Saturday, March 31, 2012

Main tujhse duur hun..


Bandh kar ke palkein to dekh.. 
Main tera khuwab hun.. 
Tere khayal ke aas paas hun.. 
Teri hie rooh mein samaya hun.. 
Teri soch bi main hun..  
Teri muskaan bi main hun..
teri aankhon se jo ashq chhalke 
un yaadon ka ehsaas bi main hun..  
Phir bi kehti ho main tujhse duur hun..

Friday, March 30, 2012

Narazgi na rakh..


Kisi se narazgi na rakh naa dil mein. 
Dil bada dokha de jata hai.. 
Pal ko lamha bana deta hai.. 
Udaasi ko apne saath bitha leta hai..
Bada bedard hai yeh dil 
Pata hie nahi kab 
muskaan ko aansuon bana de..
Dhadkano ko gusse mein 
humesha ke liye dabba de..
Kahin reh na jaye kuch anmol pal 
adhure se umar bhar ke liye
EKK DARD KI YAAD MEIN...

I lost a soul..


I lost a soul..with a beautiful heart..
I lost a smile with a tears in my eyes.
I lost precious moments of my life  
by just counting ups n downs with u...
I lost many things i didn't count.
but the moment i lost u 
there was a hole in my soul 
but just cannot say..
how much i miss u....

Thharo jara....




Thharo jara,humare saath bi 
Kuch lamhe gujaro...
Haal-e-dil suno mera, 
Dil-e-haal sunao apna.. 
Yuh na ab humse durr jao.
Ruko jara mausam bi suhana hai..
Dekho sindhoori shaam ne
raat ka daaman thaama hai..
Tum bi kuch pal ruk jao..
Dekh dil nahi chahata 
tumse thori si bi duuri.. 
Samajho iski bi majbhuri..
Mohabbatein ezhaar abi hua nahi..
Tum abi aayi aur abi chal di..

Thursday, March 29, 2012

Jaago re manna..



Jo kal tha wo main tha..
Jo aaj hai wo tum ho..
Phir kahan ghum ho..
Jaago re manna
sanvaro khud ko..
Warna kho na jaye
yeh aaj kahin,
kal mein phir se..
Badi labi hai sadak..
kattheen hai daggar
mushkul hai safar,
is zindagi ka..
Bas yehi hai pal 
sambhalo tum apna 
aane wala kal..

Wednesday, March 28, 2012

Sabr ke aansu..


Mere dil mein rehne wale
meri aankhon ko na yuh rula..
Tere intezaar mein
ho gayi hain wo udaas.
Baras gaye sabr ke aansu
jinay palkein thi kab se thamay..
Chhalak chhalak ke moti puchhe
kyun hai wo ab tak tere dard se anjane.

Tuesday, March 27, 2012

Aansuon ke taar..


Yeh nayan mere udaas udaas.. 
Chhed gaya koi aansuon ke taar..
De diya aisa dard ke 
roye hai aaj wo dil ke saath..
Kal thay wo saath saath 
thi muskaan in aankhon ke paas..
Aaj hai mann bi kuch unse naraz..

Baazi pyaar ki..


Ab naa dil mein dard hai..
naa aankhon mein paani..
Tut gaye sare sur jab 
na rahi jaan baki..
Loot gaya koi 
phir is jahan mein, 
Haar ke pyaar ki baazi..

Monday, March 26, 2012

Samajha nahi..

Apna to tumne samajha nahi..
Isliye dil mein rakha nahi..
Dekh kar bi nazrein 
faer kar chal diye..
Jaise hum ho koi ajnabi se..

Dil ki shama jala....

Dil ki shama jala rakhe hai..
 Roshni se khud ko sajaye hai..
Ho fursat to milne aa jana..
Is shama ke bhujne se pahle,
Apni mohabbat ka 
vaada nibhane aa jana..

Humse milo to..

Humse milo to
humare hoke milo..
yeh gehron ko
apne saath na le aao..
yeh mujhe tumse
milne nahi dete
aur tumhe mera 
hone nahi dete..

