Wednesday, August 31, 2011

Aankh se ghire..

Aankh se ghire ashq banker,
tere chehare pe
saje hain moti banker.
abh ungliyon se mita do
ya dil mein bitha do.
Pirye, ab toh hain tere
reham-o-karm per.

Tuesday, August 30, 2011

thandi hawaa ...

sabah ki halki
halki si thandi hawaa
chhu jati hai mere
chehare ko chumkar.
puchta hai mann kahan chali
tu yuh lachak kar.
holay se hawa boli..
woh jo soye hain
bandh kar ke dil ka darwaza
unko tere khayalon se
jagaane jaa rahi hun.

BADALON KI RAZAYI....

AH CHAND TARON AB TO JAGO,
AAJAO BAHAR CHHOR KE
BADALON KI RAZAYI.
KAB TAK RAHUNGI AKELI,
AB TOH MUJHE DARR LAAGE
IS KAALE ANDHERE SE BI.
SURAJ BI SAATH NAHI AUR
TUM BI PAAS NAHI.
CHALTI HAI SAMAY KI GARI
KACHHAVE KI CHAAL.
ABH TOH AAJAO BAHAR
NAHI TOH MAIN CHALI 
MILNE APNE CHAKOR SE..

chalake aansu...


chhalke aansu
meri aankhon se 
dil to mera bi
bahut roya tha
jab woh bedardi
mera pyaar mujhse
 
churake le gaya.
ya khudaya re,
dil to tumne sab ko diya
 per pyaar kyun na diya sabko.
 dekho aaj woh
mujhse
mera pyaar
 le gaya.

Bandh kar di...

Bandh kar di palkein,
bandh kar diye
dilke darwaaze.
ab koi na jagaaye,
na he koi dastak de
mere dilpe aake.
bahut din baad soye hain
karke inthzaar unke.
lagta hai fursat he nahi 
jo aake milte humse 
kuch lamhon ke liye.

Jee lo zindagi ...

Jee lo zindagi jo mili hai
warna sapne mein daage,
bunte bunte kho jaoge
kisi aur jahan mein...
Aankh khulegi kuch na
rahega haath mein...
bas dundli si yaadein hongi
tadpane ko saath mein...

Monday, August 29, 2011

Teri yaadein ..

Teri yaadein hume pal bhar bi
jeenay nahi deti.
har pal tere he
khayalon mein 
le jati hain.
kaise samjhain is dil ko
woh nahi karte
yaad hume ek pal bi.
phir kyun tum unki
yaadon ko le aate ho
mujhe rulane ko.

Khali khali..

Khali khali mann mera,
kya janu kya soch raha.
palkein hain khuli khuli,
abh aankhon mein bi
nahi aansuon ki lari.
ek dhadkan bi nahi chal rahi
lagta hai dil soya hai
bahut din baad abhi.
ab naa hosh hai aur na jaan.
ek matti ka putla hun jo
para hun yahan bejaan sa.

pareshaan hai ...

Aaj rutha hai mann toh
rutha hai dil bi.
pareshaan hai
aankhein soch ke
abh kya karu main bi.
naa sujhe koi baat
naa aaye koi khayal.
na bole mann toh na bole dil.
abh ho gayi badi mushkul.
maan bi jao abh dono jaldise
warna hum bi chal diye
bandh karke apni palkein.

IBAADAT...


YA RABBA... HAR INSAAN KARTA HAI
TERI  IBAADAT SUBAH AUR SHAAM..
PHIR BI KYUN YEH NAZAR AATA HAI 
ITNA  UDAAS AUR PARESHAAN... 
HAR DARGAH, HAR DARBAR MEIN 
DHUNDTA  HAI TUJHE..
HAR MANDIR, HAR MASJID MEIN 
PUJTA HAI TUJHE... 
HUMESHA DO PALKEIN JHUKI AUR 
JHUKA SAR USKA 
TUJHE SAJDA KARNE KE LIYE... 
BANDE USKE DONO HAATH  
JAB BI AAYA LEKAR APNA 
GHAM YA KHUSHI WO TERE DUWAAR..
PHIR BI KYUN NAHI HAI SUKUN ISKE PAAS..

ek moombati...






