Friday, July 29, 2011

WAJUD...

KHUD KO KHUD 
NAHI BANAYA.
US MALIK NE 
BANAYA HAI SAB KO.
PHIR KYUN CHHUPAYE 
APNE WAJUD KO.
JO DIYA HAI
MALIK NE SHAAN SE.

BAS EK TASVEER...

NAA KABHI DEKHA TUJHE.
BAS EK TASVEER THI TERI
JO DEKH KE PEHCHAAN
LETE THAY TUME.
WOH BI TUMNE BADAL DAALI.
AB KAISE DHUNDE GAY
TUME IS JAHAN MEIN.

ITNE CHHARE KE ....

NAA BADAL ITNE CHEHRE KE 
APNA CHEHRA BE NA NAZAR AAYE.
AURON KE CHEHRE LAGA KAR 
KAHIN KHUD KO NA BHUL JAYE.
NA KAR KHUD KO MUSHOOR 
KISI AUR KE NAAM SE 
KAHIN APNA NAAM 
HE NA BHOOL JAYE.

Thursday, July 28, 2011

DIL TUT GAYA....


AISA LAGA KISI KA DIL 
TUT GAYA PYAAR MEIN..
AANKHON MEIN AANSUON SE
BHARE CHIRAAG JALAY HO JAISE ..
KISI KE DARD SE HAWAAON MEIN 
SISSAK NE KI AWAAZ GUNJ NE LAGI...  
LAGTA HAI JAISE KOI CHUPKE SE 
ROH RAHA HAI APNE
BICHHRE HUE PYAAR KE LIYE .

Wednesday, July 27, 2011

Sab ke hote...

Sab ke hote be aaj
kyun hain hum akale se.
tujhse na milne se kyun
lagte hain hum adhure se.
kaisa jadoo hai tera
kuch nahi mann baaye mera.
kaisi lagi tujse yeh lagan
kho baithi apna dil aur mann.

JEENA YAHAN...

Jeena yahan marna yahan
ah dost tere bina ab jana kahan.
bas kabhi na ruthe tu
warna main jaunga kahan.
naa yeh dharti meri
naa mera yeh aasmaan.
jahan tu hai wohi mera jahaan.

DIL-E-DARD..

Hote hain qatl kitne 
armaan ek dil ke.
koi likhta hai 
DIL-E-DARD ka haal
apne he lahoo se.
pyaar ke tarazu mein na tol 
apne armaan is tarah,
koi nahi samjhega 
tera dard kabhi yahan.

Dil ki baat ....

Dil ki baat kab kagaz
per utter jati hai.
yeh aankhen bi nahi janti.
ungliyaan to bezubaan hai 
bas chalti jati hain.
jab dil mein dard aur gham ka 
sayaa
na ho to shayri bi nahi banti..
jaise khayalon mein koi na ho 
to tasveer bi nahi banti..

kyun rahte ho chupke se ..

mann ne pucha ashqon se kyun
rahte ho chupke se aankhon mein.
ashq bole-dil ki dhadkano se
juday hain mere taar,
yeh roye ya hanse hum chalak
jate hain aankhon se bahar.

Aaj kal jaisa hota....

kaash aaj kal jaisa hota.
tu mere saath saath hota.
na rota mera dil
na main yuh udaas hota.
aankhon se chhalkay ashq
palkon mein chhupay hain.
jab se bichhre hain tumse
mere yeh do nayan roye hain.

Monday, July 25, 2011

Yeh ho nahi sakta...

Bin badal ke baarish pade 
yeh ho nahi sakta.
tera naam liye bina mera 
din shuru ho nahi sakta.
dil mein tum ho 
khayalon mein bi tum ho.
phir meri zindagi 
tum kyun mujhse durr ho.

Dil ke dard ...

Dil ke dard ki ghutan se
aankhon se aansu chhalak gaye.
yaadein aati hain teri
per tum he badal gaye.
murr ke na kabhi dekha
hume aik baar aur
tum yuhi aagay nikal gaye.
reth ke mahal tut gaye
jab aayi samunder ki lehrein.
aankhon ke sapne bikhar gaye
jo bhune thay milkar dono ne kabhi.

Sunday, July 24, 2011

KYUN ...

KYUN AATE HAI 
AANKHON MEIN AANSU.
KYUN HOTA HAI MANN UDAAS.
LAFAZ SAATH CHHOR JATE HAIN
KHAMOSH HO JATI HAI ZUBAAN.
JAB KOI CHALA JATA HAI
BIN BATAY CHHUPKE SE DILSE BAHAR.

Friday, July 22, 2011

Udaas udaas hai..

