Tuesday, December 13, 2011

Haathon mein...

Haathon mein lakeeren hain kismat nahi..
nazar mein tum ho per taqdeer mein nahi..
kaisi hai yeh khuda ki khudai..
jo aaj tak hum dono ko na paas layi..

Daga de gaya dil..


Aaj dil phir aankhon ko daga de gaya..
kab se soch rahi thi aankhen kya likhe..
dil palat deta hai apna khayal..
kuch soch nahi sakta 
dil ka mood hai uukhra sa..
aankhen hain pareshaan
kahan se kare shuruvaat...
har lafz pe qalam karti hai dance..
per kuch nahi likh paati 
accha sa paigam..
kaat te kaat te lafz kagaz gaya phat..
qalam gayi fissal..
dil gaya darr..
haie re ab aankhen karegi bahut tang..
dil ne badle apne rang..
yeh lo dekho kya likh ke
tayar kar diya ...
ho gaye na aap bi dhang..

Monday, December 12, 2011

Gujre zamaane aur naye tarane....

Gujre zamaane sun ke pyaar ke tarane 
dil se jude hain aaj bi wo sur suhane.
wo khushi aur gham ke afsane..
dukh aur dard se bhare sargam ke nazrane..
aansuo se palkon ko bheego dete.
sunke wo bhule bichre geet
aaj bi roh deti hai dil aur aankhen.
dhundte hain aaj bi in geeton mein
apne ruthe dil ko manane ke bahane.
waah re gujre zamaane..
laut aaye lekar naye tarane
wo tute dil ke dard bhare naye nazrane..

Saturday, December 10, 2011

AB KE BARAS...


AB KE BARAS AISI HUI BARSAAT KE 
DIL KO BHEEGO GAYi.. 
AANSU THAY CHHUPE PALKON MEIN 
SAATH BHOONDO KE BEH GAYE..
KABHI TUM THAY DIL KE PAAS 
NAA JANE KYUN DURR HOTE GAYE..
BAS AB BHEETI BAATON AUR 
YAADON MEIN HUM KHO KE REHGAYE.

Friday, December 9, 2011

Khuli si aankhen...


Khuli si aankhen
dhundti hain aisi nazar..
Har nazar mein koi bhuk chupi si..
kisi ko tan ki toh kisi ko dhan ki bhuk hai..
Sansar mein loot ne ko
baithay hain shaitaan tayar..
Bhuk hai aisi ke insaan 
nochta hai insaan ko aaj...
Kal tak thay rishton ka lihaaz..
Ab woh bi utter gaya raaton raat..
thi kuch maryadain, ab Wo bi 
bas naam ke liye khoklisi hoke reh gayi.. 
Aaj insaan aur janwaar mein
koi farak nahi nazar aata..
Aankhon ki bhuk ne insaan ko
janwar bana dala..
Dekha kaisa kalyug aaya..
aankhon ke hote
insaan kitna suwarthi ho gaya.
KAASH....NA HOTI
YEH AANKHEN ITNI QATIL..
Toh dharti pe swarag hota...

Thursday, December 8, 2011

Akele se hum..


Naa wo lafaz rahe pyaar ke..
naa wo alfaaz mohabbat ko 
bayaan karne ke liye..
ab khali sa rehgaya dil 
jis mein kabhi tha tera basera...
wo teri yaadein.. wo tere khayal..
kabhi thay mere aas paas..
ab sab duur kahin kho se gaye.
wo teri baatein jo karti thi 
kabhi mujhe deewana..
hum taras gaye jis se sunne ke liye..
ab wo bi kahin chup si ho gayi.
naa rahe tum paas naa rahi tumari koi yaad..
reh gaye bas khali aur akele se hum..

Wednesday, December 7, 2011

wo bharm..


Mit gaya wo bharm.. 
mit gaya wo aks..
jo pyaar ka aaina sa
nazar aata tha..
teri bewafaai se 
sab bikhar ke 
chuur chuur ho gaya. 
kabhi ek sunder
khuwaab sa lagta tha..

itna jo muskura rahe ho..

