Monday, October 31, 2011

Kitaab ke panay ...

Kitaab ke panay 
palat palat ke thak gaye,
per teri tasveer 
nazar nahi aati.
jo kabhi rakhi thi tumse 
chhupake kitaab mein.
aise ruthe tum mujhse ke
tumari tasveer bi ruth ke 
durr chali gayi mujhse.

Maut maut kyun ho karte..

Maut maut kyun ho karte..
marna to ek din hai..
fir kyun itne bechain
ho jate ho marne ke liye.
mili zindagi khushi se jee le.
na kar maut ke naam se us dil ko
udaas JO baithi hai teri rooh mein.
kyun himmat haar gaye bin mile us se.
do dilon ka mailna hai,
yeh sab waqt ka khel hai.
jab aayegi maut darr ke
chhup jayenge sare hosh.
apna daaman bi na sambhal paoge.
mili hai zindagi kisi wajah se
kya us wajah ko dekhe bina chale jaoge.
pyaar karte ho to sabr bi karna seekho.
pyaar leta hai kai imtihaan pyaar mein.
bas apne pyaar pe barosa karna seekho.
hogi koi wajah jo wo hai yuh chupsi.
warna wo bi na jee paati hogi ek pal bi tum bin.

wo khoya hai ...

wo khoya hai kisi ki
chahat mein itna
usse hosh nahi apna.
deewana hua phirta hai
kabhi yahan kabhi wahan.
mohabbat hie hai uska khuda ab.
 uske labh pe hai yehi duva
mil jaye mujhe meri zindagi
jiske bina hai meri rooh khali.

Sunday, October 30, 2011

A dil uth chal ...

A dil uth chal yahan se.
koi ho gaya hai khafa aur
pareshaan tere aane se.
wo naa kare pasand teri maujudagi.
bandh kar de darwaaze ab us jahan ke.
aise bandh karna ke
fir kabhi na khul paaye.
sau baar wo bhulaye to bi
tu uski baat na sunna kabhi.
bahut rulaya hai usne tujh ko
ab us se na koi baat karna tu kabhi.

Kahan hai fursat ...

Kahan hai fursat humko ya zamane ko.
bas yeh mann hai jo nakhre karta hai.

 kisi ke saath kuch pal beetane ko.
mann akelepan se darta hai. 
khelta hai dil ke saath athkeliyan.
 dil hai ke kisi ki yaad mein khoya hai.
mann bechara chanchal jo thehara.
isliye aankhon se dil ko chhedta hai.

Saturday, October 29, 2011

KUCH PAL KI DHURI...


Kuch lamha kuch pal ki
Dhuri bi nahi sahi jati.
Kaise batayein kitna tadpata hai
Dil mera tumse milne ke liye.
Mere do yeh pagal nayan
Bas khoje tume har pal.
Tum to aise chhupe ho
Jaise badri mein chand.
Kab tak nazrein chura chura ke
Apni bheegi palkein chhupati firun.
Apne dil ko yun hie behlati rahun.

TUJHE YAAD KIYE BINA...

EK PALAK NA JAPKI
TUJHE YAAD KIYE BINA.
MERI HAR SAANS MEIN
BASSI HAI JAISE TERI SAANSE.
JEETI HUN AISE KE
KHUD KA HOSH NAHI.
KAISE BATAUN KITNI
RAATON SE SOYI NAHI.
AB TOH TERA INTHZAAR
KARTI REHTI HUN.
MAIN ZINDA REHTI HUN
BAS TERE DEEDAR KE LIYE.

Friday, October 28, 2011

dard e gham...

Wo tanha kar ke hume chal diye.
hum hai ke bas dekhte rehgaye.
thaam tha saath dosti ka aur
wo dost ko hie piche chhor diye.
ab karte hain inthzaar unka
ke kabhi to wo lautenge.
batayenge dard e gham apne dil ke
jo judaai mein wo hume de gaye.