Ek moombati thi aur
jalke shama ban gayi.
Jalti rahi pigalti gayi..
Pigal ke bikhar si gayi..
Parwane teri khoj mein
Roshani aur andhre se ladti rahi..
Dekho to tere pyaar mein
kya thi aur kya ho gayi.
Fir bi kehte ho ke mohabbat
Karna tere bas mein nahi..

                                               

BADALTE MAUSAM ...


Badalte mausam mein 
Badalti hawaiian, 
lekar aayi 
Thandi si fizaian.
Hua mausam aashiqana,
badla udhte 
pakshiyon ka thikana.
Har taraf nazar aate 
Roop suhaane.
Khili khili hai rangat 
phool aur pattiyon ki,
khile hai rang bi rangi 
sabji aur phal bi mandi mein.
Halki si dhoop jhank rahi hai 
baadlon ke beech se 
jaise safed kapus ke 
phool khile ho aasmaan mein.
Suraj kar raha hai pehredari.
Ab aayi aankhon mein 
Nindh humari.
Kuch pal japaka lun 
thori si palkein.
Warna aajayegi 
Shaam gulabi.

Sunday, August 28, 2011

kaise bataein...

kaise bataein kaise
dil-e-dard se gujre hain.
naa tute aur na bikhre hain.
apne dil ko tere dilse
milane ke liye jee rahe hain.
teri nazron ki bewafaai se
mere dil ka kya kasoor.
mili to nazrein thi phir
dilse dil hue kyun durr.

Aitbaar karu..

Dil kehta hai aaj 
tujh pe karu aitbaar,
ek baar nahi sau baar...
tum hi nahi karte 
apne pyaar ka ezhaar,  
to main kaise karu ikraar.
teri nazron mein chhupi hai 
shararat to kaise mein 
karu tumse nazrein chaar.

kis khayal mein....


kis khayal mein 
khoye baithe ho,
kya baat hai jo 
yuh chhupa rahe ho.
naaz tha hawaon ko 
bi tum pe kabhi. 
aaj chehre se hawaain 
udha baithe ho.
jaise apna dil kisi aur ke 
naam kar ke laute ho.
fizaaon ki rangat bi 
badli badli si nazar aati hai.
tumare chehre ki muskurat
aaj kuch aur batati hai.
abh lagta hai loota chuke ho 
tum sab apna jo tha mera apna.

Friday, August 26, 2011

JHOOT...

Jhoot ki na jaat,Jhoot ke na haath..
Par jhoot ka hota hai Bada lamba jaal..
Bolte hain kitne Jhoot kitni baar..
Kyun hai insaan itna kamjor 
jo saath leta hai Har baar jhoot ko...
Kyun re insaan apni himmat haare 
is jhoot ke Aage.. 
Khud ko kyun kar Deta hai jhoot ke sahare..
Kuch apni lalach ke liye, jane anjane
tumne dukhaye kitno ke dil..
Yeh na socha ke, 
Ek din aisi padegi maar..
eh insaan soch le kya hoga tera haal..



Wednesday, August 24, 2011

DIN AUR RAAT...

Kawe ki kaw kaw se.
murge ki kukru koo se.
chidiya ki chu chu se.
jaage suraj maharaj.
lete angrayi fahli kirane
aayi roshni ubhar ke
andhere se bahar.
udh chale parindey apne gale se.
khil utha patti patti
khil uthe phool aur paudhe.
jaaga har jeev dharti pe.
chale zindagi dhone
apne apne karmo ke bojhse.
koi khushi se ya
koi lachari se.
daud rahi hai zindagi
ek chakra ki tarah
subah aur shaam.
chad jata hai din
yeh sab dekhkar.
aati hai raat odh ke
shaam ka libaas
sajja ke chehre pe
halki si gulabi laali.
chhupa leti hai din ko
apne aanchal mein.
dheere dheere se jana
hai din raat ki chhaon mein.
holay se raat
khol deti hai jo zulfein
fehal jata hai andhera.
upar chehre pe jo
sajaya chaand ka tika.
taaron ke chunri odh ke
lo aaj phir raat hui suhaagan.

