Tuesday, January 31, 2012

kal kya layega..


kis se pata kal kya layega..
aate aate aaj ki tarah yeh bi chala jayega..
har roz karte hain aane wale kal ka intezaar..
per na kabhi laut ke aaya.. gaya hua kal ..
na kabhi aayega.. wo aane wala kal..
bas jo hai wo hai aaj..
toh bande na ganwa 
is aaj ko kal ke naam pe..
thaam le jo hai aaj haath mein..
warna pata nahi kab aaj mil jaye khaak mein..

Friday, January 27, 2012

DESTINY MADE US DOST..


DESTINY MADE US DOST..
LIKE CHAI & TOAST..
WE WERE HAPPY HAPPY.. 
LIKE BURGER N PEPSI..
MISSED THOSE LOVELY 
MOMENTS OF TOGETHERNESS..
THOSE LITTLE LITTLE FIGHTS 
LIKE CHUTNEY,PAPAD N AACHAR.
MADE ME REALIZE HOW IMPORTANT
DOST R IN OUR EVERYDAY LIFE..
SO FRNDS SMILE ITS DESTINY'S CHOICE.
NOW U ALL R WONDERFUL FRND OF MINE 
WITH A GOLDEN HEART N SWEET SMILE.

Wednesday, January 25, 2012

O RE MANNA...




O re manna kyun hua re tu bawra. 
labon se sun ke uska naam 
dil ko leke kahan udh chala. 
khayalon ke mahal ya 
khuwaabon ki jeel per. 
dekh re aankhiyon ke hai 
har taraf pehredari 
jara sambhal ja kahin
chura na le tera dil koi manchala..

Tuesday, January 24, 2012

Yeh makaan apna nahi..

Yeh haddi aur maas ka
makaan apna nahi hai..
jisko saj sanwar ke phirte hain..
wo bi kiraye ka mila.
jisko kiraya hai malik ki bandagi..
per us mein bi dokha kar baithay..
aisse dost mile ke
(lalach,jhoot, makari aur maya.) 
apna wajood bhool gaye.
batak gaye apni manzil se.
phans gaye fir chaurasi lakh
janamo ke chakra mein.
jab pata hai insaan ko
kuch apna nahi hai
fir bi batak raha hai
mera mera kar ke.
jaal bhun raha hai
maya aur lalach ke saath
apni aankhen mundh ke..
na kuch saath aaya
na kuch saath jayega.
jaag re bande kar le 
malik ki kuch bandagi ke 
jab jaye is jahan se to
malik ke haath thaam ke saath jaye.. 


Monday, January 23, 2012

Waqt ke hain do haath..


Waqt ke hain do haath..
dharti aur aakaash..
Waqt chalta hai apni chaal..
din aur raat..
Waqt jaise chahe waise karaye.. 
saal ke 12 maas..
fir bi koi uff na kar paye 
24 ghante mein ek baar..
jo kare mann maani waqt kare de 
uske jeevan mein haani.
Waqt se na lad paya aaj tak koi.
kaisi chaal chalta hai na yeh waqt 
tik tik karke dil ki dhadkan se  
jaise khelta hai aankh micholi..

Sunday, January 22, 2012

Kaise dhundlati gayi..



Kaise dhundlati gayi 
teri yaadein...
yaad nahi..
Kaise kho se gaye tum 
meri nazron se..
dekha nahi..
Kyun hue ithe faasle..
aaj bi pata nahi..
fir bi hai intezaar ke 
tum aaoge milne.. 
kabhi na kabhi..

Friday, January 20, 2012

Kuch pal toh rehte...

Kuch pal toh 
rehte in palkon mein..
kuch pal toh nazrein 
kar leti tumhare dedaar..
kuch pal to kar lete yeh 
aankhen tumse baatein do chaar..
per tumhe to thi itni jaldi ki 
ashqon se takra ke chal diye..
dekho na bechare tumse milne ki 
khushi mein palkon se 
fissal kar ghir pade...

Aayi thi tumse...


Aayi thi tumse milne, 
meri yaadein hichki ban ke..
laut aayi udaas si.
pucha to kehti hai kaise jate..
dil aur zubaan pe hai uske
kisi aur ke naam o nishan.

in sard hawaon..


A dil na yuh machal 
in sard hawaon ko dekh kar..
yeh toh hai kuch pal ki musafir 
phir chal de gi kisi aur disha ki ore.
in ko dekh ke tu na apne rang badal.

Wednesday, January 18, 2012

satate ho..



Uski yaadein ban ke 
rehte ho mere dil mein 
pal pal khayal ban ke satate ho..
kabhi meri bi yaadein banke jao 
uske khayalon mein, 
jaa ke usko satao..
lagta hai wo bekhabar hai mere dil se 
tum hei kuch mera haal e dil usse sunao.

Monday, January 16, 2012

Beet gaye kitne mausam...