Sunday, October 23, 2011

palkein bheego rahe ho...

Tum kyun yuh palkein
bheego rahe ho.
Apne dard aur gham mein,,
kyun apne dil ko
dhubo rahe ho.

kya aasnu chalkane se
mit jayega dard.
Jo tum har pal
roye jaa rahe ho.

Mana pyaar ke
zakhm hain bahut gehre.
Kyun tum yuh apne zakhm
karode jaa rahe ho.

 Tum kyun apni umeedon ko,
dard ke sagar mein
dhuboye  jaa rahe ho.

Mana inthzaar ke
pal kat te nahi.
Fir bi tum yuh
uske inthzaar mein
ashq chalkaye jaa rahe ho.

Saturday, October 22, 2011

JAB WO AAYEGI MILNE.....



Raat mein jab wo
Aayega milne chaand se.
Aankhen uski dhundti 
Hongi us mein mujhe.
Chhalke honge aansu bi 
Uski aankhon se 
mujhe yaad kar ke.
Aaya hoga mera naam 
Baar baar uske zubaan pe.
Kabse tadap raha hoga
Mere deedar ke liye.
Kitni raat wo na 
Soya mere yaad mein. 
Chhalke uske ashq to 
Roya dil uska meri judaai mein...
Bas banaa tha waqt harjayee 
Warna main kab uske bin jee paayi.
Tha kismat pe 
lakeeron ka pehra,
Jo humari taqdeer mein 
Tha kuch lamhe durr rehna.





Dard ke aansuon se...

Kab se hain haath tumare 
gile dard ke aansuon se.
 kitni siskiyaan hain in mein,
chhupi hui tumari

pyare dilbar ke liye.
Raat bhar kitna roya hai,
tumara dil uski yaad mein.
aur wo bekhabar hai
kisi aur jahan mein.
aaj kar de sare dard
apne bayaan chand ke aage.
shayad wo hi jaa ke tere dilbar ko
tere dard-e-dil ka haal bata de.

Friday, October 21, 2011

JANA O MERI....

Jana O meri jana..
tune kabhi yeh jana.
ke tere pyaar mein
tere intezaar mein
yeh dil kitna tadapta hai.

Jana O meri jana..
tune kabhi yeh jana
ke meri aankhen
tujse milne ko
kitna roti hain.

Jana o meri jana
mere pyaar mein
kya kami hai jo tu
chhup si gayi hai.
pyaar mera hai
teri raha dekh ta aur
tu kahan kho gayi hai.

Jana o meri jana
soch zara main tere bin
kaise jee paunga.
aaja tod ke
sare bandan
meri zindagi aaja.
jana O meri jana...

Tuesday, October 18, 2011

Tanha tanha se rehjaoge...

Faer do nazrein humse.
Kar lo palkein bandh
hum nazar nahi aayenge.
hum to tere intezaar mein
kabse tere deedar ko
palkein bichhaye hain.
teri yaadon ko dil mein
sajaye baithe hain.
jab kabhi palkein khologe
bas hum hie nazar nahi aayenge.
afsos tab tum tanha tanha se rehjaoge. 

Badle dost to....

Badle dost to dil hua udaas.
badle badle unke har andaz.
jaise ekdam se aaye
subah ke baad raat.
yehi to thay kal mere saath,
fir kya hua aisa jo
badal gaye wo raat o raat.
mausam badal ne mein bi waqt lage
per dost to badal gaye bin bataye.

kyun ho itne durr...

kyun ho itne durr ke
mana ne bi nahi aa sakte.
mita na chahay faslay
to bi mita nahi sakte.
dhadk ti hain dhadkane dil ki
par apne dil ko ab
nahi sambhal sakte.
hui hain duriyaan nazron ki
palkon ko nahi samjha sakte.
kab se hai intezaar tumara
ab to khud ko bi nahi bata sakte.

