Saturday, June 30, 2012

Jo kal tha wo main tha..


Jo kal tha wo main tha..
Jo aaj hai wo tum ho..
Phir kahan ghum ho..
Jaago re manna
sanvaro khud ko..
Warna kho na jaye
yeh aaj kahin,
kal mein phir se..
Badi labi hai sadak..
kattheen hai daggar
mushkul hai safar,
is zindagi ka..
Bas yehi hai pal
sambhalo tum apna
aane wala kal..

Ishq aur mushq chhupaye..




Ishq aur mushq chhupaye nahi chhupte..
Naam tera sun ke jab lab muskura uthte..
Khil jaye chehre pe rang 
Aisa gulabi tumein bata nahi sakte..
Tumse izhar-e-mohabbat bi 
Sar-e-aam bayaan nahi kar sakte..
Haal-e-dil kaise sunnay apna 
Jab tak tumse mulakaat nahi karte..
Khoye hain jabse tujh mein hum 
tere ho ke reh gaye.
phir bi yun Khuli palkon se 
Kyun dhundte hain tumein aaine mein....

kabhi samne bi aake mil..



yaadon mein rehne wale 
kabhi samne bi aake mil..
chhup chhup ke na tu jala mera dil..
jalte hum hai to 
dard se tadpte tum bi ho..
aankhen roti hai to chhalkte ashq 
palkon se tum chhupate kyun ho..
bas Izhar-E-Mohabbat pe 
Humare tum yakeen kar lo..
kabhi samne bi aake  humse milo..  

Thursday, June 28, 2012

A dil thaam le mera haath..



A dil thaam le mera haath..
Sambhal ja aaj ki raat..
Kal hoga naya savera
Shayad badal jaye tera iraada..
Akela kaun kab reh paya...
Saans aur dhadkan ko tu hai pyara..
Na ruth yun is tarah ke wo dono tut jaye..
Naa jao mujhe(mann) yun chhor ke akela
A dil tere bina kya hoga mera(mann)..
A dil sambhal jaa zara..
Dekh tere charon taraf hai aansuon ka sailaab   
Kahin dhub na jaye tu inke dard mein be wajah.. 
Le thaam le mera saath..
Rakhenge tujhe chhupake seene ke paas..
Le thaam le mera haath..


Wednesday, June 27, 2012

Saamne to ho..



Saamne to ho paas nahi..
Kyun ho tum itne chup 
Bolte kuch kyun nahi..
Tum khoye ho ya kho gaye hum, 
Tume dhundne mein kahin..
Khayal bi tum ho khuwaab bi tum..
Dil ke paas to ho mere per 
mulakat ke liye kyun ho itne durr tum..

Saath laye thay kya..


Saath laye thay kya, kuch yaad nahi aata..
Saath kya le jayenge wo waqt kabhi nahi batata..
Per badi koshish mein lage hain 
hassil karne ko har chizz wo haath aa sake..
Is se pahle ki koi aur le jaye..
Likhi hai vidaata ne sab ki kundali..
Kitaab to uski khuli hai sab ke saamne 
per har ek usse padh nahi pata..
Mausam wo badalta hai, lakeerein wo khichta hai..
Kismat ka har panaa wo palatta apni marzi pe....
Per humein hie nazar nahi aata uska yeh khel..
Insaan ko baithaya shatranj pe kudrat ne 
Kai mohre (lalach,aalsipan.makari.jazbaat aise kai mohre) ke saath..
Jeet ne ki koshish mein har baar maat khata aaya insaan..
Aaj bi batak raha hai har jeev yahan se wahan 
dhudte hue apna wajud aur apni pehchaan.



Tuesday, June 26, 2012

Agar jane wale laut ke...



Agar jane wale laut ke aate to wo jate hie kyun..
Bas unki yaadein aati hai..
Saath gujare kuch khatte mithe pal rulane ko..
Per jane wale laut ke kabhi nahi aate
humein phir se hansa ne aur adhura saath nibane ko..



Janam janam se..



Janam janam se tadapte aaye..
Is janam mein shayad hum tum mil jaye..
Pyaar mohabbat ki shamaayein sadhiyon se jalate aaye..
Kaash is janam mein kuch lamhe saath beetayein..
Har janam mein saath nibaya hai..
Ab is janam mein tujhe pana hai..
apne dilon ko ekk rooh mein basana hai..
Sadiyon se dekhte aaye
Pyaar mohabbat ka dushman zamana hai..
Per yeh duniya kya jane tera mera pyaar kitna purana hai...

Monday, June 25, 2012

Main nadiya ki dhara...