Tuesday, August 23, 2011

BHARE HAIN SAMUNDAR PAANI SE...


BHARE HAIN SAMUNDAR PAANI SE, 
YA AANSU HAIN MACHHLIYON KE.
AATI HAI AAWAAZEIN 
LEHRON KE DAUD NE KI... 
JAISE MACHALTI HO 
KINARON KO JALDI SE CHHUNE KI.
SISAKTI HAI RAAT BI AKELE MEIN 
DARR KE AANDHERE SE.. 
YA ROTI HAI MACHLIYAAN 
APNE SAATHI KE, 
BICHARNE KE GAM MEIN.
PHIR BI NAA JANE KAISA 
DARD BHARA HAI, 
IN SAMUNDARON MEIN.
JO SAMA LETA HAI CHUPKE SE
SABKO APNE AAGOSH MEIN.

Saturday, August 20, 2011

Aaj bi khaas...

karoron ki bheed mein..
lakhon ke beech
hazaron ke saath hote bi..
eh jaan tum ho aaj bi khaas..
pucho mere dilse ya
dekhlo in aankhon mein..
jo roz karti hain tera intezaar.

ITNE ZAKHM...

APNE BAN KAR DIYE ITNE ZAKHM.
AB KYA BATAYEIN HUM.
HAR ZAKHM KE DARD
ITNA THAY KE
CHHALKA GAYE AANSU
MERE DO NAYAN.
AAJ ROYA HAI
DIL BI EN KE SANGH.
JAISE HUI HO
BAARISH BIN MAUSAM...

1 farishta kafi hai..

Hajaro phool lagte hai
1 dulhan sajane ke liye,
Hajaro deep lagte hai 1
aarti sajane ke liye.
Magar 1 farishta kafi hai,
zindagi ko jannat banane ke liye.

PAL...

Pal hain kuch saath 
us mein bi ho jaoge naraz 
toh kaise nibhaoge dosti aap..
har saans hai uski di hui
pata nahi kab aake
ruk jaye zindagi ki sui.

Friday, August 19, 2011

kuch pal khushi ke..

Hum toh aate hain yahan per
kuch pal khushi ke udhar lene ko
per aapne toh apni dukaan hi
bandh kar di humko dekh kar.
socha tha haal-e-dil ka dard
batake koi marham lenge per
yahan per to khud sab
dard se bhare hue mile..

sajda karne se ...


 Jaise sirf sajda karne se 
Rabb ji nahi milta. 
Sheesh jhukana
padta hai
ibadat ke liye.
Pyaar ko bi palkon pe, 
uthana padta hai.
Aankhon mein 
Bithane ke liye.
Warna mohabbat nahi 
rehti dil mein humesha ke liye.. 

Tuesday, August 16, 2011

Kya Yeh Hai.. AZAAD HINDUSTAN.