Monday, October 17, 2011

Ek shauk hai tera....

Ek shauk hai tera.
ya apne dard ko
jalane ka naya andaaz.
kuch pal ka sukun,
Ya zindagi ke ghamo ko
mitta ne ka bahana.
kabhi kis baat pe
kabhi kiski yaad mein.
isko jala ke
apne dil-o-jigar ko 
sulgate rahe.
sulagti hai kuch pal
sukun dene ke liye,
khatam ho jati hai
khak banke.
tum sulagte ho
dheere dheere
khak ban ne ke liye.
har baar jab bi isko
apne haathon se jalate ho.
yeh to tera shauk bani aur
tume iski aadat si ban gaye.
ab yeh sulgay na sulgay per
tum iski chahat mein
sulagte rahe TALAP banke.

TAMASHA-E-ISHQ...

Ajab tamasha-e-ishq dekha.
aaj kisi ko khuda se
fariyaad karte dekha.
khile patte patte ped per
bas ek phool ke liye
ashq bahate dekha.
tha sawaal mohabbat ka,
ek phool khilta us ped per
to wo aake izhaar karta
apni mohabbat ka.

Ghumsum se....

Kyun ho itne ghumsum se.
kya dard-e-gham hai jo
chhupa rahe ho.
kyun peete ho
dard se bhare jaam.
khud toh tadapte ho
hume bi rulate ho subah shaam..
yeh kaisi mohabbat hai tumhari,
ab toh bas dil rota to hai par
aankhen hain aansuo se khali.

Saathi...

Tute hue dil mein 
koi rehta nahi.
ruthe hue dil ko 
koi behlata nahi.
chalke hue aankhon se
aansu koi peeta nahi.
mana ke kai hain 
humare saathi.
per tumhare jaisa
koi hume milega nahi.

Sunday, October 16, 2011

Choti choti si baat..



Aa jati hai mere hoton pe 
halki si muskurat..
sochti hun kitne 
maasum se thay, 
us waqt tum.. 
teri mithi si baatein 
chhu jati thi mera mann.
ab ho gaye ho 
natkhat aur shararati se.
sunte nahi 
koi baat jaldi se.
ab bahut karte ho 
apni mann mani.
yaad aa jati hai
mujhe teri nanni.
wo bi kabhi hui hogi 
meri bachkani shararton se 
is tarah se pareshaan.
ab ehsaas hua kyun kehte hain
maa banogi tab janogi.. 
kitna pyara sa hai maa ka dil..
mamta ka sagar.
maa to maa hai..
rabh ka dusra roop..

Wednesday, October 12, 2011

DOSTI..

AH DOST KAISI DOSTI TERI..
JO DOST PE HIE
APNI NAZAR RAKH DE.
DOST HOTE HAIN,
RABH JI KE FARISHTAY.
TUMNE UN PER HIE
APNI NIYAT BHURI KAR DI.
PAAK HAI YEH DOSTI KA RISHTA..
PAAK HAI YEH NAAM(DOST)..
KYUN TUMNE DOSTI KE
DAMAN KO BHURI NAZAR SE
KAR DIYA DAAG DAAG.
AB AAGAYE KI SOCH,
KAISE KAROGE SAMNA DOST KA..
APNA NA THA KHAYAL
DOSTI KA RAKHA HOTA LEEHAAZ.
AB KYUN REHTA HAI
APNA CHEHRA CHHUPA KE
DOST MAAF KARE NA KARE.
TU TO US SE MAAFI MAANG LE.

Tuesday, October 11, 2011

Kaun Ho Tum..