Sunday, March 25, 2012

Teri hi kaya se..





Jab teri bahon mein sama jaoon..
Teri hi kaya se leepat jaoon
Samet lo mujhe apne rang mein..
Jo dekho mujhe tum 
main wasi tumhe nazar aaoon.. 


Saturday, March 24, 2012

Aapka apnapan..

Aaye woh meri 
zindagi mein banke apne..
bas gaye dil mein 
dhadkan ban ke.. 
judaai bi unki abh 
kuch pal ki seh nahi sakte..
aur woh chhor gaye hain 
bin bataye paraya kar ke..
roh diya dil Chhalak aaye 
aankhon se ashq..
bas itna hie tha 
humse kya aap ko apnapan..

Bas purani si yaadein..


Naa woh pal rahe naa woh lamhe..
Zindagi ki rail mein kahan se kahan nikal gaye..
Raftar hai aisi ke lautne ke nahi hai koi raste..
Bas khayalon aur khuwabon mein hain bhaagte..
Riston aur jaruraton ki zanzeeron ki 
qaid ko khushiyaan samajhte..
Roz ghirte hai roz uthte hai..
Dard aur gham mein bi khush aur hanste hai..
Per wo pal aur wo lamhe nahi laut ke aate 
jo gujar gaye kahin kal ke raste pe..
Ab ban gaye kisi ke liye bas purani si yaadein..

Friday, March 23, 2012

Agar wo jaan jate..




Agar wo jaan jate meri mohabbat to 
wo kabhi yuh tanha na batakte.. 
Seene mein baithe hai hum aur 
wo dhundte hai hume auro mein..
Saanse to hai unki bas dhadkano se
mehsus karne ka farak hai.
Nighayen jhuka,
palkon mein nazar ko chhupa..
phir dekh humein, 
dil ki nazron se..yuh na sharma
tujh mein hie hain hum chhaye hue.

Thursday, March 22, 2012

Din ne li angrayi..


Din ne li angrayi..
Saanj ne chand ka takiya aur
taaron ki razai hai dharti pe bichhayi..
neendiya ne lori gaayi..
aayi aayi sapno ki toli aayi.. 
chal ab so jao re pyare 
ab raat kaali chhayi..

Tukre mere hazaar..


Aaina puche mujhse meri pehchaan..
Kuch pal mein kyun nazar aati ho anjaan.
Har baar badalti ho roop apna..
Gehron se milne ke liye kyun saj ti ho itna.
Yeh sare hain jhute nakaab..
Tum to ho sunder phool ke samaan.
Bas aake mere dil mein jhaank..
Dekh chhuke kaise tute hai
tukre mere hazaar..

Mujhe talash thi..



Kahan tak hai 
hadde intezaar ki..
Aankhen thak gayi 
takte takte raah bi..
Kitni aankhon se takra ke 
gujri hai meri aankhen per 
Aaj bi nazar na aaye wo 
jiski mujhe talash thi..

Meri chahat ki barsaat..


Yeh nazrein khoj ti hai kuch to..
puchhte hain roz to..
per har baar nigahen 
faer jati hai kal ke paas.
fir bi nahi tuti hai meri aas.. 
hai umeed kabhi to hogi 
meri chahat ki barsaat..
jab milenge unki nazron se to 
aa jayegi khud meri aankhon ke paas.

Tuesday, March 20, 2012

Dur se milne tumse...



Hum to aaye thay 
badi dur se milne tumse. 
Bhar ke laye thay 
dil mein chahaton ka sagar..
Dekh ke kisi ke 
kadmon ke nishaan 
Laut gaye hum
odh kar lehron ka kafan.

Monday, March 19, 2012

Palkon mein chhip gaye..

Khayal uska har lamha rehta hai.. 
Nazron ko aaj bi intezaar uska rehta.
Wo na jane kis ki palkon mein chhip gaye 
jo dil mera aaj bi uske liye udaas rehta hai..

Thursday, March 15, 2012

Yeh alfaz feeke se..


