Thursday, June 19, 2014

Hum Hain Tere Paapi Insaan..

Eshwar allah tero naam, 
Japte hain sab subah aur shaam 
Phir bi hai kitne mann se baimaan..
Jab kan-kan mein ho tum samaaye 
Phir kyun nahi tum unne nazar aaye..
Teri hai sari srishti, tera hai sara jahan 
Phir kyun karta hai chaturai yeh insaan..
Kabhi ram banke aaye toh kabhi kana banke,
Ulhaj gaye aaj tak tere yeh bandhe 
Tujhe gat gat mein hain dhoondte..
Ram ji ka raaj, kanaa ji ka raas, Meera ji ki 
Bandagi kabhi na samajh sakega 
Tera yeh banda nadaan..
Zubaan se tumhari mala karte sau geen..geen,
Mann mein na jane chhupaye kitne avghun..
Bhookh hai moh maya ki,
Aankhon pe ainak hai a loot aur laalach ki..
Loot ta hai har shan lekar tera naam rabba ji,
Tere hie farishton ko yeh khudgarz insaan..
Mandir masjid gurduware jake apna sheesh nimaate, 
Tere hie dar ke bahar dusron ki burai geenate.. 
Jab tak hai maili kaya maila nazariya 
Phir chahaye karo kai tirath yatra,
Utrega naa sar se yeh paapon ka ghara 
Jo bhure karmon se hai bhara..
Eshwar allah tero naam baksh de,
Hum hai tere paapi insaan..