Kaun ho tum ..?
Sapna banke nindhiya ke saath aa jate ho.
Chhupke se aankhon mein baith jate ho.
Raat bhar saath hote ho, nighaon ke paas hote ho.
Kabhi hansate ho, to kabhi darra ke rula dete ho...
Ho tum bahut ajeeb se, Kabhi apno se mila te ho
Kabhi ajeeb si duniya mein ghumane le jate ho,
Bas kuch pal hie rahte ho saath.
Palkein khuli nahi ke tut ke bikhar jate ho tum.
Bahut koshish karti hun, tume samatne ki
Par tum dundlate chale jate ho meri yaadon se.
Kuch ajab aur gazab se ho. Par ho chor kahin ke..
Mujhe ghumrah kar dete ho,ek ajeeb si duniya
Meri aankhon se nindhiya churake udh jate ho aasmaan mein.
     

HASRATEIN...(unfullfill wishes).

Hasratein...(unfullfill wishes).
Ek hasrat thi ek zindagi ki.
Wo bi adhuri si reh gayi..
Kaise bataye ke kis manzar se 
Ghujri thi ek zindagi.
Jo ab thak ke ghumsum si 
Baithi hai ek zindagi.
Har morh per mili 
Ek nayi si zindagi.
Har zindagi ki thi 
Apni hasratein,apni kahani.
Ek bachchi se,
Ek aurat ke safar mein 
Ek zindagi ki kai 
Hasratein ban gayi. 
Dheere dheere uski hasratein 
Kahin kho si gayi.
Mar si gayi ek zindagi.
Aur parwaan ho gayi.
Itni hasraton mein se 
Ek hasrat na poori 
Ho saki ek zindagi ki.

Monday, October 10, 2011

PAANI...

AAYA HUN KUDRAT KE
AASHIRWAD SE.
TUM SAB KE PAAS.
PER AAJ TAK KISI NE
MERA KHAYAL NA KIYA..
ZARA ZARA KAR KE
BEHTA HIE GAYA.
MUJHE BHARA
HAATHON MEIN AUR
MAIN FISALTA HIE GAYA.
TIP TIP KAR KE SAB KE
PYAAS BHUJATA RAHA.
PER MUJHE AB BI
KISNE NA SAMBHALA.
HAR EK KI JARURAT HUN
MAIN DHARTI PE.
NA MERA KOI RANG
NA MERA KOI ROOP
JIS MEIN MILA DO
LAGU US JAISA.
AASMAAN SE GHIRA,
DHARTI SE NIKLA.
PHIR BI MERA MOL NA KOI.. 

WO SHAKS...

Woh waqt purana yaad aaya. 
Woh shaks deewana yaad aaya.
Mila tha kisi mehfil mein.
Woh tha anjana sa, 
Kuch pal mein dost ban gaya.
Uski mithi si baaton se 
Dil ko us per yakin ho gaya.
Na jane kya hua 
Woh humse durr ho gaya.
Aaj bi dil dhoondta hai usse..
Woh jane kahan kho gaya..
Kaash aaj wo mil jaye phir 
Us din ke jaise.
Puchhenge ke kyun chhod gaye 
Hume woh yuh akele se.

JALAYE KAHI CHIRAAG....

ZINDAGI MEIN JALAYE KAHI CHIRAAG. 
PER PYAAR KA EK CHIRAAG
NA KHUSHI SE JALA PAAYE.
THAY KAI GHAM ZAMANE KE PER
EK GHAM SE KHUDKE NA GUJAR PAAYE.
HAR BAAR MULAKAT MEIN
HOTE THAY GILE SHIKVAY.
BAS PYAAR KE  MITHAY ALFAZ
EK DUSRE SE NA BOL PAAYE .
DHEERE DHEERE RETH KI TARAH
FISALTE GAYE DONO EK DUJHE SE.
ZINDAGI MEIN NA SAHI SHAYAD
MITTI MEIN GUL KE MIL PAAYE.

MAUT AAYEGI BIN....