Aaj tum itna jo muskura rahe ho
kya raaj hai jo hansi si chhupa rahe ho..
hoton pe hansi jo khil rahi 
tere chehre ke dard bayaan kar rahi.
yeh tere aankhon ki nami bata rahi 
jaise seene se kisi ne dhadkane chura li.
aaj tum apna kuch luta ke haar gaye ho.
kya baat hai jo ab bi humse chhupa rahe ho.
dil-o-dard ko na itna chhupa ke tadapa ne lage. 
naa tum hans sako aur na roh pao kabhi..

Tuesday, December 6, 2011

Tera ehsaas jo...



Tera ehsaas jo mere dil ko tha 
Ab wo kahin khone laga hai..
Teri yaadon ko ab yeh dil 
Aansuon se dhone laga hai..
Dundhli si hone lagi teri tasveer 
Jo kabhi is dil mein thi bassi..
Tum kya badle sara jahan badla sa 
Nazar aane laga hai..
Ab wo tera ehsaas 
Mere dil se mitne laga hai...

Aise ruthe ke...


Nahi jante kis baat pe tum ruthe..
Aise ruthe ke,
meri nazron se chupp se gaye.
Dil ke rishtay mein yeh duriyaan kaisi..
Tum ghumsum se rahe aur 
meri jaan pe ban aayi..
Tere bina dil kahin lagta nahi.. 
Meri aankhon ko tere bina
chain padta nahi..
Khojti hai tume per tum ho ke 
kho se gaye ho kahin.. 
Ab mujhse itna bi na rutho..
Aajao ab tumare bina
mera dil kahin lagta nahi..

Monday, December 5, 2011

Dard hote hain bedard..


 dil ke dard hote hain bedard.
jab dilbhar jaye chhod ke akela
badal jate hain 
raaste 
badal jati hain kismat ki lakeerein.
jab manzilen chhut jati hain 
aasmaan se taare tut ke
bikhar jate hain. 
ya rabha mohabbat mein 
kabhi dilbhar na ruthe..
ruthe agar dilbhar toh 
uska dil kabhi na mujhse tute..

kaisa hai yeh sheher..


kaisa hai yeh sheher..
loot machi hai dekho jidhar..
naa hai koi shaanti naa hai koi sukun...
loot raha hai koi daulat toh koi jism..
har taraf kiya hai bhook aur 
lalach ne tang.
kal thi dharti vishaal 
ab hogaye uske tukre hazaar..
baant di zameen 
baant diye bhagwan 
de ke rishwat ke daan 
seva ke naam..
loot liya sab ne 
jisko mila haq 
raaj karne ka.
loot gaya sheher 
loot gaya insaan.
pareshaan hogaya 
wo jisne diya dimaag itna.
sochta hai ab kya mujhe hie 
khareed ne yeh chale hai.
uske shatranj ke 
mohre bane insaan.
na tu khud ko khuda maan..
uske khel hain nirale.
wo likhta hai sab ke 
karmo ke khate.
bas ab khud ko 
uski laathi se 
bacha sake toh bachale.
warna gujar na padega
dukh aur dard ki 
bhatti se janmo janam.. 

Chalo ek baar....


Chalo ek baar ban jaye ajnabi..
naa tum hume jano naa hum tume 
pehchaane thay jaise kabhi..
bhool jaye wo baatein 
kabhi ek dujhe se kahi suni..
chalo bhool jao
wo raaste wo manzilein 
saath chale thay kabhi.
chalo ek baar 
ban jaye phir ajnabi..
kaun jane hum dono 
laut ke phir aayenge 
zindagi mein do bara kabhi...
chalo ek baar mil jayein banke ajnabi..

Sunday, December 4, 2011

Duur sahi nazron se


Ab wo duur sahi nazron se 
per dil se wo aaj bi mere hai joora.
Har janam ka vaada hai saath nibane ka 
to kaise reh paayenge ek duje se judha..
Ek vaada uska tha.. ek vaada mera tha.. 
bas dono ke darmiyaan hai khuda.

Saturday, December 3, 2011

SITARE CHALE GAYE BANNE TAARE AASMAAN PE..


Ab sajji hain mehfil aasmaan mein..
dheere dheere ek ek sitara 
jaa raha yahan se aasmaan mein.. 
jo thay zaameen ke sitare 
ab chale chamakne ban ke 
taare us jahan mein..
roshan hui dharti inke hunar se.  
ab chamke ga aasmaan bi 
in sab ke naam se.. 
socho kitne sitare 
chhod gaye dharti 
in kuch mehno mein....
we miss them all..

