Sunday, September 30, 2012

Mausam ke badalte jo...


Mausam ke badalte jo
ho jate hain pardesi...
Bichhar jate hain apne apno se hi..
Rehti hai aarzoo aankhon ko
Dil mein rehne walon se..
Kabhi toh laut ke 
aayenge jane wale bi..


Saturday, September 29, 2012

Kab tak is gilli mitti ko..



Kab tak is gilli mitti ko haddiyon ke putle pe sajaoge..
Dhoop aur chhaon ki batti mein tarashoge..
Yeh to ekk din sukh ke khaak ho jayegi
Jab sab chhor denge saath dheere dheere..
Ah insaan tere badalte rahe rishton ke libaas..
Waqt bewaqt dagmagaya tera deen aur emaan per 
Na badla tera dukh aur dard se rishta,
Jab tak chalti rahi teri dhadkan aur saanse..

Thursday, September 27, 2012

Tumse aaya na gaya..


Tumse aaya na gaya, jo aake humse milte..
Humse bulaya na gaya tumhare nazdeek hoke bi..
Issi justajoo mein in ankhon ko
Bas tera intezaar hi raha..
Kabhi dil mein basaye baithe thay tumhe 
Gehron ki nazron se chhupa ke..
Per ab unni nazron ko
Churaya karte hain hum 
gehron se palkein jhuka kar..

Friday, September 21, 2012

Humari nazron se tum..




Humari nazron se tum beshak dur chale gaye ho
Per humein tum kabhi bhula na paoge..
Tumhein hum yaad aaye ya naa aaye 
Per humein tum humesha yaad aaoge..
Jab kabhi rahoge tanhaiyon mein akele se..
Toh hawaon mein mujhe apne aas paas paoge..




Sochti hoon toh..



Sochti hoon toh na tha koi bandan
aur na tumse tha koi nata..
Per phir bi tha anmol sa..
Tujhse mera rishta..
Naa jane kitni aasaani se
Tumne tod diya mujhse wo bi..
Na jane kya thi aisi wajah jo tumne
Murh ke naa dekha mujhe phir kabhi..
Aaj bi rehta hai roz
Tumhara intezaar in aankhon ko
Ke laut ke aaoge tum kabhi na kabhi..

Sunday, September 16, 2012

Socha tha kabhi toh..



Socha tha kabhi toh 
Humari yaad tumhe sataayegi 
Toh tum laut aaoge..
Phir se aake humein apni 
Pyari si baaton se hansaoge...
Per tum to na jane kahan chale gaye, 
Apni yaadon ko humare jazbaaton se jod ke....
Agar ruthe hote toh manna lete tumhe kisi tarah 
Per tum toh nazron se dur hogaye aise ke
Bas ab roz hota hai tumhare laut ne ka 
Intezaar in aankhon mein bechaini se... 


Saturday, September 15, 2012

Kal na jane kaisi raat thi...

Kal na jane kaisi raat thi..
Ajeeb si aankhon se barsaat hui...
Tadap utha dil jab aaya dhadkano ka toofan..
Aisi chali aandhi dard ki ke
Tut ke bikhar gaye mere sare armaan..
Chur chur hua mere sapno ka mahal 
jab ruth gayi meri zindagi se uski sanson ki lehar..

Wednesday, September 12, 2012

Woh kehta tha mujhse..


Humesha woh kehta tha mujhse..
Tera naam lekar khuda ke dar pe 
Sajde karta hoon..
Har ibadat mein bas 
naam tera leta hoon..
Jo mil jaye khuda mujhe toh 
Maang lun tujhe,
Har janam mein mehboob ki tarah.. 
phir is janam mein kyun badal gaye 
tum kisi aur ki taraf..


Tuesday, September 11, 2012

O meri jane nasheen...


Kabhi zindagi ban ke dil mein dhadkti ho..
Kabhi banke rachna lafzon mein sajti ho..
Kabhi jazbaat banke
Dil ki kitaab mein kavita si lagti ho..
Meri saanso ke sargam ki tum ho ghazal
Jo kabhi labon pe chalti ho
Toh kabhi khamosh si kagaz pe lati rehti ho..
O meri jane nasheen..tum bi kamaal karti ho..
har taraf tum hi tum nazar aati ho..

Monday, September 10, 2012

Jane kahan gaye wo..

Jane kahan gaye wo, jo milay thay
Is manzil pe anjaane se..
Kuch anjaana sa rishta tha
Banaya dosti ke naam pe..
Palon ki dosti,
Lamhon mein bhool gaye..
Kaise parinde thay na jane
Murh ke laut naa bhool gaye..
Kiye thay vaade saath nibhane ke par
Yeh to badal gaye mausam ki tarah
   Dekh ke badalte hawa ka rukh ..           

Tuesday, September 4, 2012

Is rang badalti..





Is rang badalti duniya mein 
Zuban ki keemat kya hogi..
Jahan rishton ka koi mol nahi 
Wahan dosti ki keemat kya hogi..

Naa dil bewafa hai...


Naa dil bewafa hai 
naa hai mohabbat bewafa ..
Bewafa to aankhen hain 
jo chala ke nazaron ke teer 
karti hai nazron se dil ka qatl..

Monday, September 3, 2012

Bhool ne ke liye...



Bhool ne ke liye 
Naa thay Jode tumse rishtey.
Manga tha saath tumhara jaise 
Kashti se ho samundar ka nata.. 
Tanha toh hum pahle bi thay,
Ab tumse bichhar ke lagta hum ho gaye 
dur apne hi kinare se...



Dil mein rehne wale..




Dil mein rehne wale 
Yun na humse rutha kar..
Nazrein taras gayi 
Tere deedar ko ab toh aake mil..
Tanhaiyaan dasti hain 
Khamoshiyan khattak ti hain 
Ab jeeya jaye na akele tere bin..