Friday, September 30, 2011

Chitthi na koi ..

Chitthi na koi sandesh mila,
uske ghar se durr mera ghar pada.
khafaa tha main waqt se,
khafaa tha main mausam se..
dono ne mujh pe hie zulum kiya,
apne apne hatyaar se.
bas uske inthzaar mein,
mujhe dard he dard mila...

PANCHHI...

DIL MERA BAN BAITHA HAI PANCHHI.
KABHI YAHAN UDHE KABHI WAHAN UDHE
KARTA HAI KHULE AASMAAN PE MASTI.
DEKH NICHE DHARTI LAGTI KITNI RANG BI RANGI.
HAWAA KA RUKH HALKA HALKA SA HAI.
MAUSAM BI KUCH THANDA THANDA SA HAI.
YA KHUDAYA AA RAHA HAI MAZAA ITNA KE
JO NA DEKHA DHARTI MEIN
AAJ AASMAAN SE AAKE DEKHA.

WOH....

JAROOR KOI BAAT HOGI
JO WOH BAHUT YAAD AAYE..
KOI DIL PE PURANI
KHAROCH HOGI JO WOH YAAD AAYE.
YAADEIN HOTI HAIN SOYI SI 
CHHUPKE SE DIL MEIN.
AAJ JAAGI THI ISLIYE DIL KE DARWAAZE
WOH KHOL KE BAHAR AAYE.

Thursday, September 29, 2011

AJEEB SAFAR..


Ekk ek kar ke sabse
durr jaa rahe hain..
pata nahi kab humari
manzil badal jaye.
kaisa ajeeb safar hai,
jaa ke laut nahi sakte.. 
aur apne saath kisi ko
chalne ko bi nahi bol sakte.
bas yaadon mein aks ban ke
reh jayenge apno ke..

Unse mile lamhe....

Unse mile lamhe bheet gaye.
jo shikvay gile thay wo
udaasi mein badal gaye.
jab dekha unko apne samne
to unki aankhein
dekhte rahgaye.
hua na yakin khud pe
toh unko thaam liye.
waahhh yeh pyaar bi
kitna ajeeb hai.
pal mein roop
badal leta hai.

Wednesday, September 28, 2011

AAKE BAITHO JARA...

kabhi aake baitho zara samne
sunayenge tume apne pyaar ke afsane.
ek zamana wo tha ek zamana yeh hai..
mohabbatein tab bi thi jawan..
mohabbatein ab bi hain rangin..
dard us waqt tha dil mein chhupa hua..
ab hai
pyaar sab ke samne rota hua dard mein.

ROZ...

Roz badalte hai din aur raat.
kahin pe khilti hai nayi zindagi to
kahin pe dhal jati hai zindagi ki shaam.
Roz hota hai khushi aur gham ka aana jana.
kahin pe hai hansi to kahin pe hai rona dona.
chalta hai kudrat ka chakra per phir bi
insaan ban baitha hai anjaan.
lekar hazaron pareshaniyan apne naam.
kal gujra uska vaada na tha
aane wale kal ke saath.
bas aaj hi aata hai beech mein
jane aur aane wale kal ke.
jaag insaan jaag yun na tu bhaag.
soch le kya tha aur kya hogaya tu,
subah ban ke khila tha dharti pe aur
raat hote hote dalta jaa raha hai kisi andhere mein tu.

Monday, September 26, 2011

JALTI DHOOP...


jalti dhoop se dalti shaam tak
khoye ho tum kahan.
yeh aankh khoje tume
tum chhupe ho kis jahan.
aankh bandh hoti nahi
tere inthzaar mein.
kitni bahar palkein japki 
dekho to tere pyaar mein.

Sunday, September 25, 2011

KACHCHA SA..

Rishta tha kachcha sa
kuch bola bi nahi
phir bi ulhaj gaya.
nazar ne nazar ko
dekha bi nahi
bichhar sa gaya.
wo rishta juda bi nahi
aur tut bi gaya.

DARD...