ITNE FAASLE KE..


NA BANA DIL MEIN ITNE FAASLE KE 
DIL SE DIL HIE NA MIL PAEN.
SHABDON SE BOLKE NA SAHI
NAZAR SE NAZAR TO MILAO,
KE HUM KUCH LAMHE AUR JEE JAYE..
NAA KAR KHUD KO HUMSE  ITNA DURR 
KE HUM TUME FIR KABHI NAZAR NA AAYE.

Friday, December 2, 2011

Dil ki gehrai se...


Halke halke mit si gayi 
tumari yaadein mere dil ki gehrai se.
jo chhuppa ke seene mein 
jeeye ja rahe thay ab tak tumare liye.
tumne apne raaste badal diye.. 
apne dil ke darwaaze bandh kar diye..
humne toh bas 
apni palkein bandh kar di..
sab mit gaya 
ashqon ke sailaab mein. 
jo na mit paaya tha 
wo tera naam tha 
meri zubaan se..

Aaj bi tujhe yaad...


Naa jane kyun aaj bi tujhe 
yaad kar ke jee lete hain..
tere hie khayalon mein 
apne ashq pee lete hain..
jab bi dil tadap utha tere naam se 
us se teri yaadon ke 
samundar mein dhubo dete hain.
bas yuhi har baar tere liye 
kuch aur pal jee lete hain..

MAUT KHUD BEWAFAA HAI..


MAUT KHUD BEWAFAA HAI,
KABHI ZINDAGI SE
WAFAA NA KAR PAAYI..
ROZ AATI TOH HAI PER
BEECH MEIN HIE 
ZINDAGI KO 
DOKHA DE KAR CHALI JATI HAI.
KABHI CHAIN SE JEENE BI NAHI DETI.
HAR BAAR APNA
BADLA ZINDAGI SE LETI HAI.
NAA KHUD JEE SAKHI
NAA KISI KO JEENE DETI HAI.
BAS HAR PAL KISI NA KISIKO
APNE SEENE SE LAGA KAR
CHEEN KE LE JATI HAI.

Thursday, December 1, 2011

where is my soul...


Somewhere something has hurt me alot..
I can feel the pain of emptiness.
My heart which plays piano of
my breathe is running hard key notes.
Dont know what but I have lost a lot ..
Trying hard to control myself but 
their is something troubling me inside.
Oh..y am i losing so much sweat..
my heart is running out of my chest..
Today my mind is also out of reach.
But cannot understand what is happening to me this..
Y am i feeling so much alone...where am i ..
Where r my family frnds n relatives whom i adore a lot...
y my body is lying down.i lost myself..
where is my soul...o lord...
couldn't say them bye atlast..Oh..i lost all ..

Wednesday, November 30, 2011

kitna anmol hai...


kitna anmol hai pyaar ka lafaz.
kitna nazuk hai yeh dil.
na zubaan kuch bolti
naa nazron ne samajha 
pyaar toh pyaar hai jaise is titli ki tarah.
bas jaise dil ko nazron se
mila sunder sa tofa.

Tuesday, November 29, 2011

Lamho ki khata per..

Lamho ki khata per ah dost 
sadhiyon ki sazaa na dena.
Is dhadkan ka koi barosa nahi 
kab ruth jaye dil se.
Jeena yuhi bhari hai aur 
ranjeesh ko hawaa mat dena.
Phir kabhi waqt hie 
na mile milne ke liye.

Monday, November 28, 2011

KAB KE BICHARE THAY..



Ya khudaya, mila ta hai to 
Jodta kyun nahi kismat se jisse dil chahe..
Tadap tadap ke reh gaya ab yeh dil uske liye..
Jab har pal kudrat ka hai likha, 
Phir wo pal Kyun na likha
Hum dono ke darmiyaan milane ke liye...
kyun hai aaj bi meri mohabbat juda mujhse .

Sunday, November 27, 2011

GEHRI DOSTI..


