Friday, June 27, 2014

Kainat mein Insaan ki Jaat..

Kainat mein insaan ki jaat, 
Kudrat ki karigari..
Mamta ki murat..maa..
Pyaar ka bhandaar..pita..
Hansi mazak, ladai jagra, 
Bhai behan ke saath..
Chatur aur chaalak, 
Dost aur rishtedar,
Jo matlab samjhaye jeevan ka..
Ek zindagi ke kai roop, har roop mein, 
Basa hai achhai aur burai ka beej..
Kuch janam se toh kuch aadat se 
Majboor hote hain isliye 
Batak jate hai apni manzil..
Gunegaar hai jeev jo rahte 
Darti aur aakash ke beech..
Insaan ko baksha sab sukh aur 
Dukh ka swaad de kar dil aur dimaag..
Matlabi aur makaar nikla insaan, 
Bana baitha us malik ke 
Kai aakar, aur de kar kai naam..
Jis mein uski lalaach 
Uthi aur hua mann bhimaan.
Bol, bol ke, ram ram sita ram..

Thursday, June 26, 2014

Alfazon Ki Jugalbandi Se...

Alfazon ki jugalbandi se, 
Main shayar ki shayri bani,
Kavi ki bani kavita..
Saaj aur sur ke taal se 
Bani geeton ki mala..
Mere roop ka koi 
Pagla deewana ho gaya, 
Toh koi parwana ban ke 
Mere liye jalta raha..
Mehfil aur maikhane saje, 
Mujhe dekh madira ke jaam uthe 
Mujhe pyaar ke suron pe nachane lage..
Naachi mein baand ke gungroo har baar..
Shama ban ke roshan hui,
Sab ke dilon ki chahat har raat..


Wednesday, June 25, 2014

Nazron Mein Uske Dard Ubhar Aaya..

 Nazron mein uske dard ubhar aaya..
Aankhon ke kinaron pe jaise 
Samunder uttar aaya.. 
Palkon ki numi se uske 
Gulabi gaalon pe kajra bikhar gaya,
 ashq moti ban ke lariyon mein chalak pare..
 hoton ne jaise uski zubaan ko qaid kar diya, 
Dard jo uske dil mein tha, 
Nazron ne nazron se bayaan kar diya..












Tuesday, June 24, 2014

Kismat Ki Chader Pe Hai Kai Silvatein..


Kismat ki chader pe hai kai silvatein..
Kuch dard se kara rahi hai toh 
Kuch waqt se ladh ke thak gayi..
Jaise har roz ki subah shaam se 
Ulhajte ulhajte haar gayi..
Be-zuban si hai taqdeer, 
Seene se jaise latakti saanso ki zanzeer..
Ghut ghut ke jee rahi hai jaise aankhon se zindagi..
Yeh chader maili haddi ke dhanche se lipti hui..
Kahin se roti hui kahin se sisakti hui 
Apni zindagi ke halat bayaan karti hui..
Yeh hai kismat ki chader gareeb ke naseeb ki..

Saturday, June 21, 2014

The World Has Changed From...



 The world has changed from 
Simple living to modern living..
Latest inventions of technology, gadgets,etc 
Have made life easy within the touch of a button..
  today, we enjoy the facilities of electronics..
But you must have felt the 
Change in your life from the past..
You are happy ,since, you are in touch 
With all the modern amenities available..
We got many gadgets that made life comfortable.. 
But have you seen the change world is facing today..
Slowly slowly our life is soffocated 
With the chemicals available in air..
Today, environment is damaged with 
The reaction of chemicals used in technology..
Technology products are hazardous
For our life & other living creatures on earth..
Now a days many of us are facing 
Health hazards at this young age..
Heard about world warming signs just in news or
When world face some climate problems, 
But still people are not really worried about it..
Signs & singals of climate &
Earth warming around the world
For all this reactions of latest
Technology gadgets available in our daily life..
Think today what we lost & what we found
When we are facing so much
Problems with today's climate,
What are we going to leave
For tomorrow's generations..
Invent new product with technology
But at the same time see not to
Harm mother earth as their are other
Creatures present who will
Suffer too with latest technology..


