Friday, April 25, 2014

KOI MERI DHADKANE CHURA KE..

Koi meri dhadkane chura ke le gaya..
Takte takte meri nazron se mera kajal chura ke le gaya..
Dhundti hun usko jo badle mein apna dil mujhe de gaya..
Bahut chup sa ho gaya hai bechara dil uska,
Puchti hun toh..
Kehta hai kuch pal to wo ruk jata jara.
Teri dhadkano ke saath to main mil pata..
Ab kaise jee paunga main yahan
Jab teri dhadkan hie nahi mere aas paas.

Ek Jeevan Mila Usse Bi...


Ek jeevan mila usse bi
Lalach ne til til ke jala diya..
Kabhi khawishon ne toh kabhi
Khwabon ne ulhja diya..
Daudta hai chakra samay ka
Sab ki nazar mein ek samaan,
Par pal alag ho jate hain
Karmon ke hissab se..
Muthi bandh hoti hai toh
Sab ungliyan mil jati hain hathli se
Warna har ungli toh apne kad ke
Naap se alag hai ek dusre se..
Waise hum sab bhi nazar aate hain aise..
Kabhi nahi samajhe bas lalach ke
Aaine ko roz dekh ke khush ho jate..
Dhoondte rahe dusre ke ehab aur avgun,
Fursat hie nahi kabhi dekhein
Nazron se kis ke sadgun..
Yeh mann hai chanchal jo aankhon ko
Dikhana hie nahi chahata apne aapko..
Bhagata hai, lalachta hai
Ajeeb si soch vichaar ke khayalon mein...
Bas subah se raat tak
Daudte hain mann ke ghulam ho kar..
Naa samajhe uski chaal
Toh lurak jaye bich raah par..
Waqt chalta hie rehta hai apni kamaan pakad kar
Bas yeh zindagi hai jo ruk jati hai saanso ki dor tutne par..
Jalta hai jeevan janam se maran tak til til kar yunhi har pal..


Monday, April 21, 2014

Riston ki dewaron mein


Naa jane kaisi chal rahi hain yeh hawayein..
Riston ki dewaron mein 
Nazar aati hain khul ke dararein..
Chhupaye kai jhoot aankhon mein 
Jhooti si hain labon pe muskaane..
Yaad aagaye aaj waqt purane 
Kahan kho gayi woh sanskar aur saugatein..
Janam ke riston mein ab kahan hai mithas 
Bas nazar aati hai jalan aur khatas..
Anmol riston ki jagah gehron ne le li,
Ab kahan hai jaroorat apno ki kahin bi..
Daulat ne rang apne aise dikhaye ke
Lalach mein aake bhool gaye 
Mol apne aur paraye mein..
Kaisa nakaab maya ka aankhon pe rakha 
Khoon bi ab paani sa nazar aane laga.. 
Kured ke zakhm dard bhare 
Kyun sare aam apno ke dil ko ghayal kare.. 
Waqt aata nahi laut ke kabhi kisi ke liye 
Thaam le ab bi hai tere daaman mein 
Jo anmol rishte apno ki saugaat se mile hue..
Warna reh jaaoge pachhtate aur
Haath malte hue humesha ke liye..
Nafrat ki nazaron se aag niklegi badle ki
Jab julas jayegi anmol dor rishte ki, 
Phir baith ke khushi se mattam manana 
 kisi apne ka parayon ke saath..