DIL AUR AANKHON KI HAI GEHRI DOSTI..
MANN SE YEH BAAT KAHAN CHHUPTI..
MANN TOH HAI CHANCHAL,
KARNE LAGA DONO SE CHHAL.
DILSE BOLA ..NAA SUNIYO RE.. 
AANKHA DE GHAL..
WOH TOH REHTI HAI 
SADHA PALAK JAPAK..
SARA DIN  PHARETI HAI 
APNI NAZAR EDHAR UDHAR.
YEH TO MUJHSE JYADA  
A DIL TUJHKO CHHERTI..
MANN AANKHOSE...
O RE PYARI AANKHIYAN 
KAHAY RE DILSE 
LADATI HAI NAINA..
DIL TO BACHCHA HAI JI.
THODI MUJHSE BI KAR LE DOSTI.

Friday, November 25, 2011

JAB HUM BACHCHE THAY..



Jab hum bachche thay,
Mann ke sache thay. 
Dhin duniya se kachche thay.
Naa thi jhoot aur sach se dosti.
Humari totli baaton pe maa bi hansti.. 
Dekha aaina to jana khud ko sayana.
Dhire dhire khud ko pehchana..
Pata nahi kahan kho gaya bachpan,
Chota sa ho gaya aaina. 
Pata nahi kab chhuta peeche
Maa ka aanchal aur baba ka haath.
Kho gaye duniya ki bheed mein hum aur aap...
Aaj hua ehsaas us dard aur khushi ka
Jab hue apne bachche.
Phir yaad aagaya wo gujra zamana
Jisko chhord aaye thay kal.
Aaj wo bachpan yaad aaya.
Jab apne bachhon mein
Dekha khud ka bachpan..

Thursday, November 24, 2011

HAI HAI MEHNGAI...


MEHNGAI ROOMAL SE CHADER HO GAYI.
INSAAN KI ZINDAGI PHAT KE TAR TAR HO GAYI.
DUNIYA MEIN YEH KAISI MEHNGAYI AAYI  
INSAAN SE INSAAN KI HO RAHI HAI LADAI.
KYA HUA HAI INSAAN KO 
KISNE HAI AB SAB KE 
MANN MEIN BUKH AUR 
LALACH KI AAG JALAYI.
HO GAYA HAI INSAAN ANDHA, 
CHUSSTA HAI KHOON APNI 
KHUWAAISHON KE LIYE MASOOMO KA, 
GAREEB GHUMTA 
BUKHA AUR NANGAA .
UTRA INSAAN KRODH MEIN  
BEECH RASTE PE KARNE KO DANGA.
AB JHAANKTI HAIN MAJBOORI USKE  HALAT SE. 
HO GAYA TANG AB WO ROZ KI MEHNGAI SE.
KHO BAITHA HAI APNA SANTULAN 
IS MEHNGAI KI LADAI SE
AMEER  KHELTE HAIN 
SIHASAT KA SHATRANJ. 
PISS GAYE GAREEB 
VOTE KARNE WALE, 
GAVAAN BAITHE SAB KUCH 
APNE HAATON SE UNKI BAATON MEIN.
LOOTA BAITHE DESH KO 
AMEER KE HAATHON MEIN.
AB ROTE HAIN APNI KISMAT KO 
BEECH RAASTON MEIN.
HUME TO LOOT LIYA 
APNA BOLNE WALON NE.
JHUTE RAJNEETI KE VAADON NE.
RAJNEETI KE KHILADIYON NE.

Jalta hai dil mera....


Jalta hai dil mera phir bi andhera hai.
khaak huay sapne mere phir bi 
teri palkon mein kajal saja hai..
pyaasi hai aankhein 
meri tere deedar ko 
per tujh pe nasha kisi aur ka hai.
meri zindagi tere bina jeena 
ab mere liye sazaa hai..

Wednesday, November 23, 2011

LAUT KE AA JAO...


LAUT KE AAJAO..AA BI JAO..
TERE BIN SUNNA SUNNA 
LAGE YEH JAHAN.
TANHA TANHA SE 
REHGAYE HUM TERE BINA.
AB NA LO MERE 
SABR KE IMTIHAAN.
KAHIN CHHUT NA JAYE 
DHADKANE DILSE,
HO NA JAYE 
MERI SAANSSE FANAA.

Monday, November 21, 2011

Bada naaz tha hume...