Kuch nahi suj raha,
halka,halka sa dard 
dil mein uth raha.
Ginh rahe hai 
dhadkan ki dhak dhak 
pata nahi kab,
aake ruk jaye, kisi bi pal.
Thay palkon mein, chhupe kuch ashq 
chalak ke aa gaye chehre par 
to yaad aaya zinda hain ab tak.

Saturday, September 24, 2011

yahan kaun hai begana sa..

Sab to hain apne phir
yahan kaun hai begana sa.
dekh le pyare aankh utha ke
nazar aayenge sab apne jaise sare.
phir kyun ban raha ah insaan
in ko dekh ke anjana sa.
naa soch kaun kaise kyun aur kya
naa gavana apna
waqt soch ke is tarah.
bas yaad rakh aakash pe
baitha hua likhta hai
wo  har aik ki taqdeer.
tu kar apna karm aur
apna kartavya niba.
aagay badh ke auron ko
khush rakho khud khush raho.

Zindagi ki hazaron khwaishein aisi ..

Zindagi ki hazaron khwaishein aisi
jo ek jeevan bi kam hai poora karne ke liye.
tamanao ke pahar ban jate hain per
ek tamana poori nahi hoti
zindagi mein khush hone ke liye.
aashon ki umeed mein umar ghis jati hai
bas sapno ke mahal ban ke khade hote hain
aankhon mein aansu ban ke chalak ne liye.
zindagi pe zindagi chali jaa rahi
apne apne khwabon ki tabeer bunte hue.
bas taqdeer ka khel hai sab aik safar se
dusre safar mein jane ke liye.

mere shauk....

Naa bana mere shauk ko meri saza.
mausam ka kya barosa
kab baadal banke phat jaye.
aandhi aake mujhe
apne saath le jaye.
jeene de mujhe
zindagi ke kuch pal jara.

Friday, September 23, 2011

BIKHRA SA PADA THA..

BIKHRA SA
PADA THA TUT KE DIL.
PATA NA CHALA KAB
GIRA WO SEENE SE.
KAL TAK THA SEENE MEIN
DHARAKTA HUA
AAJ PADA HAI YUH KISI KI
BEWAAFAI SE ZAMEEN PE..

Badi bewafaa...


wo raat aayi bi to
badi bewafaa banke aayi.
din ko apne saath layi.
hum baithe thy akale 
unke intezaar mein.. 
wo aake karegi roshan mehfil 
mujh jaise andhare ki bahon mein.
per wo khud kaali raat ban kar aayi..

kal kuch khoya ....

kal kuch khoya
dil bahut roya.
apna na tha per
apno mein pyara sa.
kab se tha rutha rutha
pata na tha.
dheere dheere
hota gaya wo begana sa.
dil roz dekh ke rota
wo to thoda sa nakchara sa
aur thoda sa ziddi bi tha.
per mera pyara dost
jo ab mere saath nahi.
kahan dhunde ab usse
kuch pata nahi.

Thursday, September 22, 2011

Dost ke dilse juda hoke ..

Dost ke dilse juda hoke
mera dil udaas ho gaya.
Vaada kiya tha dost ne
dosti nibane ka.. 
Aaj dost ne vaada tod diya.
Bada naaz tha mujhe 
dost ki dosti pe.
Dost ne to meri
dosti ka saath hi chhod diya.

KHALI KHALI MANN..

khali khali mann mera
lage na kahin.
kuch khoya hai aisa
shayad mile na kabhi.
soche re kiya soche mann
kyun lage re tu itna bechain.
kya dhund rahe tere do nayan
jo tujhe kuch hosh nahi.

Wednesday, September 21, 2011

HAIE RE MEHNGAI...