MARNA AASAAN HAI
JAB CHA HO AANKHEN BANDH KAR LO..
PER ZINDAGI JO MILI WO TO JEE LO.
MAUT AAYEGI BIN BATAYE PER
ZINDAGI AAYI HAI BATA KE
US SE TO SAMBHAL LO.
KYUN MANGTE HO WO
JO AASANI SE MIL JATA HAI..
MAANGO WO JO JEENE KI WAJAH BANE.
PYAAR SAZAA YA MAUT NAHI MANGTA.
PYAAR TO ZINDAGI KO JEENA SIKHATA HAI.
BAS THODA SA KHUD KO BADLO
WARNA SAB KUCH TUMARA BADAL JAYEGA.
PHIR HAATH MALKE ROTA REH JAYEGA.

Sunday, October 9, 2011

ROG LAGA LIYA...

JAAN KO YEH KAISA
ROG LAGA LIYA.
APNE DIL KO
KHUD HIE SAZAA DIYA.
KHATA TO MERE NAZRON KI HAI.
JO CHORI CHORI CHHUPKE SE
UNSE NAZREIN MILA LIYA..
AB ROYE HAIN NAYAN CHHUPKE SE
TADPE HAI DIL MILNE KO UNSE.

BERUKHI....

AAJ DIL CHAHATA HAI
ROH DU APNE SARE DARD..
HAR BAAR USKI BEHRUKHI SE
GHAYAL HO JATA HAI MERA DIL.
AAJ KHUD KI NAZREIN USSE FAER DUN.

TASVEER MEIN TUM...

Kab tak usse dekh kar durr se 
apne dil ko behlate rahoge..
Kabhi to uske nazdeek jao,
apna haal-e-dil sunao.
Mana zubaan se bole bina 
baat nahi banti,
aankhen alfazon ki 
basha nahi samajhti. 
Per nazron se nazrein mila kar 
dil-e-chahat ko bayaan to karo.


STOP NOISE POLLUTION...

PLS..STOP NOISE POLLUTION.
KOI BOLE TO...
KAB
KYUN
KITNA
KAISE BOLE..?
 KOI SUNE TO..
KYUN
KAAYEKO 
KISIKO SUNE...?
 PLS..CHHOD DO BOLNA AUR
SUNNE WALI PRATIKRIYA KO.
MAUN REHNA BAHUT ACCHA HOTA HAI.
ISLIYE MUH KO KARO BANDH
WORKOUT KARNE SE
KUCH PAL KE LIYE.
DOSTON CHAT PER AAO
APNI HAATHON KI UNGLIYON KO
KEYBOARD PE CATWALK KARAO.
KHUD KI SAEHAT BANO AUR
DUSRON KO AARAM DO...
APNI NAHI HAI FEEKAR TO
AURON KA KHAYAL KARO.
BAS APNE MUH AUR
MERE KAANO KO MAAF KARO.
PLS.KUCH PAL KE LIYE MOBILE KO OFF KARO.. 

Saturday, October 8, 2011

KAISE BATAYEIN KE....

KAISE BATAYEIN KE KAISE HAIN..
JAAGAY HAIN YA SOYE HAIN.
TERI YAADON KE
SAMUNDAR MEIN DHUBAY HAIN.
AKALE HO GAYE TUM BIN.
NEENDH BHUL GAYI HAI RASTA.
ABH TO SAPNO SE BI NAHI VASTA.
SOCH AUR KHAYAL KA BI HAI BEH HAAL.
DONO KA NAHI HAI
AANKHON SE KOI MAIL AUR TAAL.
AB TO SAMJHO KITNE AKALE HAIN
BIN TERE 
MERA DIL AUR YEH MANN .

Friday, October 7, 2011

TUM SAATH MERE...