.
Bada naaz tha hume unki dosti pe,
jo kal tak thay dost mere.
wo aaj kar gaye akela hume. 
jo kehte thay rahenge saath har pal tere.
yaara yaari karte ho to nibhana bi jano.
meri yaadein jo apne dil mein 
tumne basayi wo bi lauta jate.
yuh na bahane bana ke 
apna damaan humse chhurate..
kaise dost ho palak japakte badal gaye.
dil ke dard ko hum seene mein daba lete per 
aankhon ko to na tum mere itna rulate.

Sunday, November 20, 2011

akela tadapne ke liye...


kab se khuli aankhon se baith ke 
khuwaab bhunte hain tere.
kab se pukarte hain tume dilse , 
kyun odh ke soyi ho dard ke kafan, 
ke meri aawaaz bi nahi sunti.
meri neendhe le gayi tum.
mujhe kyun chhod gaye 
akela tadapne ke liye. 

Yaadon ke motiyon ki..


Teri yaad aate hie, 
chhalak aaye aankhon se ashq 
to unne roke kaise.
yaadon ke motiyon ki 
tuti hai lari aansu banke 
isse sambhale kaise..
dard jo chhupe thay dil mein 
tadap ke aaye zubaan per 
unko labhon se bole kaise.
tumne to bandh kar diye 
dil ke darwaazay
per hum na bandh kar sake 
apne dil ki aankhein.

Saturday, November 19, 2011

Shayar ki shayri ho ya...


Shayar ki shayri ho ya ho 
ghazal kisi ke khayalon ki.
tum ho rachna kisi kavi ki ya
mere aankhon ka ho koi khuwaab. 
jo bi ho tum khuda ki kasam ho lajawaab.
nayan tere jaise madhira ke piyale. 
hoton tere  jaise gulaab ki pankhri wale.
kaali kaali zulf lehraati chehre pe
tere jaise latay kisi ke pyaar ki.
mere dil ko chura gayi 
teri yeh mohini si surat.
jo bi ho tum gori bas ho lajawab si.

Ek sukha sa gulaab...


Uff yeh kaise waqt ke pal aaye..
ya hai teri nazron ka faer.
jo hum thay kabhi tere dil ke taj. 
kal tak thay teri nazron mein chaand. 
aaj kisi kabr mein dafan 
hoke reh gaye ek sukha sa gulaab...

Friday, November 18, 2011

Lamho ki khata per..


Lamho ki khata per ah dost 
sadhiyon ki sazaa na dena.
Is dhadkan ka koi barosa nahi 
kab ruth jaye dil se.
Jeena yuhi bhari hai aur 
ranjeesh ko hawaa mat dena.
ke phir kabhi waqt hie 
na mile milne ke liye.

Masoom tamanaon ne ...


sapno mein tume sajate sajate 
khayalon mein hie tere kho jate.
tume yaad karte karte neendh ko
aankhon mein aane nahi dete..
Mere Dil mein jhank ke dekh to lo.
Kitni masoom tamanaon ne 
dum torr diya tere inthzaar mein.

DARD KE ALFAAZ...


LIKHTI (QALAM)TUM HO, 
(KAGAZ)MUJHE DARD SEHNA PADTA HAI.
PATA NAHI YEH ZAALIM TUMARA
DIL KYUN ITNA TADAPTA HAI.
BAS (KAGAZ)MUJH PE HIE ATIYACHAAR HOTA.
KYUN RUTH KE TUT JATI HO
JO LAL SIHAYI SE (KAGAZ)MUJHPE 
LIKH JATI HO DARD KE ALFAAZ.
JINKO DEKH KE (kagaz)MAIN BI 
ROTA HUN CHUP CHAAP.
MERE(kagaz) ASHQ NAHI CHALAKTE PER 
LAFAZ MIT JATE HAIN HALKE SE 
(kagaz)MERA HIE DARD DEKH KE.

Saturday, November 12, 2011

PYAAR SUKHE PATTE KI...

kagaz aur kitaab mein 
pyaar likhna aur padhna 
bahut accha lagta hai.. 
haqeeqat ke samne aate 
pyaar ko ek sukhe patte ki tarah 
hawaa se ladte dekha hai..
pyaar roohani lafaz hai. 
jiska na koi aakar hota hai. 
jisko mila wo lafaz usne 
us se apne aakar mein jod diya.
par pyaar bewafaa nahi hota, 
bewafaa wo shaks hain jo 
pyaar ka matlab na samjh paaye..