Haie re haie  mehngai maar gayi.
patrol aur diesel ka price hike.
mumbai mein auto ki strike.
fir loot gaye desh ke behan aur bhai.
taxi wale bi ban gaye aaj kasai.
kar diya apne taxi ka meter highest price.
kyon nichor rahe ho desh ke wasiyon
apne he behan aur bhai.
pahle kya zindagi ke tension kam thay.
joloot machayi hai desh mein
lutare ghum rahe hain
safed poshak mein.
lo loot gaya hindustan
apne he desh ke lutaron mein.
jo pehn ke baithe hain safed chehre.
khelte hain gareebon ko
samjh kar shatranj ke mohre .
subah se raat tak milte hain
kai jhatke roz zindagi ke.
ho jate hain thak ke chur chur
zindagi ki ghadi chalakar
apne aashiyane tak pounchte.
waah re insaan roz
naya jhatka milta hai
aaye strike ya aandhi toofan.
apne chehre pe lekar jhuti si
muskaan aagay badta hai
ab  insaan ki umar ban ke
rehgayi hai chotisi
haie ri mehngai tujko bi
sharam na aayi chali aati hai
har bahar naya hatiyaar lekar
karne gareeb insaan se ladai.
waah re waah insaan tum bi
apni lalach mein bhul gaye
insaaniyat ka din-o-imaan.

Tuesday, September 20, 2011

TUTKE BIKHAR GAYI ZINDAGI.....

Tutke bikhar gayi zindagi.
Dhadkano ne saath chhod diya dil ka.
Dil ne aas chhod di jeene ki. 
Saanso ne bi sisakna bandh kiya 
jab rahi na koi umeed jeene ki.
Mitti ki thi mitti mein mil gayi.
Kuch pal ka saath tha 
ab wo mitti mein bikhar gayi.

BHOJ LE KE...

Aaj kal har ek jee raha hai
Dil pe apne bhoj lekar..
Koi mila toh laga apna sa kuch pal ke liye..
Usko dost bana diya apna bolkar..
Dil ke dard koi nahi bhaant sakta
Baant sakta hai toh bas
Uske sangh hamdardi ke kuch pal..

Dhundte hain tume..

  1. Dhundte hain tume
    har kucha har gali mein.
    nazar nahi aate tum to
    ab meri nazar mein.
    kahan ab dhunde tume.
    lagta hai bandh hogaye
    tumare dil ke jarokhe bi
    ab mere liye.
    tum chhupke se rahte ho.
    har pal mujh pe
    nazar rakhte ho.
    per apni ek jhalak
    dikhlate nahi mujhe.

Monday, September 19, 2011

Aaye ho toh...

Aayi ho toh
kuch pal ruk jao.
naa raho khamosh ke 
zubaan so jaye.
kuch apni kaho,
kuch meri suno.
kahin yeh dil na 
dhadkana bhul jaye.

Sunday, September 18, 2011

Bahut dard diya....

Bahut dard diya apne dil ko
tab diya paigam usne humko..
jo yeh tum har baar karte ho
itna attayachar mujh pe
likh likh ke dard ke paigam
sunate ho mehfil mein
kabhi socha hai
kitna kasht hota hai mujhe
tujko dekh kar yuh tadapte.

Aaj sil gaye hoton..


Aaj sil gaye hoton.
bandh hogayi ungliyaan.
aankhon ko samajh na aaye 
kiya hai yeh silsila.
kuch suj na paaye kya likhein 
dimaag ki dukan hai bandh.
bas aaj ho ke rehgaye 
tanha tanha ghumsum se hum.

Saturday, September 17, 2011

BHARASTE HAIN ZARNE....

BHARASTE HAIN ZARNE
PAHARON KA SEENA CHEER KE.
AATE HAIN TEJ DAHAR SE
DHARTI MEIN SAMANE KO.
TADAPTI HAI DHARTI ZARNE KO
APNE AANCHAL MEIN SAMBHALNE KE LIYE.
ITNA BHARASTA HAI PAANI PHIR BI
KYUN HAI DHARTI ITNI PYAASI.
KAHIN PE HAI SUKHA TOH
KAHIN PE KAM HAI PEENE KA PAANI.

Dard khushi ke

Lay gaya woh sare dard mere..
badle mein de gaya
apni muskurat mere chehre pe..
koi unse puche kya hum
muskura paayenge kabhi
jab woh hain mere dard ke
saaye se uljhe hue.

gujre hue pal....

