Wednesday, July 31, 2013

Yeh samay ka chakra..

Na jane kis aur le jaa raha hai
Yeh samay ka chakra..
Apno ko apney ke dil se durr kar raha..
Pehle thi dheron khushiyaan dil ke aagan mein..
Ab toh woh chhoti si bi nazar nahi aati kahin..
Akele hain yeh dil se toh 
Dimaag mein hai shor kai..
Sunai deti hai awazein 
Dard aur nafrat ke alfazon ki...
Badla yug badli peediyan per bhool gaye 
Woh gyan aur sanskar apno ka 
Aate aate peedi der peedi..
Kaisa aaya hai waqt jo apney ko chhor kar 
Na jane kis mein dhund rahe hain khushi..

Sunday, July 28, 2013

Dil Ka Hujra Saaf Rakh...

Dil ka hujra(mehmaan khana) saaf rakh 
mehboob ko bithane ke liye..
Woh toh kab se aake hai khadi 
teri dil ki chokhat pe..
Aankhen dekh ne paayi jo 
teri rooh ne dekha hai..
Soni saloni mehboob hai 
kitni mann mohini..
Kar de saaf nazriya 
aakhon ka aansuon se.. 
Bhule se bi naa karna shikve 
ya gilay jab woh tumse mile..
Kahin ruth ke na chali jaye 
durr woh tere dil ke mandir se...

Saturday, July 27, 2013

Mehboob ki bewafaai...

Bheegi palkein teri 
Galon pe chamka gayi 
Aansuvan ki lari..
Chalke moti toh 
Thar thara gaye 
Dard se tere lab bi..
Kab tak chhupaoge tum
 Zamaane se Mehboob ki bewafaai...


Friday, July 26, 2013

Dil-e-Nadan Tujhe Hua Kya Hai..

Mann.. dilse kehta hai..
Dil-e-nadan tujhe hua kya hai..
Teri is udaasi ki wajah kya hai..
Palkein hain nam 
Nazron mein yeh kaisi 
Ranjishon ka dard chhalak raha hai..

Eh dil-e-nadan tujhe hua kya hai..
Labon pe hai gilay shikwe chhupe hue 
Toh aankhon mein utha sailaab 
Kis ki chahat ka hai..
Mere siva yeh tujh pe kiska nasha hai..
Kya mujh se bi pyara tera koi hua hai.. 
Aree dil-e-nadan tujhe hua kya..

Thursday, July 25, 2013

Ghumsum sa hai mann mera...

Ghumsum sa hai mann mera,
Dekh ke chham chham 
Baarish ki phuaar..
Chup chup sa masoom dil 
Puchhe aankhiyon se, 
Kahan hai woh jiske liye 
Aayi hai sawan ki bahar..

Tuesday, July 23, 2013

Power of Meditation...

  

Every morning to rejuvenate body & soul..
We pefer to take a cup of tea or coffee.. 
Few sips from cup brings the soothing
Energy to face for whole day..
Many cups of tea n coffee we drink
To refreash ourself from hard or lazy day..
But forget to get real energy from
Almighty by sitting for
Meditation for few moments..
Many options r available to get
Positive energy around us..
But after paying big amount
Of hard earnings from pockets..
Good or bad luck depends on our karmas..
Hard luck comes when we think over smartly &
Do foolish things like being greedy
To grab all that is not for us
& destroy d positive energy around ourself..
Good luck comes when we leave everything
Upon almighty n say thanks for
Everything & be satisfied with it..
Every night we die & every morning
We r born to find new surprises
Hidden in a whole day..
Life moves on sometimes with
Breaks for repairing damages done
By taking shortcuts or 
By trying to be over confident..
Only meditation bring inn positive energy
& refresh our karmas through its power..
But we d human creature
Doesn't realize d value of 
almighty power...meditation..

Saturday, July 20, 2013

Kis kis ko sunnay haal-e-dil apna..

Kis kis ko sunnay haal-e-dil apna..
Is dil ko tha un do aankhon se pyaar kitna..
Nazron se unke nazrein milti thi 
Toh chura ke zamane ki nazar..
Dil tadap jata ke ekk baar toh pyaar ka ekraar kare..
Kab tak juka juka ke palke karte rahenge ishare..
Kabhi toh milne ke kare woh mujhse vaade..
Dard-e-dil hai ke sambhalta hie nahi 
Aur ek mehboob hai mera 
Meri mohabbat qabool karta hie nahi..