Kagaz ne kaha qalam se.. 
Kyun hai aaj yeh alfaz feeke se..
Qalam ne kaha..tha sab kuch per
koi juda kar gaya DIL ko ROOH se.. 
Na hai dard na ghum aur 
na hai koi khushi ab paas mere.. 
Bas kuch aansu hai 
Jismein dhoobo ke likhe alfaz 
bedard aankhon ko rula ne ke liye..   

Nazron ka dokha hai..


 Kaun kab saath hota hai 
yeh to bas nazron ka dokha hai..
saath to hoti hai saanse dhadkano ke..
jo chalte bi hai aur 
marte bi hai saath saath.
bas ab jhute se lagte hai sab rishte 
jaise dhoop ko dekh ke 
nikal aaye ashq aankhon se.

Tuesday, March 13, 2012

zindagi hai chhoti si..



Todne wale tod jate hain 
bane banaye rishte 
pichhe chhod jate hain..
aaj ki duniya mein rishton se
 jyada dosti chalti hai..
dilon mein sab ke 
ajeeb si tangi rehti hai..
pareshaan hai har aik 
apni apni jeevan mein.
kisko fursat hai jo 
mile kisi se kuch pal ke liye..
mehngai ne maar diya,
waqt ne sab ko sui ki tarah 
apne saath baand diya.
aik machine ki tarah se 
gujarti hai sab ki zindagi.
wohi roz ki mujbhuri..
subah se shaam ki duty..
per chahat hai sab ki 
jeevan mein ho 
har aik khuwaaish poori..
 kyun bhool gaye ho 
zindagi hai chhoti si..

Bhool jao usse..

Mann kehta hai bhool jao usse..
per dil bhulta hie nahi ..
jitna dur jate hain unse
utni paas aati hai unki yaadein..
ab dar lagta hai ah DIL meri berukhi se
kahin tum na tut ke bikhar jao mujhse.



Monday, March 12, 2012

Dard gehre se...


Kyun hai geeton mein dard gehre se.
chhu jate hai lafz dil se.. 
aa jate hain ashq aakhon se 
jaise khade thay wo palkon pe..
kho jate inmein aise  
jaise ho wo dard apne se..
aansu ban ke dard ki zuban 
bheego ke palkon ko.
chhalkte hain aankon se.
dil kehta hai kuch pal aur sun le.. 



kuch shararat hai..

Kitaab ke panne palte to
aankhon ne kuch lafaz chun liye
alfazon ki ladi ban gayi..
alfaz tarana ban ke
jo labon pe saj ne lage, 
to dil ne kaha aankhon se
tum itna jo sharma rahe ho..
kya unse mil aaye ho..
aaj aisi shararat hai tum me 
 jo mujhe bi behka rahe ho.
itna muskura rahe ho 
jaise wo tumhare samne ho.




Sunday, March 11, 2012

Tum itne tang dilse..

Kyun ho tum itne tang dilse..
milte ho kabhi kabhi humse..
fursat nahi tume zamane se 
bas banate ho bhane kaam ke.
tum jhute hie sahi 
kar to lo kabhi kabhi 
humse bi milne ke vaade.
kahin bheet na jaye
yeh pal 
banke lamhe 
tere intezaar mein.
kyun ho tum itne tang dil se 
ab to aake milo humse.. 
ruthe hie sahi tum,
aao manaa lenge 
tume kisi n kisi tarah se.
na raho itne tang dil humse  
phir shayad hum ho na ho,
tumhare aas paas 
yuh satane ke liye.

kai tarange dil se..


Mil kar jod gaya wo 
kai tarange dil se..
anjana sa tha wo, 
apna sa ban gaya 
kuch pal mein.
per nazar hai bechain 
uske bichharne se.
ab pata nahi kab tak rahe 
yeh tarange seene mein mere 
uski yaadein banke.

Saturday, March 10, 2012

zindagi ki dastaan chhappi..