Friday, June 20, 2014

Dil Mein Dil Ko Chhupaon Kaise..

dil mein dil ko chhupaon kaise..
chehre ka yeh gulabi rang 
duniya ki nazaron se bachaun kaise..
mohabbat-e-ishq ko 
zubaan se bataun kaise..
behki behki hawaaon mein 
udti meri zulfon ko sambalun kaise..
haal-e-dil hai itna kush numa ke 
usko apni palkon mein sajaon kaise..
yeh gungunate geeton ki lariyaan, 
yeh khushi ka aalam,
kaash woh aajaye saamne is pal..

Created Hell On This Beautiful Earth..



 We the people are the real rodents and pest, 
Who created hell on this beautiful earth.. 
We keep our house 
Clean & see our kids are 
Sitting or playing in the clean area..
We feel its our duty so we do it..
We cannot see our kids or 
Any family member fall sick..
But don't you think its our duty to keep 
Our living areas & out side society clean..
Such selfish are people living in societies,
They think only to keep their house clean.. 
Outside passage of society 
They can use it like dustbin..
(a place for shoe racks 
Old newspapers & bicycles)
Why do you forget the people living 
Inn & outside the society are like us..
Even they have a right to live..
Today high rise societies have come up..
But people living in them have no heart for others..
Lots of waste n dustbin is openly thrown out 
Of societies by houskeeping workers,
No place for others to walk or passby..
Its so disgusting to see big towers 
Outside area is used like a dustbin..
An open place for rodents & 
Pest creatures to crawl around..
Morning walkers & evening shoppers 
Are facing problem to move on  
Roads full of traffics n stalls around.
Pls.dont neglect,being a citizen 
Its everyones responsibility 
To keep our house & city clean...



Thursday, June 19, 2014

Hum Hain Tere Paapi Insaan..

Eshwar allah tero naam, 
Japte hain sab subah aur shaam 
Phir bi hai kitne mann se baimaan..
Jab kan-kan mein ho tum samaaye 
Phir kyun nahi tum unne nazar aaye..
Teri hai sari srishti, tera hai sara jahan 
Phir kyun karta hai chaturai yeh insaan..
Kabhi ram banke aaye toh kabhi kana banke,
Ulhaj gaye aaj tak tere yeh bandhe 
Tujhe gat gat mein hain dhoondte..
Ram ji ka raaj, kanaa ji ka raas, Meera ji ki 
Bandagi kabhi na samajh sakega 
Tera yeh banda nadaan..
Zubaan se tumhari mala karte sau geen..geen,
Mann mein na jane chhupaye kitne avghun..
Bhookh hai moh maya ki,
Aankhon pe ainak hai a loot aur laalach ki..
Loot ta hai har shan lekar tera naam rabba ji,
Tere hie farishton ko yeh khudgarz insaan..
Mandir masjid gurduware jake apna sheesh nimaate, 
Tere hie dar ke bahar dusron ki burai geenate.. 
Jab tak hai maili kaya maila nazariya 
Phir chahaye karo kai tirath yatra,
Utrega naa sar se yeh paapon ka ghara 
Jo bhure karmon se hai bhara..
Eshwar allah tero naam baksh de,
Hum hai tere paapi insaan..


Wednesday, June 18, 2014

Zindagi ke Safar mein Bachpan se...







Zindagi ke safar mein bachpan se
Lekar aaj tak milay farishtay...
Koi rishtay mein jude milay toh
Koi dost ban ke saath saath chale..
Koi beech raah pe bichhar gaya,
Koi nazron se durr ho gaya 2 kadam saath chalte..
Khushi ki meethas aur dukh ka ehsaas
Mila is maya ke mahal mein aake..
Mitti ke putlon ko dilse laga baithe
Jane anjane se apna banake..
Jab jab bhool gaye uski rehmat toh
Woh durr le gaya apne farishtay ko humse,
Ya humein hie durr kar deta hai sab se..
Janam se lekar rabb ke ghar ka rasta hai lamba
Isliye farishtay milaye is safar ko kaat ne ke liye
Aur hum ne apna samajh kar dil mein bitha diye..
Aaj samajh mein aaya ke kyun raahi ban ke
Woh farishtay jane-anjaane
Mein thay mile saath saath.
Suratein lagti hai jani pehchaani si,
Kabhi toh milay honge kisi raah pe
Is safar ke bulbulaiya mein..
Karmon ka aakra hai jodna aur
Kaatna isliye mile bana ke apne paraye.