JANAM DIN KI.....

AAYE YEH DIN MUBARAK HAR SAAL.
HUM SAB MILKE DE TUJHE
JANAM DIN KI BADAAIYAAN HAR BAAR.
JAB SE TUM BANKE AAYI
GUDIYA HUM SAB KE PAAS..
TERI HAR MUSKURAT PE
QURBAAN JAYE SARA PARIVAAR.
HO TUM PARCHHAI TO MAA KI,
PER HO KHUSHIYAAN IS AAGAN KI.
JAB TAK RAHE ZAMEEN AASMAAN
SADA RAHE TERE AANCHAL
MEIN DEHRON KHUSHIYAAN.

ROOH NE KI MOHABBAT.....

ROOH NE KI MOHABBAT ROOH SE..
DONO MIL BAITHAY
KHUDA KE DHAR PE.
KHULE AASMAAN KE NICHAY.
DHARTI PE  HAIN KAHI PEHRAY
NAZRON KE
DILON PER.
NA ZAMANE KA DARR NA KOI
DUNIYA KA DASTOOR.
BAS MAUJUD HAI
DONO KE DARMIYAAN
EK KHUDA KA WAJUD.

Friday, November 11, 2011

Chalak ke palkon ko...

chalak ke palkon ko
bheego gaye,
teri yaad mein aansu
meri aankhon se.
jaise koi moti ki mala
tuti ho kisi ke gale se.
tha wo dard us ek ek
aansu mein teri judaai ka.
bas mere labh na bata sake
tumse kabhi apne dil ki baat.

DOST...

DOST HOTE DIL KE
BAHUT KAREEB.
WO JO BANA LE
HUMARI TASVEER.
ACCHI YA BHURI
APNE DIL MEIN.
BHULE NAHI WO
HUME KABHI.

DOST JAISE BI HAIN 
PER HAIN DOST TUMARE.
PALKON PE YA AB
DIL MEIN BITHAY 
MANZOOR HAI.

Thursday, November 10, 2011

SHARBATI NAZREIN....

AANKHON KO NAA ITNA 
SAJA KE NIKLA KARO.
FISAL JATI HAIN 
NAZREIN ASHIQON KI.
NAA KAALE KAJAL SE 
IN KO SANWARA KARO,
KE BIN PEEYE MADHOSH
HO JAYE DEKH NE WALE BI.
SHARBATI NAZREIN TERI 
KARTI HAI GHAYAL KITNE DIL.
TUJHE DEKHE BINA 
INKA BI GUJARTA NAHI DIN. 

Dil ki kitaab kori.

Kho gaye sare alfaaz.
ho gayi 
 kori dil ki kitaab.

sukh gaye ashq aankhon se.
jo kal tak thay chhalkte.
ghum gayi wo yaadein
jo thi humari dil ki dhadkan.
udh gayi rooh hawaa mein
bas mil gaye mitti mein hum.

Tuesday, November 8, 2011

Anjaane se kisi ke...

Kyun anjane se kisi ke
dil mein jaa baithte.
Wo chahe na chahe
usse apna bana liye.
Kyun bhool jate wo 
dil pe kisi ka jor nahi.
Laga ke pankh hawaaon ke
udan khatole mein jhule.
Palak japki ke sapna tuta,
anjaan to anjaan hei raha.
Apna to bas khayal tha
jo nazron ne khwab banaya.
Aankhein khuli aur bikhar gaya.
na wo apna raha na wo anjaan tha.
Ek bhram tha ashq banke
palkon se chalak gaya.

Monday, November 7, 2011

EHSAAS..


Kab hoga tumko ehsaas ke 
tumne kya khoya kya paaya 
Is duniya mein aake.
Kyun nikal chale tum kar ke 
Apni zindagi se dokha.
Kab tak yuhi duniya se, zindagi ke dhaav 
khelte rahoge.
Kabhi toh thak jaoge 
tab tum kya karoge.
Kya apne aapko zindagi ke 
Toofan se sambhal paoge.
Kya milega koi waqt ke 
Apni zindagi ko 
sametne ke liye.
Kahin aisa na ho ke 
bikhar jaye zindagi aur 
Saath apna na ho koi..