Main nadiya ki dhara hun tum thhara hua kinara..
Paani ki maujon se lipta hai tera wajud sara..
Aati hun badi durr se milne tumse
Per pal bhar bi tum mujhe nahi rok pata..
Tum kya jano kitna machalta hai
Dil mera tumse milne ke liye,
Per har baar laut jati hun udaas hoke..
Jab dekhti hun tume  gehron se ulhje hue
Main samajhi tum ho bas mere liye...

Ab wo dard nahi..


kagaz kehta hai..eh siyai ab wo dard nahi
in alfazon mein jo pahle hua karta tha....
siyai..ab bataun kaise ke wo dard
dil ne ab duniya ki nazar se
apne seene mein daba rakha hai..
kal tak wo sunate thay humein
ab is lifafay mein chhupa rakha hai..




Sunday, June 24, 2012

mausam aaye..


Mausam aaye mausam jaye..
Har baar dil mein ek nayi umeed jagaye..
Har mausam ke hai apne rang.. 
Har rang ke hai sur aur tarang.
Kabhi hai khushi to kabhi hai gham..
Phir bi jeete hai aap aur hum..
Har din bhunte hai nayi khuwaaishein
Chalti hai zindagi ki gari aahiste aahiste..
Kitne mausam aaye aur 
Kitne mausam beet gaye..
Per hum hie hai jo har baar se 
Ab kuch jayda badal gaye.. 


Maine thama haath per...




Kiya tha pyaar ka vaada dono ne kabhi.
Maine thama haath per tumne nahi.
Chot lagi aisi mujhe ke
haath chhut gaye..
Dhere dhere se teri nazron se
dur hote chale gaye..
Kyun nahi majbhuti se
thaame tumne haath,
jo Hum aaj tere dil se
bi dur ho gaye..
lagta hai kachaa sa tha rishta,
adhuri si thi chahat ki dor isliye
aaj hum tum hai ek dusre se durr...

Saturday, June 23, 2012

Lab se labon tak...




Lab se labon tak jo zubaan bol na saki..
Aaye alfaz per lab jod na sake..
Aao in labon ko chhuke adhuri baat poori kar de..
Dil mein uthe chahat ke toofan ki aarzoo poori kar de..
Hoton se hoton ko chhu ke pyaar ko chum le..
Aaj apne bi armaan puray kar de..

Monday, June 18, 2012

Dil ki panno pe..


Dil ki panno pe dard ki siyai se 
jazbaat likh laye..
Is pagal maan se aaj lad aaye..
Har pal itni khubsurat 
aankhon ko tadpata..
Palkon ko bheega ke 
saje kajal ko bikhre ta..
Puchha to kehta hai.. 
Gori teri kali aakhiyan lalchay 
Kitne mann aur kitne aankhiyan..
Mujhse behri ho jati hai wo,
Jab sunti hai unki batiyaan..
Raat raat bhar unke khayalon mein 
Dhoobti hai yeh aankhiyaan..
Chain mera loot jata hai..
Wo to bas jaage aur sote 
mein bi bunte hai unke khuwaab..

Sunday, June 17, 2012

The feeling of sweetness..





Three Sweet words..
A smile A hug & A kiss..
When eyes wink..n..lips smiles..
Arms say come 2 me 
Let me hug u close 2 my heart..
Oh angel of lord..
These words make tears dance 
Like a pearls on the cheeks.
The feeling of sweetness & 
a touch of love with a kiss.. 


Saturday, June 16, 2012

beetay wo pal..




Tere sangh beetay wo pal
Aaj nazron ke aagay aa gaye..
Yaadon ke sailaab mein
Hum dhubte chale gaye..
Palkon ko bheega ke,
Kab aankhen royi itna ke
Galon pe aansuo tera naam likh gaye...



Friday, June 15, 2012

Seene mein yeh utha...



Aaj udaas udaas sa yeh dil kyun hai..
Seene mein yeh utha dard sa kyun hai..
Koi bata de usse ab yeh dard nahi seh jate humse..
Wo karte hain itna yaad to milte kyun nahi aake humse.

Jab jab teri yaad..



Jab jab teri yaad aayi
Meri aankhein chhalak aayi..
Mile thay tum kitne pyaar se,
Jaise jaante thay hume janmo janmaant se..
Teri yaadon ke nissan hai dil pe saje..
Batao kaise bhool jaun ab main tume..


Wednesday, June 13, 2012

Tume dhundne nikle...




Tume dhundne nikle thay
Aankhon mein tasveer lekar..
 Yaad karte karte tume,
Kud hie kahin kho gaye 
Dilon ke sheher mein..
 Raste hie laut ne ke bhool gaye 
Itni bheed dekh kar..
Ab bas tum hie dhund lo 
Mujhe kahin se aa kar..
  

Monday, June 11, 2012

Aise jeene mein...