Udaas udaas hai mann aaj.
pucha toh kehta hai
mat karo koi baat.
palkon ne pucha 
kya hua mann bola 
teri shararati aankhon ne
mujhse shararat ki hai.
shaant tha main(mann)
mujhe kisi ke saath jor rahi hai.
mana mein be chanchal hun per
isne(aankhon) to hadd kar di hai.
yuh lalchaya mujhe(mann).
deewano ki tarah uske(DIL) pichhe bhaga per
aaj woh meri chanchalta se naraz hui.
mujhko akela chhor chali.
rehgaya ab main akela teri in
aankhon ne mujhe kahin ka na chhora.

Lamha lamha gujarta jaye....

Lamha lamha gujarta jaye,
ah zindagi phir bi tu
kyun na mere saath aaye.
saanso ki raftar badti jaye.
dil hai ke hichkholay khaye.
dil ke dard ki peera be
ab na sayi jaye.
ah zindagi kyun
tu mujhe yuh tadpaye.
ab to meri aankhon
mein be ashq bhar aaye.
phir be tu mujhe samjh na paaye.

Tuesday, July 19, 2011

AANKHEIN ROYI HAIN....

BAARISH SE BHEEGI HAIN PALKEIN
YA AANKHEN HAIN ROYI.
TERE NOORANI CHEHRE PE,
YEH PAANI KI BOONDE HAI

YA AANSUO KI LADI .
LAGTA HAI GORI 
RAAT BHAR 
TU KISI DARD SE HAI GUJRI.
NAA CHHUPA ITNA
GUM-E-DARD DIL MEIN KE 

CHEHRE PE NAZAR AAJAYE.
KAHIN AAINE KO DEKH KE
TU KHUD HIE DOKHA KHA JAYE.

MERA JEEVAN KORA.....


Mera jeevan kore ka kora hie raha.
Sadha is mein gham ka saaya he raha.
Kismat ki lakeeron se 
na thi dosti kabhi.
Bas deewaron se hie takrata raha.
Udhte pakshi ki tarah 
hawa mein udhta raha.
Mera na koi thikana raha.
Anjano ki tarah batakta hie raha.
Kabhi kabhi behgano ki 
mehfil se bi gujarta gaya
par apna sa koi na mila jo 
haal-e-dil mera samajh leta.

Ah dil sambal ja jara...

Ab bi hai waqt ah dil sambhal ja zara.
naa saja sapne uske
woh thaira ajnabi sa.
naa kho uske khayalon mein ke
loot jaye tera chain aur
churale teri nindhiya.
naa bana usko apna ke kahin
woh tod na de dil tera.
jab pal pal ki baatein yaad karke
siske ga yeh dil tera tab rohengi yeh
aankhen aur bheegay gi palkein bi.
tab dard bi sehna hoga muskul.
gham ke saaye mein kho ke reh jaogi
apne chehre ki woh hansi bi bhool jaogayi.

Friday, July 15, 2011

PAIGAM..........

HUM (LETTER) PER APNI
NAZAR KARKE DEKH LO.
KISI NE BADE DILSE
LIKHA HAI AAPKE LIYE.
AUR AAP HAIN KE YUHI
KUCH BOLE BINA HI CHALE.
PURI NA SAHI TIRCHHI HE SAHI
PER EK NAZAR TOH DEKHO.
LIKHA HAI PAIGAM HAAL-E-DIL KA
EK BAHAR TO PADH KE DEKHLO.

Haath diye malik ne ..

yeh haath diye malik ne
jab bi aaye yaad meri to
utha ke sajda karna.
agar ho to in haathon se kisi ki
aur haath bara kar madad karna.
per malik ne yeh kabhi naa kaha ke
in haathon se meri khubsurat
rachi srishtii ka naash karna.
kyun karte ho aise karname jo dekh ke
malik ke aankhon se bi 
paani aajaye.

Thursday, July 14, 2011

Abh woh raat dhal gayi...

Ab woh raat dhal gayi,
jo kaali andheri thi..
ab dard aur peera se
bhari aawazein hain aati..
dil he dil mein roti
kisi  ki maa, behan aur biwi hai..
dekho in sab ke aansu.
 koi toh bataye kya tha inka kasoor..
kitne gar ke chiraag zakhmi hue,
kitno ke gar ke chulay nahi jale..
bas abh bheegi hui palkein hain aur
aankhon mein in ke bhebasi si nazar hai aati..

ROHTA HAI AASMAN..


