Thursday, December 17, 2015

Tab Tak Sab Badal Gaya...


Zindagi ko samajhte,
Tab tak sab badal gaya..
Jaise koi khwab tha,
Aankhon se gira..
Umar zindagi ki, palat gayi jaise
Hawa ke jokhon se
Paltay panne kisi khuli kitaab ke..
Kahin pe thay kuch uljhe hue toh,
Kahin pe thay aadhe mure panne..
Waqt jaldi chala tha ya main hie
Kho gayi thi waqt ke pehlu mein..
Zindagi ko samajh hie naa payi ke
Waqt kaise chala gaya din se
Mahine aur saal ko ginte ginte...
Abh sochti hun ke kahan kho diye
Meri zindagi ke sapne,
Grahsti ko jodte jodte...
Palat ke dekhti hun aaina toh
Nazar aati hai, chehre pe thakaan si.. 



Thursday, November 26, 2015

Kismat aur Karma acche ho...


Kismat aur karmas achhe ho toh
Heere aur sone ke 
Jaal mein phas jate hai..
Jab kismat ruthi si ho 
Aur karmas achhe ho,
Jeel si aankhon se
Moti se aansu beh jate hai.. 
Acchi kismat aur 
Acche karm walon ko achhe phal
Aur sukh ki chhaon naseeb hoti hai..
Kismat aur karmas ke naap tol mein
Phas gaye dharti ke jeev.
Kudrat ki kaainat se lok parlok sajja,
Kismat ke aage haar gayi 
Na jane kitni zindagiyan..
Yeh insaano ki aankhon pe 
Maya ke jaal chamakdar..
Phas gaya maanv dekh ke 
Is lok ki jag magahat,
Naa jane kitni baar kar baitha 
 apne halat se samjohta...
Aankhen ho jati hai num, 
jab dil hai rota..
Kis kis se puchhe,
Kyun hua hai
Mere saath aisa dokha.
Kismat ke sitaron se
Mere karmas ulhaj gaye
Ya mera naseeb hie hai aisa.

Sunday, August 30, 2015

Aik pal se do pal tak ki mulakat..


Aik pal se do pal tak ki mulakat
Eh dil, jeevan ki dor mein
Baand gayi doh zindagi.
Aayi bahar khil khilane lage
Jaise doh phool mohabbat ke
Aik guldaste mein shaan se..
Kabhi thandi hawa ki
Khushi si lehraye toh 
Kabhi dhoop ki tapat se, 
Udaas nazar aaye..
Badle mausam, aayi bahar
Waqt ke saaye mein
Yeh bi hue doh se chaar..
Khushiyon ke jaise aayi ho bahar..
Jeevan ki bhaag daud se
Yeh bi naa bach paaye
Rang hue phike se
Jaise thak gaye ho jeevan se.
 aaj bi woh pyaar ki khushboo hai
Unke beech mein,
Jaise ek dujhe ko dekh ke,
Jeete ho aik dujhe ke liye.... 

Thursday, July 23, 2015

Pata hie nahi chala..

Pata hie nahi chala..
Waqt kaise beet gaya..
Waqt ne aissi karvat li
Zindagi ki kahani,
Aduri si reh gayi..
Hai toh sab kuch wohi,
Par meri naav ne
Khivaiya kho diya..
Mausam aaye laut ke
Aur baharein aayi par
Aaj tak kabhi woh,
Laut ke nahi aaye, 
Jin ke jaane se zindagi 
Adhuri si ho gayi..

Waqt, ki kya baat hai..

www.jazz0961 blogspot.com
Yeh meri 1000nd post hai ..