Jab shaheedon ne 
apne watan ke liye 
apni jaan ki parvah naa ki kabhi..
Aur ekk hum sab hain ke 
unki qurbani bhulakar 
apni apni taraki karte gaye.
Yeh bi na socha ke 
woh bi toh humare he 
thay bete aur bhai.
Wo apna khoon bhakar gaye. 
Hume azaad karne ke liye.
Aur ekk hum sab hain ke 
apna bank balance bahratay gaye
kisi ke armaano ko kuchalte gaye.
DESH azaad hua tha 
ghairon ke shikanjay se.
Kya pata tha apne gar pe
hie hain lootare lootne ke liye.
Karze mein dhubta 
jaa raha hai desh apna,
badon ne he daka daal ke 
kar diya kangla desh apna.
Jo khade hue desh ki 
haq mein aur 
aawaz uthai to unko 
corrupt bol ke 
chhura diya apna kanda.
Lo phir kaise kehte ho 
azaad hue hain hum.
Yeh kaho ke ghairon ke 
jaal se nikal kar 
apno ke haathon se 
bik gaye sab hum.
Wo thay saput aur 
shaheed desh ke bakt.
Aur yeh hain desh ke 
kaput lootare.
Andher se khokla 
kar rahe hain 
har bridge aur road.
Bech dete hain 
kabhi daaman toh 
kabhi dhoti bharat ki, 
jab ki topi toh 
unhone khud he 
apne sar pe rakh di 
desh ko chalne ke liye.
Ho rahi hai lootmaar 
ho raha hai 
danga fasaad har jagah.
Nahi hai ab shanti aur 
sukun kisi jagah.
Jaye to jaye kahan 
kya yeh hai hum sab ka 
AZAAD HINDUSTAN.

Monday, August 15, 2011

AANSU....

Aankhon ke kinare pe
kabse khade hain.
palkon ko zara sa
jhuka ke dekh lo.
(aansu)apna sab kho ke
teri dhadkano pe mitay hain.
  dil aur do aankhon ke
saath jude hain.
jab be eh dil tu
chahay le mujhe pukar .
khushi ho ya gham,
main chalak ke
aa jaun bahar.
yeh hai meri
dosti mera pyaar 

eh dil tere saath..

A dil

A dil tu he bata
tujhe ab kya hua.
kahan hai tu
itna dhuba hua.
kiske khayalon mein khoya hai.
aaj teri dhadkano ne bi, 
mujhse bahut dokha kiya.
pal pal dhadkana bhool jata raha,
mujhe bahut tadpata raha.
roya to main bahut dard se aur
tujko khabar be na hui.
a dil jaag zara kyun besud sa
soya hai kisi ki yaadon mein.
aur main roh raha tujhko
dekh is haal mein.

Friday, August 12, 2011

RAKHEE KE HAIN LAKHON DAAGE ...

Aaya phir wo shubh din.RAKHSHA BANDAN..
Chalak gaye aankhon se aansu.
Rakhee ke hain lakhon daage 
Per meri suni kalai pe kaun baande.
Kaun sajaye mathay pe mere 
Kumkum ka tikka 
Kaun de gi duvaain dilse.
Waah re uperwale hissaab mein 
Tumne be garbar kar di.
Aik behan dene mein 
Kanjoosi kar de.

RAKHEE KA TEHVAAR..

Aaya rakhee ka tehvaar,
dekh bhai behan ka pyaar.
saji hai kalai
resham ki dori se 
mathay pe tikka kumkum se.
lakon duvaon se
wari wari behana.
lo bhai phir aayi behna

lene tujse koi gehna.
teri ek muskaan pe
jaye qurbaan bhai.
khush naseeb hai
wo bhai jo bandhi
aaj resham ki
dori uske kalai.
HAPPY RAKHSHA BANDAN 2
ALL BROTHERS N SISTERS.

Thursday, August 11, 2011

Tujhse milne aur bhichharne ke ..

Tujhse milne aur
bichharne ke
beech wo lamhe
hote hain haseen.
yun to tumse mulakat ka
rehta hai intezaar.
palkein jhukti nahi
aankhen soti nahi,
kahin bhool na
jaun tujhse milne ke
wo pal haseen.
raatein kat ti nahi
din bheet ta nahi,
jaldi se mulakaat ka
waqt bi hota nahi.
lagta hai susth hai
prem ki gari,
jo chal rahi hai holay holay.
mera pyaar bi karta hoga
mera intezaar.

eh raat ho sakay to
jaldi na aana.

aaj karni hai unse
bahut si baatein.
kaash ab mile to phir
kabhi 
na bichhare ..

RO RAHA THA AASMAAN ...