Thursday, July 18, 2013

Naa kar itna ghamand eh nadan...

Naa kar itna ghamand eh nadan in chand sikon per..
Naa dukha kisi ka dil inke nashe mein aakar..
Reth ki tarah yeh bi kabhi ek jagah nahi hai theharte..
Fissal jate hain yeh chand sikhe 
Chahe ho sone ya chandi ke..
Kis baat pe karte ho nadan itna gumaan 
Naa rabb rakhe jisse naa dharti aasmaan..
Kyun ho tum itne tang dil se..
Jo jane, anjane se karte ho itne gunha..
Sikhe toh jakar laut aayenge 
Per shayad hie tute hue dil kabhi eh nadan 
Tere diye dard se sambhal payenge..


Tuesday, July 16, 2013

Gehron mein kahan itna dum tha...

Gehron mein kahan itna dum tha jo 
Humari palkein ko beegote..
Ye toh apne hain jo dil  ko chhalni kar gaye..
Rishton ki neev hil gayi toh
Buniyaad kab tak sambhalti..
Jab apno ki jagah dilse se 
Nikal kar kahin kho gayi..
Jhoote se lagte hain sab rishtay 
Jab daulat ne apni jagah badal di...




Wednesday, July 10, 2013

Aankhon ke khawab...

Aankhon ke khawab aur
Dil ki khuwaishon ne 
Chahat ki sidiya khadi kar di..
Mitti ke gar chhod ke reth ke mahal bana liye..
Dekha pehle kitne paas thay rooh ke 
Ab toh dil se bi durr ho gaye..
Ab roti hai aankhen kyun uthai nazar 
Itni unchi ke zameen pe lete bi 
Toh darti mein samane ke liye..












Thursday, July 4, 2013

Sukoon-e-Jannat..




SUKOON-e-JANNAT..
Kitne anmol kudrat ki saugaat hai....
Dekhte hie nazron se dil ko chhu jaaye.
Aisi ruhaaniyat hai in mein samayi 
Ke dekhte hie reh jaen...
Aaj mila hai kitna sukoon dekh ke
In khoobsurat kudrat ke ratno ko tasveer mein, 
Yeh mere alfaaz bi bayaan na kar paaye..

Kahay Thaame Baitha Hai yeh...


Kahay thaame baitha hai 
Yeh rishton ki ghathri, 
Jab saath na jana koi..
Paayi paayi jod ke kaise 
Mahal khwabon ke sanjoye..
Jo fursat nahi tujhe 
Khud ke liye ekk pal ki..
Naap tol ke mila hai yeh 
Insaan ka roop kahay gawain yuhi..
Jab thaame rakha hai us rabb ji ne 
Kahay dar dar khoje duja koi.
Kar dyaan malik ka chhor de 
Ab yeh mala moh maya ki..
 Samajh jaise rishtay sab manzilein hain 
Aur tum musafir koi..
Ab toh sambhal jaa phir na jane 
Milay yeh manav jeevan ya 
Milay rabb ji jaisa sacha saarthi kabhi.. 

Monday, July 1, 2013

Kitna masoom hai yeh insaan..










                                                             
Kitna masoom hai yeh insaan..
Dhatu ke vas tu ko sona aur chandi ke 
Naam de kar khazana 
Samajh ke rakhte hain chhupake..
Anmol sona gehun(ann aaj) aur 
Paani jo chandi ki tarah hai 
Uska koi mol nahi rakhte.. 
Kitna nuksaan kar baitha hai 
Naadan insaan..
Yeh na sochta ke 
Yeh anmol ratan naa hoge 
Toh maar jayega woh khud bi..
Dhatu ke vas tu na bi hogi toh 
Jee le ga insaan..
Isliye aaj sari duniya mein 
Jo halaat hai uska bi 
Zimmedhar hai yeh insaan..
Ab bi waqt hai sambhal jaa re insaan, 
Kahin aisa naa ho ke aane wali 
Teri peedi roh de tere kiye pe..