Waqt ki kya baat hai, 
Mann mauzi, uska mizaaz hai..
Sukh aur dukh haathon mein liye 
Pata nahi, karta kiski talaash hai..
Rukta nahi woh kabhi bas 
Kuch palon ke liye khushi aur 
Gham se sukh aur dukh ko mila deta..
Waqt chalta hie rehta hai 
Bas kisi ki zindagi, 
Kabhi roshini toh 
Kabhi andhre se bhar deta hai..
Waqt toh waqt hai humesha badalta hai
Kabhi accha toh kabhi bhura hota hai, 
Par kabhi kisi ka sagga nahi hota hai..
Yeh kaisi waqt ki leela hai, 
Jab dekho usse bas gol hie gol ghumta hai..

Tuesday, July 21, 2015

Aankhon Ki Kalam...

Aankhon ki kalam ko
Ashkon ki siyahi mein,
Dubo gayi teri yaadein..
Khayalon ke panno pe 
Tasveer bana di teri 
Purani yaadon ne..
Saanso ke taar se dil ko 
Behla rahe dhadkan ke saaz..
Khamosh lab bi gunguna ne lage
Jab zubaan pe aaya tera naam..
Yeh kaisi deewangi hai, 
Yeh kaisi mohabbat hai teri, 
Jo bas tujh mein hie 
Khoye se rehte hain hum aaj bi..


Wednesday, June 3, 2015

Tere Khayalon Ka Aana..

Tere khayalon ka aana,
Aake yun hie nazron mein ruk jana..
 gujre hue lamhon ke yaad aate hie 
Ghumsum si palkein, ashqon se num ho gayi..
Laut ke aa gayi hai mausam ki bahar,
Yeh jarna yeh phool aur 
Yeh pakhshiyon ki aawaz.. 
Yaad aa gayi wo suhani si yaadein..
Bas teri yaadein hain jo khayal ban ke
Mujhe yunhi intezaar karaye..
Kabhi toh tum laut ke aaoge mere paas..


Tuesday, May 26, 2015

Jo Kudrat Ne Nirtya Kiya..

Palak japakte hie deh gaye 
Aashiyane jo kudrat ne nirtya kiya..
Bhikhar gaye naa jane kitne mala se moti 
Koi yahan toh koi kahan gaya..
Toot gaye mahal, loot gaya dharti ka prani 
Naa jane kaisi thi kudrat ki dewaangi..
Aaj bi insaan samet raha hai 
Tinke aapne aashiyaane ke..
Kal jahan mahal thay khade 
Aaj mitti ke dehr hain pade.
Eet se eet jodke, gar banaya 
Na jane kitne armaano se, 
Apne pariwaar ko basaya..
Yeh kaisi mauz hai teri bhagwan.
Jo tere khel ke aage 
Har jeev behbas aur lachaar hua,
Aaj yeh haal dekh ke dil roh diya..yaa rabba.


Sunday, March 8, 2015

Kab Dhadkan Ruk Jaye...


Ab toh agle pal ka bi barosa nahi aur
Khuwaishon ke mahal
Khade kar diye hazaron mein..
Aaye din dekhte hain,
Kab dhadkan ruk jaye pata nahi..
Kuch palon mein saanse, 
Halak mein atak jaye kaun jane..
Ab toh maut ka bi koi bharosa nahi..
Maulat bi nahi milti kuch pal ki 
Ke apno se kuch keh paaye 
Jaate jaate, gale milke alvida keh jaayein..
Bin bataye aa jati hai woh (maut)
Apno se chhin jati hai kisi apne ko..
Dekh ke aaj ke halat dil udaas ho jata hai
Afsos..umar kharch ho gayi duniya ko
Sochne, samajhne mein
Aur aik pal bi na laga saanson ko
Dhadkan se bichharne mein..

Saturday, February 14, 2015

Aaye Aur Chalte Gaye...