KAL RAAT BHAR
RO RAHA THA AASMAAN
TO DHARTI BHEEG RAHI THI.
SUBAH DEKHA TOH
DHUP THI KHILI KHILI.
PAKSHHI THAY KHUSH
APNI MASTI MEIN.
PED PAUDON KO DEKHA
HAWAON MEIN JHULTE HUE.
KHIL KHIL UTHA THA
HAR PHOOL AUR HAR PATTA.
JAISE AAJ SURAJ BI
NAHAYA THA SONE SE.
TEJ THI SURAJ KI KIRNAY
JAISE KHEL RAHI THI
BAADLON SE AANKH MICHOLI.
YEH LO MAIN BI KAHAN KHO GAYI.
SUBAH SE SHAAM HO GAYI.
AAYI SAANJ BATANE
AA RAHI HAI RAAT
KALI CHADHAR UDHKE.
DEKHO PHIR DAKH DIYA
BAADLON NE TARON KO
APNE AAGHOSH MEIN.
CHAND BI CHHUP GAYA
CHANDANI KI BAHON MEIN.
AAJ PHIR ROYEGA AASMAAN
BEEGE GI DARTI
EK DUJHE KI JUDAAI MEIN.

Wednesday, August 10, 2011

WO DHUNDLI SI YAADEIN ..

WO DHUNDLI SI YAADEIN
AAJ PHIR BHAR GAYI
AANSNUO SE MERI AANKHEIN.
PAL PAL YAADEIN
TAZAA HOTI GAYI.
AANKHON SE ASHQON KI
BHUNDE GHIRTI GAYI.
BAHUT SAMBAL KAR THAAMA HAI
HATHELI MEIN ASHQON KO.
AAJ YAADON SE NIKAL KAR
PHIR AAYI HO TUM
TADPANE MERE DIL KO.

APNA HAAL...

KYA SUNAYE APNA HAAL,
DOST NE NIKAL DIYA HAI
HUME APNE DILSE BAHAR.
DARD DIYA AISA AB TO
BHARDAASH BI NAHI HOTA.
NA JAL KE KHAAK HOTA HAI
NA TUT KE BIKHARTA HAI.
KYUN KE YEH AB MERA NAHI
KISI AUR KA  DIL HAI.

Palkein....


Palkein hain
teri jhuki jhuki,
aankhen teri 
ruthi ruthi si.
dekh ke kyun 
nazrein phare deti ho,
dil mein nahi to
aankhon mein hume
qaid kar sakti ho.

HAAL-E-DIL...

HAAL-E-DIL kya
sunay tume.
ghayal hue jab se
tere deedar kiye.
hume maar daala hai
teri har adaa ne.
ab aaina be kehta hai
tum aise to naa thay.
khoyaa hai dil kisi ke
paas ab kya bataye.

O GORI....

O Gori lagta hai
raat bhar tu soyi nahi.
roti rahi
teri aankhein chori chori.
bheegi hain teri
palkein bi thori thori si.
yun na nazrein chura humse.
kya rutha hai
tera pyaar
ya tora hai dil kisi ne.
naa bhaa itne ashq,
ab naa jala dil uske liye.
yeh kasoor tha tere nayano ka
jo un sangh ladh pare.
na de itni sazaa in nayano ko.
wo palkein he bandh kar de
unse milne se pahle.

GUDIYA..

TERE AANE SE AAYI HAI BAHAR.
KHIL UTHAY HAIN PHOOL HAZAAR.
TERI MUSKAAN SE CHAHAK
UTHA MERA AAGAN.
TERI PYARI PYARI SURAT SE
WARI WARI JAYE MAA TERI.
TUJH PE KARE NAAZ BHAI,
AB NAA RAHEGI KABHI
UNKI SUNI KALAI.
MATHAY PE LAGEGA TIKA AUR
HAATH PE SAJJAYGI RAKHI
TAB TERI LAKHON DUVAON SE
JEE UTHAYGA TERA BHAI.
TERE AANE SE ROSHAN HUA
MERA GULSHAN GULSHAN.
AIK GUDIYA BANKE AAYI HAI 
MAA KE AANCHAL MEIN
SIMAT SIMAT KAR
TU YUN SHARMAYI HAI.
LAGTA HAI KOI NANHI SI
PARI AASMAN SE MERE
GAR MEIN AAYI HAI.