Relatives n Friends are like Petals of a Flower..

Relatives n friends are like petals of a flower..
Never try to mash or break them,
They will bear the pain of your hatred
But will leave scent of their love in your hands...
Relatives n friends are part of life..
Then why do treat them like unwanted things..
Now a days, everyone is so smart 
That they think what we give 
Or do will be accepted by..

Atleast don't show your hatred by 
Gifting unwanted things which have 
No place in your eyes..
Relatives n friends are 
The branches of your family tree.
Learn to thank n respect what you 
Have treasured today from 
Them as a fruits of  happiness 
But don't ever try to hurt them with your hatred..
 love & respect the feelings of relatives n friends
As no gift is precious for them as your sweet smile &
Warm welcome from bottom of your heart..



Thursday, June 12, 2014

INTERNET CONNECTIONS..


                                                               Internet
A part of technology invention
A connection with 2 friends
Facebook & google..
A page for meeting close n dear ones
With old n new friends,
With a blink of an eye..
Its one way of shortcut to
Peep into world's heart..
Don't know many but still want to be
Added in a friendlist of 100 to 1000 dots..
With this invention of internet
Got connected to many different people & places..
Now the world can be seen in 6x12 wall..
Lot to be learnt from this magical ball..
More then half here are young generation,
For full to faltu time pass..
Differences of rich & poor
Is hidden behind this magical wall..
There is alot of knowledge in this magic box..
Just click & its start..
Search engine is their to connect to full
Information from the world you want..
Today with, like this technology
For human being its easy to find more
Information about his surroundings
(hotels,theatres,booking of bus n air,etc).
The life of a person is become lazy somewhat..
Technology got all connected
For some good reason
But its become a toy for all entertainment..
Availability of this internet  is very common
In a instruments like ipads n mobiles..
Many have succeeded in life
From its magical point..
Live the happy life by chatting
Or talking onl9 at any time,
Its just a showoff for today's lifestyle..
Now its become more
Easy to shop & order things
From around the world brands
With a delivery at your doorstep,
Forget to move out from
Your house for shopping..
Wow.. Just a click of a button
Get connected to internet
With lots of knowledge
At your hands.. ;)




Wednesday, June 11, 2014

Sona kitna sona hai....


Sona kitna sona hai 
Gareeb ki kalai se nikal ke 
Ameer ki tijoriyon mein 
Bandh hoke rehta hai..
Kal tak sajjta tha gehna 
Banke nar aur nari pe,
Ab toh mehnga sa dattu hai..
Keemat teri badh gayi 
Amuliya sa tu hogaya..
Aam insaan ki hadd se 
Bahar ho gaya..
Par ab mushkil hai 
Roz ke shingar mein tere hona..
Mehngayi ki maar ne 
Kar diya pareshaan har haal se..
Ab nahi sajjti koi nari sone ke singhar se..
Suraj ki chamak teri 
Chaundiya gayi looteron ki nazron ko
Naa mumkin hai ab 
Tujhe apne ang pe sajjana.. 
Kya re sona teri kismat 
Ab teri jarurat hai bas shubh din par..
Sab dattuon mein anmol tha 
Par ab amuliya sa ban gaya..
Shingar se uttar kar bade taale wale 
Sandhukon mein bandh ho gaya..
Ab toh bas jarurat pe hie tujhe 
Istmaal ya kharch kiya jata hai.



Aaj kuch alag hie baat hai...

Naa dard hai naa udaasi hai, 
Aaj kuch alag hie baat hai..
Sochti hoon is kore kagaz pe 
Kuch likhun par kuch nahi suj raha..
Aate hain zehn mein lafz (word)par 
Waakya (sentence) nahi ban raha..
Khamoshi se mann ulhja hai 
Alfazon ki jamele (alphabet) mein 
Par dil hai ke kuch 
Dhoond raha hatt ke zehn se.. 
Itne sare alfaaz uppar niche kiye 
Jod jod ke ek dusre ke sangh 
Kuch na samajh saka mann..
Bahut hai golmaal..
Areee..maine toh sochte 2 
Lafzon ko jod diya 
yeh kya kuch likh diya.. 
Acha lage toh comment karna 
Warna to smile se like kar dena...


