Saturday, March 19, 2016

Makaan kai hain har taraf...

Makaan kai hain har taraf par ghar nahi..
Deewaron pe darwaaze hain bandh
Toh khidkiyon pe hai parde bandh..
Sheher ke yeh kaisi hawa hai
Jo sab hai bandh har pal..
Uthi hai deewarein itni unchi ke
Fark par gaya hai insaan ki soch mein..
Doriyaan itni ho gayi rishton mein 
Doston ne jagah le li apno ki..
Har jagah hai saath doston ke 
Bhool gaye apno se rishtey..
Kyun hua hai itna badlao 
Har ek chal raha hai apne mann ki chaal.. 
Kya waqt itna badla ya rabb ne 
Palat diya hai insaan ke, sochne ka tarika..
Kahan kho gayi woh raunkay parivaar ki 
Jahan hote thay apno se hansi mazaak ke thaakay..
Nazar aati thi khushiyaan aangan se 
Chote bade parodsi ke parivaar ki,
Abh bas aate hai nazar darwaaze bandh durr se..
Naa hai apno ka aana jana 
Naa hai koi khabar apne aas paas ki.. 
Fursat nahi hai abh jo soche zamane ki.. 
Subah se raat tak daud rahe hai naa jane 
Kis gore pe jo hoti jaa rahi 
Zindagi daav pe lagi juvari si..
Khushiyaan kauson durr chali gayi 
Jab deewarein pe darare nazar aane lagi..
Kal ke chhote makan aur haveli ke aage 
Unchi unchi emaratein khadi ho gayi..
Eh zindagi tum toh naa makaan, 
Naa hie ghar ki ho saki, 
Bas subah se raat tak naa jane 
Kis daud mein kho gayi..