Mere chehre pe umar ki lakeerein aur
zindagi ki dastaan chhappi hai..

lakh chahun chhupana dhundli nazar 
aankhon pe mere ainak lagi hai.
main na janu padhna likhna 
kala akshar bhains barabar..
phir bi roz dekhti hun akhbar 
kabhi to hoga mujhe yaad koi akshar.

Bhool ne wale..

Bhool ne wale bhool jate hain..
hum unne kahan yaad aate hain..
yeh to hum hai jo har pal 
unne yaad karte hain.
kabhi khayal banke to 
kabhi khuwab banke ke 
unse mil aate hain.

JANAZA DARD KA...

Kisi ka dil gayal ho gaya..
kabhi rehti thi mohabbat 
aaj nafrat ne apna ghar bana liya..
kya mohabbat hui bewafa 
ya aashiq dagga kar gaya..
dono mein pyaar tha to 
janaza dard ka dil se kyun nikla..

Friday, March 9, 2012

Palkein bichhaye..



Jab jante hain musafir hain sab yahan.
koi saath rehta nahi apne humesha.
subah aur shaam Jala ke nazon ki shama, 
phir bi kyun karti hai palkein bichhaye 
yeh aankhein kisi ka intezaar.. 


Wednesday, March 7, 2012

HAPPY HOLI...


Aaj utter aaye indra danush  
ke saat rang dharti pe..
khil gaye har chehre pe khushi se..
aao hum bi lootaye khushiyan dilse..
rang ke gulal sab ke chehre pe  
MITHE pakwan..aur thandi si bhang se...
HAPPY HOLI 2 ALL MY DEAR N NEAR ONES..

Saturday, March 3, 2012

kismat ki lakeerein...


Meri kismat ki lakeerein to khichi per 
tujhko likhna bhool gaya.
mujhse jode kai rishte per tujhse 
mera rishta jodna bhool gaya..
jab maine ki guzaarish to uski 
kalam mein siyai khatam ho gayi..
yeh hai badnaseebi meri jo 
tum se mile bi jaise anjaan musafir. 

Chiraag ban ke...


Lau ban ke raat bhar jalte rahe..
hawa se sisak sisak ke tere liye
andhre mein ladte rahe..
tum jo simate roshni banke mere paas
pigal gayi moom bi dekh ke apna pyaar..

Tere alfazon mein...

Tere alfazon mein koi to baat hai. 
auron se alag jazzbaat hai..
dhoob jata hai dil tujh mein jab 
nazrein dekh leti hai 
tera paigam haathon mein apne..

Friday, March 2, 2012

Do ghoont jaam

Ah sakhi do ghoont jaam peela de
narangi ya mausami laa de..
aaj dil bahut udaas hai 
kuch toh zaalim aisa peela de..
jo hoton ko chhu ke dil mein 
uthe dard ko rula de..
kab se pathar sa 
bana baitha hai seene mein..
kuch pal to sakhi ismein jaan daal de....

JO LOOTA AAYI...





DIL HAI GHAM MEIN DHOOBA HUA.. 
LABON PE HAI DARD BHARE TARANE..
MOHABBAT MEIN JO LOOTA AAYI 
KISI SE APNI NAZREIN..
FIR KAISE NA CHALKAYE ASHQ 
YEH BEWAFA AANKHEN..



Thursday, March 1, 2012

Aashqon ke paemaane..

Aankhon mein bhare hain 
aashqon ke paemaane..
dil mein uthe hai toofan anjaane..
na jane kya tha wo 
tera sapna ya tera khayal
jo mujhe yun chur chur kar ke 
bikhar gaya samundar mein..

UNKE KHAYAL SE...





Unke khayal se chehre pe 
aajati hai muskaan.. 
dil mein jo baithe hain 
banke MEHMAAN..
unki aankhon pe 
chhayi hai  muskaan bari masti 
palkein meri kehti hai 
ab bas karo ji.
kahin meri nazron se na 
lag jaye tume nazar 
soutan si khatak ne lagi hai 
mujhe wo ab.
aankhon ne kaha jaldi se 
rang de palkon pe kajal 
jis se rahe wo 
humesha tere ban kar.