Beet gaye kitne mausam suhane..
Bheet gayi kitni chandni raatein..
Bheet gaye kitne
lamhe tere intezaar mein..
per ab tak na aaye aane wale..
kabhi milo toh batayen 
dil e haal ke tarane..
jo pal gujjre thay akele 
ab ban gaye dil ke afsane..
bas ek tum heii thay jisko 
dekhne ko taras gayi thi meri nigahen..

Har din ki raat hoti hai ..



Har din ki raat hoti hai ..
har pyaar ki mohabbat hoti hai..
har dil ki dhadkan hoti hai
fir kyun hai zindagi mein
itne sare dard aur gham..
badalta sab hai waqt ke saath,
socho to fir kahan hai 
ghunzaaish ranj o gham ki
is chhote se jeevan ke paas....

Sunday, January 15, 2012

Raat mein kho se...


Raat mein kho se gaye
tere intezaar mein.
subah hui to khud ko 
samet ne lage teri yaad mein.
per yeh dil ko kya ho gaya 
kyun wo itna udaas sa 
pada hai hathaliyon mein chhupa sa..
bahut muskul se aansuon ne 
chhalakte hue bataya ke 
tut gaya hai dil uss ki bewafaai se.
tukre ho se gaye kai uski ruswaai se.
ab kaise sametenge is tute dil ko 
jo deewana sa ho gaya hai tere pyaar mein.

Saturday, January 14, 2012

Tum paas nahi..

 Tum paas nahi to 
kuch bi nahi hai jaise jeene ko
soch ke udaas ho jata hai dil  bechara. 
teri yaad mein khoye hain aisse
ab toh hosh bi nahi hai apna.
aaye bhar ashq tume dhoond ne
toh fissal ke ghir pade palkon se.
heiii.. tere pyaar mein toh 
hum deewane se ho chale.

Friday, January 13, 2012

Milay thay ajnabi se..

Milay thay ajnabi se hum tum..
teri dosti ne itna ehsaas dilaya ke
saath chaloge  mere tum..
kuch lamhe saath gujre bi nahi ke
tum chal diye bina kuch bataye
humse durr jaise
ajnabi se hogaye hum.

Thursday, January 12, 2012

Aisa koi pal na..

Aisa koi pal na hoga jo
yaad naa aaye tum..
din ko khayalon mein to
raat ko khuwaabon mein
tume dhoond rahe thay hum.
lagta hai tume toh hum yaad hie nahi
warna milne aajate kab ke tum..

Wednesday, January 11, 2012

Bas ek jaan thay ...



Jab se tere naina
mile mere nayno se...
hoton chup thay
lafaz ghum thay.
bas saanson ki raftar se
do dil dhadak rahe thay.
naa tum thay naa hum thay
bas ek jaan thay is jahan mein..

Dil ke is paar...

Jab bi yaad kiya to royi aankhen..
jab khayal aate tumare to
chhalak jate ashq palkon se.
jab bi naam aata zubaan pe tumara to
dil sisak  padta tumse milne ke liye.
bas ek baar to aajao
dil ke is paar humse milne ke liye.

Tuesday, January 10, 2012

Teri har muskaan mein...

Teri har muskaan mein 
chupe hain dard ke saaye.
auron ko khushi dene wale 
kabhi tum bi ho muskuraye.
gehre rango se rang ke chehra apna, 
logon ke lekar dard dete ho khushiyaan.. 
 pal mein logon ko hansate ho 
pal mein khud hie rote ho. 
apni kalakari se 
sab ke mann jeet lete ho.
tumhare rangeen poshaak ke piche 
chupe hai kitne jadoo ke rang.
yeh tum jaano per 
kabhi naa jaan payenge log..

Monday, January 9, 2012

dard hain dil ke...

kyun ho gaye ho 
itne durr ke nazar aate nahi..
kaunse aise dard hain dil ke 
jo tum batate nahi..
kya tume kabhi 
humari yaad aati nahi.
kab tak kare tumara inthzaar..
ab to in surkh aankhon mein 
ashq bi aate nahi..

Friday, January 6, 2012

sankranti ka maas..

Aaya makkar sankranti ka maas
udh ne lage rang bi rangi
patange nele aakaash.
Ah dharti pe rehne walon
apne shauk ke liye
na hum panchhiyon ki
jaan khatre mein daalo.
hume bi bada dard hota hai.
uss patang ke maanje se
jab hum hote hain zakhmi.
pantang ke daage se
na humare pankh kaato.
hum per bi apni nazar daalo.

Thursday, January 5, 2012

Teri judaai mein..

Teri judaai mein dil ko
dard se pyaar ho gaya..
Aankhon ko tere intezaar ka
bukhar ho gaya..
Dekho toh tadap tadap ke 
mann ka bhura haal hai.
Mere labon pe
aaj bi tera naam hai.

Tuesday, January 3, 2012

mat suniyo re..

Aankhiyon ki mat suniyo re..
yeh toh hogayi harjaai..
roh roh ke palkon ko bheega gayi re.
jab se meri palkon se kajra tum chura gaye re..
dil-e-dard aankhiyan aansuo se bata gayi re..
naa suniyo re..aankhiyon ki mat suniyo re..