Tuesday, August 9, 2011

mere nayan ...

surkh ho gaye mere nayan
mile nahi jabse tere nayan.
tadap rahe hain hoke bechain.
tum chhupke se rehte ho kahan.
hum dhundte hain sara jahan.
aajao gari do gari milne ko.
kuch apni kaho kuch meri suno.
phir aaye ya na aaye yeh lamha.

udaas hai ....

udaas hai mann udaas hai dil..
koi le gaya mera chain
badle mein de gaya gham.
pal 2 pal aake bata jate
meri khata kya thi
jo yeh sajaa bas mujhe mili.
soch ke chalkte hai ashq
rohti hain aankhen puchta hai dil
kambakt kaisa tha wo din.
jo mile thay hum tum.

Monday, August 8, 2011

ITNE UDAAS...

Mann..kyun ho itne udaas eh dil..
jaise chehre pe baje ho chaar.
lagta hai mile nahi wo tumse  
jiska karte ho subah se intezaar.
teri palkein hain num
unse na milne ka hai gham.
naam aur pata bi nahi 
ab kahan dhunde unne hum.

pal pal..

pal pal ka pata nahi
jo pal hai usse yun gahvaan nahi..
phir yeh pal aaye ya na laut ke
kisko puchhenge ke wo pal
humein kyun mila nahi..

yuh na jao .....






Yun na jao.. 
Baat adhuri chhor ke..
Hum be to sune kya 
gham hain tere dil ke..
 dard gehre hain 
mere dil-e-yaar ke.
dekho aankhon se iske 
aaj bi chhalke
ashq us pyaar ke liye... 

Sunday, August 7, 2011

HAPPY FRIENDSHIP DAY TO ALL..

ya rabba..
kabhi kisi ka koi dost,
dost se na ruthe.
aankhon ke aansu ki tarah hote hai.
har pal palakon ke pichhe rahte hain
jab chahe aa jate hai zindagi mein.
kitne be naraz ho DOST SE
phir mananay aa jate hain.
khushi ho ya gham saath
khub nibhate hain dosti.
HAPPY FRIENDSHIP DAY 2 ALL.
 

HAPPY FRIENDSHIP DAY..

FRIENDS R LIKE FLOWERS
WITH LOVELY FRAGRANCE.
FRIENDS R LIKE RAINBOW
WITH DIFFERENT COLOURS.
FRIENDS R LIKE AIR IN OUR LIFE.
FRIENDS R LIKE TEARS
ALWAYS IN OUR EYES.
FRIENDS R ALWAYS THEIR IN MIND 
FRIENDS R ANGELS SEND BY GOD.
LOVE CARE N RESPECT FRIENDS
FROM BOTTOM OF MY HEART.
HAPPY FRIENDSHIP DAY 2 ALL.

Saturday, August 6, 2011

apna dard..

Hum to aaye thay
mehfil mein tumhare sahare.
kuch pal apna dard bhulne,
per tum peela dete ho itna ke
yaad aata hai wo purna
dard phir se apna.

Friday, August 5, 2011

koi nahi ...


koi nahi ab dost humara
sab chhor chale lekar
kisi aur ka sahara
hum reh gaye akale
isliye shama bhuja kar
hum bi sone chale.
koi na uthaye abh kafan humara.
bahut dard hoga agar
dekhoge udaas chehra humara.

udaas...

udaas chehre mein
chupaa hai dard.
kajrari aankhon se
chalakte hain ashq.
sil gaye hain hoton
akale mein rota hai dil.
jab pyaar ho koso durr.
bas nazron mein
hote hain unke aks.