Mere gujre hue pal
jo badal ker ho gaye kal..
aaj aake mujhe rulate hain.
soye hue dard-e-dil ko jagate hain.
badi mushkul se abi sambale thay dil ko
phir aake wo pal kyun tadpate hain.

Friday, September 16, 2011

Wo aaye mehfil mein..

Wo aaye mehfil mein
apna dil jaal ke.
bhuj gaye sare chirag
jab suna unko apna
dard-e-dil gaate.
chalak gaye ashq
aankhon se sab ke
kaash koi is
deewane ko roke.
aa na jaye sailaab
ban jaye sab laashein.

LAKEEREIN...

LAKEEREIN MITANE SE
AGAR BADALTI KISMAT TO
SAB APNE KISMAT KO DOSH NA DETE.
BAS APNI HATHON KO AURON KE
HATHON SE BADAL LETE.

Dekh kar unko..




Dekh kar unko jhuk gayi nigahein.
kamosh zabaan sab bol gayi dil ke afsane. 
khol gayi dil ka haal yeh aankhen aise.
wo dekhte rehgaye aur 
hum khushi se khud ko
apne aap mein samet te gaye.

Dil jhoom utha.

Wo aaye mehfil  mein to jaan aagayi
dekh ke unko humari udaasi gayab ho gayi.
dekh ke chhera unka dil jhoom utha.
jaise eid ka chaand zameen pe uttra
.

Thursday, September 15, 2011

Mitti si maaeri...


Sondhi sondhi 
mitti si maaeri.
shararati aankhon se 
dekhti maaeri.
kis soch mein 
khoyi re tu maaeri.
maaeri lagti pyari 
jab aanchal se 
hole hole se niharti..
maaeri soni lagti jab wo 
sharma ke hans di.
maaeri o meri maaeri.
maaeri nadiya kinare pe aa.
paani barne ke 
bahane se aaja maaeri.
karni hai bahut si 
baatein tujh sangh 
mere gaon ki.
maaeri o maaeri. 
sondhi sondhi 
mitti si maaeri.

Ah mann chal...

Ah mann chal ab yahan se
dil uth gaya ab is jahan se.
jo thay sahare jeene ke
wo ghum hogaye
kisi aur jahan mein.
na raas aayi teri
yeh duniya mujhe
ah khuda tu le chal
ab
mujhe yahan se .

Wednesday, September 14, 2011

dard sa fizaon mein...

kyun hai dard sa fizaon mein
lagta hai koi dil chhuta hai
kisi ki bahon se.
suna rahi hai hawaain
kisi ke rone ki aawaazein.
jaise dil tut gaya hai
kisi ka aankhon he aankhon se.

MAA....

Maa to maa hoti hai.
sukh ki chhawn hoti hai.
uske labh pe sadha
duvaain rehti hain.
chhupa leti hai
sare dukh aur dard
jab bi hum haar ke
rohte hue aaye.
mamta ki murat hai.
ghod uski jannat lagti hai.
bachon ke liye wo
pahli dost hoti hai.
chahe teri ho ya meri
maa to maa hoti hai..

GULDUSTA.....

Bichhar gaye sare phool
ek ek kar ke guldustay se.
badi khushi se sajaya tha
guldusta phoolon se.
mithi si khushboo se
mehakta tha sab phoolon ka pyaar.
kahin se koi kida beech mein aagaya
phoolon ko chub chub ke alag kar diya.
guldusta phoolon se bichar sa gaya.
ab bas khali sa guldusta
apne dard mein rota raha.
gulduste ka kasoor itna tha
sab pe vishwas kar ke
apne saath samet kar rakha.
aaj sab phool alag alag hoke
apne apne gulduste saja baithe,
ab wo guldusta aaj khali sa
pada hai kisi kone mein..

Tuesday, September 13, 2011

Teri yaad mein..

Ab dil tutke bikhar gaya.
teri yaad mein ab bi
wo tadap raha.
aa rahi hain siskiyaan 
dhadkano se.
kyun hai ab bi tu  
dur aur bekhabar mujhse.

