh thay is jagah..
Tum kya ruthe aise, 
toot ke bikhar gaya mera jahan..
 ab unche pharon se, 
ho gayi hai udaas hawaon ki raftaar.. 
 behte hain jarne bi ab khamoshi se rote hue..
Ab in aankhon ko nazar aate hain 
Woh manzar nadiya ke sunsaan se..
Jahan kabhi gunjte thay bas 
Pyaar ke afsane teri mulaqat se..