Monday, June 9, 2014

Zindagi Naatak Ki Kitaab Si..

Zindagi naatak ki kitaab si lagti hai..
Har kahani ke panne pe kirdar badal jata hai..
Har kirdar ka apna mehtva hai..
Kahin pe alfaaz rula gaye, kahin pe shabad hansa gaye..
Kahin pe toh main khamosh si reh gayi..
Samundar ki lehron ki tarah uchhal uchhalte badti gayi..
Kabhi kinare se takrai toh kabhi dusri lehr se jud si gayi..
Umar ki ginti bas badti gayi..
Ab naa woh bachpan raha, 
Naa woh shauk aur chanchalta..
Bas beete hue pal aur lamhon ki yaadein hain 
Is kitaab ke panno pe nazar aati...
Tasveerein kai hain jeevan ki, 
Har tasveer pe apna rang hai beete hue pal ka 
Aaj woh kal ke gujre hue lamhon ki yaadgaar ban gayi..
Kori kitaab thi bachpan ki, 
Zindagi ke rangon se rang gayi sihai indradanush ki..
Panna panna palat ti gayi zindagi mere jeevan ki..
Ek nayi kahani rachti gayi mere kirdar ki..
Kabhi thaki si kabhi waqt se ladti hui 
Soch ke samundar mein dhoobti gayi..
Kamjoor nazron se bheegi palkon ko 
Ungliyon se sehlate hue, 
Mausam ke badalte rukh ko sehti rahi..
Aaj bi zindagi kisi na kisi kirdar ke 
Naqaab mein hai ulhji hui..
Kirdar badal gaye 
Chehron pe naqaab lagate 2..
Aik jeevan ke kai kirdaron ko nibhate 2..
Loot gayi komalta jeevan ki 
Salvatein sehlate 2..
Abh juriyaan nazar aati hain chehre ki 
Aaine ke aage.. 


Friday, June 6, 2014

Dil Ki Dewaaron Pe...

Dil ki dewaaron pe
Uski dhadkano ne dastak di..
Aashiq hua mann mera,
Kismat ne bi angrai li..
Bas mein nahi hai haal-e-dil apna,
Ab saanso mein uske bi
Masti si humne mehsoos ki..
Waqt be-waqt khayal uske aa jate hain
Chehre pe masti bari muskaan le aate hain..
Anjaan se pehchaan hui, hello hi se shuruat hui..
Ganto tak online aur mobile pe chat ki chuskiyaan li.
Yeh hai naa, woh hai naa kehte kehte,
Naa jane kab tak baaton hi baaton mein mastiyaan ki..
Chura gai woh dil mera aur maine uff bi naa ki..
Mulaqaat ka intezaar hai par
Abhi tak uski taraf se naa hai..
Kaisa yeh ladkiyon ka subhav hai,
Kehti naa hai sharma ke
Par dil mein haan hai muskurate hue..
Ab baatein hoti hain unse din mein
Aur khuwaab bunte hai uske raaton mein..
Aaj kiya hai usne milne ka vaada
Such puchho toh dil mera
Dharak raha hai kal se jyada..
Bada ajeeb sa lag raha hai aaj mujhe
Naa jane milne se kya haal ho mera..
Mile toh dekh ke dil uchhal ne laga,
Mann toh be-kaboo ho gaya..
Hello hiii se shuruwat hui..
Rukna jara abhi toh mulaqat ki shuruvat hai hui..
Kuch usne kaha kuch main suna..
Uski baaton se sau sawal thay usne puchhna..
Par yaara mera toh aik hie jawab hai sab sawalon ka..
Jaroorat ko naa tol dil ke tarazu mein..
Zindagi hai bandhi saanso ki dor se..
Vaadon pe nahi kismat chalti 
Mil jaye lakeerein toh kayenaat bi saath hai deti..
Aik baar toh dil ki nazar se parakh ke dekh mujhe..Meri jaan.