Ah meri dil nashi

Dil seene mein chhupa hai.
aankhein palkon ke pichhe.
ah meri dil nashi tum
chhupi ho kahan pe.
nazrein dhund ke
thak gayi tujhe kabse.
kabhi to aajao bahar
nikal kar pal do pal
apne aashiyane se
humse milne ke liye..

Nazron se durr...

Meri nazron se durr ho
per dilse nahi.
aaj bi yaad har pal ho
kabhi tumko bhule nahi.
hai inthzaar aaj be
tera in aankhon ko
isliye palkein bandh ki nahi.

ek deewana_premika se...



ek deewana_premika se...
Har taraf nazar 
aata hai tera chehra.
wo kaali kaali si zulfein 
uS mein phool gulab ka.
teri halki halki si muskurat 
heela deti hai mere dil ke taar.
mere aas paas mein aa jati hai bahar.
tere  yeh kaale kaale se kajrale nayan 
loot gaye meri nindh aur chain.
teri yeh sondhi sondhi si khushboo 
kar gayi aisa jadoo.
jaise tu hai mere aaju baaju.
karta hun mehsus teri saanso ki dhadkan ko 
per kaise samjhaun apne mann ko.
jo deewana sa ho gaya hai tera ab toh.

zindagi...

Paanch tatvon se bani hai zindagi.
alfazon aur ankonse bhari hai zindagi.
rango se saj ke khushiyon se khili hai zindagi.
kyun aisa andha hua re manna lalach mein.
dhire dhire kho ta gaya tera sab zindagi se.
kyun apne he haathon se nichor di zindagi.
aaj isliye thak ke chur chur ho gayi hai zindagi.
afsos..kahan se kahan aa pahunchi hai zindagi.

Monday, September 12, 2011

DOST KHAAS HOTE..

KUCH DOST KHAAS HOTE HAIN.
DIL KE BAHUT PAAS HOTE HAIN.
RAKHTE HAIN UNKO
HUM SAMBHAL KAR,
PHIR CHAHEY AAYE TOOFAN
YA AANDHI DARAAR BAN KAR.
MILTE TOH HUM ROZ HAIN
PER DIL KE JAROKHE SE
YAADON KI GALIYON TAK.
BAS MIL NA PAYE UNSE
 HAQEEQAT MEIN
AAJ TAK.

NAA KAR DAFFAN ....



Naa kar daffan mujhe jeete jee,
zinda rakh mujhe apne dil mein bi.
Teri yaadon aur khayalon mein 
rahne de mujhe abi.
Pal pal jo saath bitaye 
kuch pal to un mein 
khud ko kho ke dekh kabhi. 
Kabhi thi tera pyaar 
aaj kyun hai mujhse 
tu itna naraz.
Jo daal diya kaffan 
mere naam per hie.

Sunday, September 11, 2011

Aap jaise dost...

Aap jaise dost mil jaye to
na jaam ki jarurat 
na saakhi ki..
bas roz yeh kuch pal
aapke saath kat jaye to 
mast se gujhar jaye 
baki ki ZINDAGI.

Saturday, September 10, 2011

NA JOR...

NA JOR ITNE RISHTE
TUT NE PER BAHUT
DARD MILTA HAI.
JISKO BOLTE HAIN APNA
WO HE CHHUPKE SE DARD KA
KHANJAR GHOPTA HAI.

Bangaye moti..


Chalake aansu
meri(MACHLI) aankhon se
bangaye moti seep mein jake.
dil toh mera bi bahut roya
jab woh(MACHHWARA) bedardi
mera pyaar mujhse churake le gaya.
ya khudaya,dil toh tumne
diya per pyaar kyun na diya sabko.
dekho aaj woh mujhse
mera pyaar durr le gaya.

Hathon me hath....

Haathon me hath ho to
lakeerein mil jati hain.
dilse dil ki baat 
samjh jate hain.
kum hote hain
fassle alfazon ke
aur duriyaan 
mit jati hain.

vishwas.....


naa kar itna vishwas
haath ki lakeeron per..
yeh badal jati hain 
palak japkte hie...
kar dil per vishwas
dhadkane be deti hain
aakheri waqt tak ussi ka saath.