Rohti Hai Dharti 
Rohta Hai Aasman,
Kyun Reh Na Paaya 
Pyaar Se Insaan.
Intni Bhuk Itni Lalach 
Kahan Se Aayi Iske Andhar 
Sochke Pareshaan Hai Bhagwaan.
Rabh Ji Ne Iska Mann Dhak Diya Per 
Yeh Apna Tan Na Dhak Paaya. 
Isliye Aaj Yeh Nanga Hai 
Aankhein Hote Bi Aandha Hai.
Dekh Maya Ke Moh Mein 
Kho Gaya Insaan.
Phen ke Rang Bi Rangi Chasme 
Isko Dikhti Na Dharti 
Bas Deekhta Hai Aasman.
Apne Kadamo Talay Kuchalta Hai 
Apno Ke Armaan.
Aaj Ranga Hai Iska 
Daaman Kisi Ke Apne Se.
Aati Hai Dugand Iski Hi Saanso Se.
Chain Se Soh Nahi Pata Raat Mein.
Pat Bhar Ke Kha Nahi Pata Shaan Se. 
Ghinta Hai Apni Punji Aur Apne Khatay,
Per Bhool Gaya Asli Zindagi Ki Gari Ke Khante.
Tik Tik Bajhti Hai Dil Ki Dhadkan.
Pata Nahi Kab Ho Jaye Yeh Bandh.
Ah Insaan Naa Faila Itna Gandh 
Aur Itni Nafrat Ke Tere Apne He Jaye Phans.

Wednesday, July 13, 2011

KAL.........

Naa karo jhuta vaada kal ka.
kal jo gaya woh bi 
na tha apna isliye chala gaya.
aane wala kal ka
koi barosa nahi ke
woh hoga apna.
kal kal karte karte
kaal aajayega aaj bankar.
chal abh sambal le aaj apna.
na gavah waqt ko, kal ke jaal mein
aaj jo aaya hai thaam le haath mein.

Aaj is bomb blast mein...13JULY2011..

Jab be maangi roti laat mili.
maanga paani dhutkaar mili.
jo naa maangi maut is jahan se
aaj woh bhari behrahmi se mili.
behkasoor thay kisike dilke tukre thay hum.
anaath ki tarah pare hain laash ban kar.
laashon ke dher lag chuke hain
khoon se latpat hain sab.
aaj sari umeedain tut gayi
jo thi wapas lautne ki.
kisi ke junoon ne bhuja diye hain
kitno ke gar ke chiraag.
loot gaya phir kisi ka koi khaas
aaj is bomb blast mein.

JAB WO LIKHTI HAI...

Jab wo likhti hai
dil ki baat pyaar se.
kagaz ban jata hai dil
aur qalam uski aawaz.
yaad aati hai jab
bichhare yaar ki.
chehre pe aati hai uske
ek muskaan pyaar ki.
khoyi si uske khayalon mein.
milti hai unse apne
likhe hue alfazon mein.
jaise mithi mithi si khushboo ho
aaj uske pyaar ki hawaon mein.

A sign of a knot ..

Hand in hand
its a sign of a LOVE,
every relation is
tied with a KNOT.
it reminds we are
more closer
then before.
don't keep bags of
hatered in ur heart.
life is beautiful ,
bring a smile
on ur pink lips.
enjoy every relation
with care n love.

Kitaab mein rakha gulab

Kitaab mein rakhe gulab ko dekh
aagayi mujhe teri yaad.
yaad aaya mujhe woh pal
jab diya tha tumne yeh gulab.
yaadein ho gayi tazaa jab
murke dekha woh lamha.
nayi nayi thi main tere desh mein.
jab mulakaat hui tumse pardes mein.
anjana sa sab tha per tum he
lage jane pehchane se.
woh pal thay suhane se
jab hum mile anjaane se.
roz milne ke thay naye bahane.
pata na chala kab hui dost purane.
khabar hawa ki tarah chali,
dono ke beech aagayi
jaat paat ki chhari.
us dinse tum hue durr humse.
woh pal yaad aate he aankhon mein
bhar aaye aansu.
woh bi chhalak gaye us phool per.
aik aawaz si aayi jaan i miss u 2.

Tuesday, July 12, 2011

Solah shingaar ...

Solah singhar kar baithay hain.
kab aaogay hume apne sangh
doli mein le jane ke liye.
roz roz intezaar hota hai
ke aaj aaogay.
per raat aajati hai.
sapno mein aate ho
ghore per dhula bankar,
kasme khate ho
le jaoge kal aa kar.
per woh kal nahi aata aur
naa tum aate ho mujhe le jane ke liye.

Ranjha Ranjha....

Ranjha Ranjha karti hun,
teri yaad mein roti hun.
abh ashqon ka bi 
samundar bun gaya.
har shaam aati hun 
kisi bahane se.
tumse milne ke liye per
tum ho ke khoye ho,
apni basuri mein.
hawaon mein sunti hun,
teri basuri ki dhun.
deewani si phirti hun
tume dekhne ke liye.
tum toh aate nahi,
raat aajati hai batane ko,
jaa abh kal aana
ranjhay se milne ke liye.

Teri yaadein sone nahi deti.