Kya rakha hai aise jeene mein.
Kyun rakha uske dard ko
chhupa kar apne seenay mein,
udaas chehra lay kar 
gali gali mein ghoome ga, 
pagal aashiq kahenge log, 
kya yeh mujhe qabul hoga. 
Tor de uske dard ki deewar,
chhor de uske ghamo ka daaman, 
thaam le mera haath aur chal mere saath.

Thursday, June 7, 2012

Mujhse milne ki chahat bi




Yaad to tumhe meri aati hogi...
Mujhse milne ki chahat bi satati hogi..
Chahay karo kitne bi palkein bandh per
Meri tasveer aankhon mein nazar aati hogi..
Chupke se karte hoge hawaon se meri baatein...
Khayalon mein basa ke mujhe muskuray hoge tum..
Bheega ke palkein chhalke hoge ashq bi kabhi kabhi..
Jab main hun saanso aur dhadkon mein teri,
Phir kyun karte ho mujhse milne mein dehri..

Wednesday, June 6, 2012

uthe hai dard aise..




seene mein uthe hai dard aise ..
tujhse milne ko ho bechain jaise..
aankhein tadap gayi 
nazron ko samjhain kaise.. 
dhadkano pe saanso ka raj hai 
is dil ko sambhale kaise.
tumse milne ki khuwaish hai per 
yeh duriyaan paar kare kaise..
yeh dil ke dard hain bedard aise..
shayad ab kabhi tumse milne bi na de..

kabhi dil ke bahar bi mil..




Oo Dil mein rehne wale kabhi dil ke bahar bi mil..
kabhi palkon ko bi saja de aankhon mein sajne wale ..
Kabhi mithi si misri ban ke zubaan pe baith..
Kabhi muskaan banke chehre pe chha ja..
Kabhi nazron se nazron ko mila ke dekh
kitna pyaar hai in chahat bhari aankhon mein tere liye.. 


O chand jaise...


O chand jaise 
chehre wali bala..
jaise ho nirmal aur 
sheetal nadiya ki dhara..
muskurate chehre pe 
hai noor natkhat kana ka.. 
ya hai rang us
madhur prem bansuri ka..

Monday, June 4, 2012

nazrein khoj ti

Yeh nazrein khoj ti hai kuch to..
puchhte hain roz to..
per har baar nigahen
faer jati hai kal ke paas.
fir bi nahi tuti hai meri aas..
hai umeed kabhi to hogi
meri bi chahat ki barsaat..
jab milenge unki nazron se to
aa jayegi wo meri aankhon ke paas.

Saturday, June 2, 2012

Wo Upper Baithke




"O Khudaya"Upper Baithke 
Dil Se Dil Ko Mila Ke Phir 
Jazbaaton Se Kyun Khelta Hai.. 
Pal Pal Dekhta Hai Tamasha 
Dilon Ka Mazze Leke..
Isliye Tumne Kisi Se 
Pyaar Na Kiya Kabhi Dilse..
Aik Baar Kar Ke Dekh Le 
"Ya Khudaya" Tu Bi Pyaar Kisi Se..
Bhool Jaoge Phir Apne 
Us Aasmaan Ke Chand Taare..
Dhub Ke Dekho 
Aansuon Ke Dhariya Mein..
Dard Ke Pahar Se Gujar Ke 
Dekh To Le Kisi Ke Liye..
"O Khudaya" Bhool Jaoge Tum bi
Dilon Se Khelna Uper Baith Ke.

Maine To Har Ibadat Pe...


Maine to har ibadat pe 
apna sar tere aagay tha jukaya..
Kaisi saza di eh khudaya..
Dil bi mera tuta..dard bi maine paya..
Aansuon ke sailaab mein 
Aankhon ne palkon ko beegoya..
Tadap tadap ke rehgaye dekh ke tera khel sara..
Na tha pasand tujhe mera uska saath 
to kyun mujhe usse milaya.. 
Mila ke phir kyun mujhe tumne yun rulaya..
Kyun tune mere dil mein mohabbat ka deep jalaya..
Phir mere hie aansuon se usse bujaya.. 
Kaisa yeh tune mere saat khel rachaya..



Friday, June 1, 2012

kyun chhupay ho chand ko..

kyun chhupay ho chand ko badalon ke pichhe.
khol do in kali gattaon ko aanchal se.
lehrane do in kali nagin si zulfon ko aaj hawaon mein..
khol do nazuk ungliyon se aanchal ko..
kahin tadap ke bal na par jaye gori kalai mein.
kyun chhupay hai tumne yeh madhira jaise nayan..
jisko dekhne ko hue jaa rahe hum bechain..
kabse ho tum ghumsum si khoyi khoyi si kahan..
paas aao, na raho dur tum humse itna
ab na lo mere sabr ke imtiaan
kyun tum kuch nahi bolti meri jaan..