Aaye aur chalte gaye
Pal pal yaadon mein badalte gaye..
Zindagi ki raah pe
Din, raat mein palat te gaye..
Samay ka chakra chalta raha
Roz marah ke kaamon mein
Jeevan ulhajta raha..
Kabhi koi saath chala toh
Kabhi koi chhod ke nikal chala..
Har raah pe hai aik naya sa modh..
Rukta toh koi kisi ke liye nahi
Phir bhi kyun hai kisi ke
Saath hone ka ehsaas dil ko..
Kaun jane kahan se chale aur
Kahan jaa ke ruk jaye yeh kadam..
Har pal pal ka hai mol bada
Jab aaye dard zara..
Chalak jaye ashq juka ke palkein
Jab jab aankhen roye
Dil ke kande pe bichhadne se.
Kaun jane kahan antim 
Pal hai khada judai ka..
Manzil toh sab ki ek hai,
Bas sawari mein hai fark bada..
Beeta hua pal laut ke nahi aana, 
Gujre hue kal mein naa kho jana ke 
Mile hue aaj se haath doh baithe..







Tuesday, February 3, 2015

Aatma Ki Dor Bandi...

Aatma ki dor bandi parmatma se
Karmon ke chakkar se phans gaye
Is duniya ke maya jaal mein..
Sau dor se bandi har zindagi
Na jane kitne anmol dor se amuliya hai..
Har pal pal ki ginti se na jane
Kaunsi aakhri gari hai jo,
Saans ki dor, dhadkan ki tic tic ke
Tanav se halak mein aatak jati hai..
Kuch hie pal mein zindagi
Duniya se udhan chhu ho jati hai..
Yeh kaisi leela hai teri Ram ji,
Teri nagri mein doh pal ki khushi bi
Bade dard mein badal jati hai..
Jab zindagi aur maut bi teri hie mauj hai, 
Phir kyun dharti ke 
Jeev ko apne pe hai itna guroor.


Sunday, February 1, 2015

Khamosh Aankhon Mein...

Khamosh aankhon mein,
Woh khuwaab kahan..
Surkh palkon mein,
Abh woh sailaab kahan..
Lehron ke saath beh gaya kajra 
jab rimzim barse nayno se badra
Yaadon ke samunder mein nazron se
Aaj bhi tumhe khojte rehte hain..
Udaas dil aur mann ke jarokhe se
Neele aasman mein aaj bi tumhe dhundte hain..


Tuesday, January 27, 2015

Aaj ki Zindagi jaise...

Aaj ki zindagi hai jaise
Aadhi khuli si kitaab,
Kuch panne kore toh kuch
Aade adhure se likhe alfaaz..
Har zindagi ke panne pe
Kalam ki siyahi ke
Kahin bindu hain,
Toh kahin hai tedhi medhi
Lakeeron se bane alfaaz..
Kora kagaz aur khush mizaaj
Aisa nahi hai kisi ke zindagi ka aaj..
 yeh hai naye zamaane ke naye kitaab, 
Har paane ki hai badi si chahaat
Duniya ke rangon se khil jaye zindagi jatpat..

Wednesday, January 21, 2015

Mausam Kya Badlay...

Mausam kya badle,
Hawaon ne bi apne rukh badal diye,
Kabhi thandi toh kabhi garam si chalne lagi..
Uff uff kar ke har zindagi kabhi thand se
Toh kabhi garmi se pareshaan si hone lagi..
Be-dard ho gaya hai mizaaj mausam ka,
Kahin dharti gusse se tapne lagi toh
Kahin aasmaan roh pada,
Barsaat ke aansu..
Kahin hil jati hai zameen toh
Kahin garzta hai aakaash
Jeena mushkul hone laga
Dekh ke rang bramhand ka..
Sunder aur rangeen phoolon se,
Khate aur meethe se phalon se,
Sajaa tha bramhand,
Janwar aur panchhiyon ki halchal se
Khubsurat tha nazara prithvi lok ka,
Lalach ne insaan ke roop mein
Aake kar diya sab sarvnash..
Abh naa woh sunderta hai
Naa woh phalon mein meethas,
Zindagi ban gayi katputli lalach ki gulaam..