Teri yaadein mujhe palbhar bi
sone nahi deti.
Teri chahat mujhe deewana
kiye jaa rahi hai.
bandh karti hun palkein toh
aankhein bandh karne nahi deti.
karvatay badal badal ke
hairaan hun per so nahi paati.
uth baithti hun toh tere
khayalon mein kho jaati hun.
abh aa bi jao humko na yuh satao.
maan lo mera kehna abh naa
hume yaad karke yuh rulao.
tadapte ho tum bi humari tarah
phir kyun nahi karte jeekar apne
haal-e-dil ka humse humari tarah.

Aaj dost udaas hai....

Aaj woh udaas hai, 
pata nahi kis baat ka 
Ranjo Gham hai.
bahut chup chup sa  
lagta hai woh.
kal sapne mein 
nahi mila us se.
puchhte hain 
haal-e-dil toh 
kehta hai raat bhar 
nahi soya tha woh.
afsos sapne mein us se
milne ka vaada tha.
abh darr lagta hai ruth ke 
kahin woh na chali gayi ho. 

Monday, July 11, 2011

Ghumta hun gali gali...

Galiyon se gujarta hai koi
apne pyaar ke deedar ke liye.
dundhta hai yahan wahan bas
yeh he hai dua uske labh pe..

rabha mera yaar mila de
uske deedar kara de.
ghumta hun gali gali
abhi tak woh nahi mili.
sadhke janwa mere rabha
mujhse mera pyaar mila de.

badami si aankhen jiski,
shararati si muskaan uski
ab to mujhse mera meet mila de.

ya to uski ek jalak dikhla de.
uske dil mein bi
meri tasveer laga de.

Phir tuta hai...


woh dekh phir tuta hai aasman se tara.

kahin pe tuta hai kisika dil bechara.
kyun yeh hawaain yuh tez hui
dard se roh raha hai jaise koi.
kaali andheri raaton mein 
dabaye dard se tadap raha hai koi 
dekho toh aasmaan se bi baharish hui.
lagta hai phir do premiyon ki kismat ruth gayi..

DIL KE TAAR TOD DIYE...



Aaj kisi ne mere dil ke taar tod diye. 
Dard itna hua ke nayana ro diye...
kaise bataye kis ne diye itne gham ke 
Zabaan chup ho gayi,
Hum hosh mein be behosh hogaye..
Apne ne he kya hai mera yeh haal
jo aaj hum yuh bejaan se ho gaye.

PAIGAM....


Tum mere dilse likhe paigam padh.

dard se bhare yeh ek ek lafaaz padh.
shayad nazar aajaye kahin tera naam. 
mujhe ek baar pyaar se yaad toh kar.
teri judaai mein yeh nayan ro diye.
DIL mein chhupe dard machal uthe,
abh bi tu kyun hai bekhabar.

Sunday, July 10, 2011

kaare badra...



kaare badra tu na jaa bhari 
kuch pal toh ruk jaa.
aajaye more piya phir 
baras na jamke zara.
a thandi pawan tu bi sunle 
mera dil kya keh raha, 
koi aisi dun suna ke kat 
jaye yeh intezaar ke pal.
o behri badra kahay mohay 
akali dekh tu yuh 
garj garj ke darray. 
dekh abh mora jeeya bi gabraye.
palkon se ashq beh aaye 
kyun tu mohay yuh rhulay.
o piya tere beghar ab na 
laage mora jeeya.
bas ab tu jaldi se aa.
kahin baras na jaye 
yeh kaare badra. 

Saturday, July 9, 2011

palkon ko sajaaya..

Tumari palkon ko sajaaya itne pyaar se
per yeh kaisa hawa ka jonka aaya ke
hummay nazron se ghira diya tumne.
socha na tha ke itna khatakte
thay tumari aankhon mein ke
bikhar gaye hain abh hum
yuh istarah ke tume
sambalna bi na aaya hummay.

Friday, July 8, 2011

Haath thama tha....


Dost bol kar thama tha mera haath, 

Vaada kiya dosti nibane ka..
Pal mein chhod diya humein, 
Yuhi anjaan samajh kar.
Teri dosti hai kaisi eh dost, 
Jab humara koi kasoor na tha..
Phir kyun tumne humein rhula diya.

Thursday, July 7, 2011

Jane do mujhe...


Bandh karke palkon ko 
Naa roko aaj mujhe.
jane do dard bahut hai 
dil mein pee jane ko.
chalak jane do mujhe, 
naa mitao mujhe 
apni ungliyon se.
gham bahut hai in mein 
tume bi rulane ke liye.

AANSNU...

Aankhon ke samunder mein, 
palkon ke kinare per hum rahte hain.
A dil teri KHUSHI aur tere DARD
mein bi hum toh behte hain.
kaisi hai yeh teri aur meri kismat  
tera mol lakhon aur mera kodi ka bi nahi...