HAR RAAH PE THAY
TUM SAATH MERE.
MAIN HIE NA
MEHSUS KAR PAAYA TUME.
BANDH THI MERI NAZREIN,
DUNIYA KI CHAMAK DAMAK MEIN,
ISLIYE DEKH NAA PAAYA TUME.
JAB BI MAIN GHIRA
DUKH KE SAAYE MEIN
TERA HAATH THA
THAAM NE KE LIYE MUJHE.
JAB BI DHUBA MAIN
GHAM KE ANDHERON MEIN,
TERA HIE HAATH THA
MUJHE NIKAL NE KE LIYE.
SADHA THAY PAAS MERE.
FIR BI MAIN  BADH NASEEB.
DHOOND RAHA THA TUME
MANDIR AUR MASJID MEIN.

Thursday, October 6, 2011

NAZUK HOTI HAI ....

NAZUK HOTI HAI
RISHTON KI DOR...
ZARA SAMBHAL KE
THAAM NA ISKO.
KAHIN CHOT LAGI
TUT KE BIKHAR
NA JAYE KOI,
DILSE DURR KAHIN.
FIR KABHI NAA WO
DOR JOR PAAYENGE.
MILENGE LAKH DARD
BAS PALKEIN BHEEGO KE
REH JAYENGE.

ASUVAN SE BHEEGI ...

ASUVAN SE BHEEGI
MERI AKHIYAN.
BHARI KAYE HUA RE
WO PAL MUJHSE,
JO RUTHE MORE MANNVA RE.
PALKON SE SAMBHALE NAA
YEH ASUVAN KI BHARSAAT RE.
THAAME THAME NA AB TO
DIL KI SISKIYAAN RE.
AB TO LAUT KE AAJA
MERE MANNVA RE.

Tuesday, October 4, 2011

JAAN MERI. ..



AAJA KE JAAN MERI. 
AB TO SHAAM BI DHALI.
TERE INTEZAAR MEIN. 
MAUSAM NE BI 
FAER DI NAZAR APNI..
BAN KE AAYA HAI BAADAL.
AB TU AUR DHER NA KAR.
JALDI SE AAJA IS SE 
PAHLE WO JAYE BARAS...
BIJLEE AAYI BARKHA AAYI,
MERI JAAN AB TAK 
TUM KYUN NA MILNE AAYI..

pee lo apne dard ko,..

Kyun dikhate ho apne
ranjo gham sabko.
aankhein mundh lo,
pee lo apne dard ko,
yahan sab ke pyaale hain
bhare hue udaasi se.
bas khushi ka nakaab odh kar
baithe hain sab ke sab
khush dikhane ke liye..

De duvaain dilse..

Aaj karde duvaain dilse ke 
us malik tak teri 
aawaaz paunch jaye.
Mita de har gila shikva ke 
kabhi tera dil roya tha 
udaas hoke kisi ke liye.
Aabaad rahe wo aur 
aabaad raho tum. 
Yahan na mil paaye 
to jaroor miloge 
us se kisi din jannat mein..

Monday, October 3, 2011

TERA INTEZAAR


HAR SHAAM TERA INTEZAAR
KARTE GUJARTI HAI.
TERE AANE KE KOI
AASAAR NAZAR NAHI  AATE..
AAJ DIL MEIN TERE,
YAAD BANKE AAYE HAIN
DASTAK DENE PER TUM HO KE
BANDH KAR KE BAITHE HO
ANDHAR SE DIL KE DARWAAZE.

TUMSE DURR JAAKE..

Tumse duur jaa ke bi  
tume naa bhool paaye.
bas teri har adha ko 

yaad kar ke khud ke 
dil ko behlaye.
thi tamana ke
ek baar aaoge milne.
 hum to ruthe thay tumse aur 

tum ho ke ab tak,
hume mana ne na aaye.

be zubaan hain premi ...

Mohabbaton ke mahal bane,
yaadon ke maqbaron pe phool sajay.
dafan hue premi jo mil na
sake ek dujhe se jeete jee.
ab rooh ban ke raat mein
milte hain shaant shamshaan mein.
aabad hai mohabbat aur
junoon hai pyaar ka
be zubaan hai premi
bas hai pehra raat ka.