Sunday, December 22, 2013

Phas Gaya Bechara Dil...

Baithe hain apne is choti se jeevan mein
Unguent paap ki gathri bana ke.. 
Kabhi mann ne lalchaya toh
Kabhi aankon ko nazron ne lubhaya..
Jane anjane kitne dilon ko dukhaye, 
Tha ghamand kisi nashe ka 
Ya thay apni aadat se majboor..
Pee kar unguent aansu phas gaya bechara dil.

Paalnay se Shamsaan tak..

eh zindagi maa ki kokh se, shamshaan ki arthi tak.
Jab se aayi is duniya mein, Pal, din aur 
mehino se saalon tak Har pehr se tu gujri.
Kitne dard aur ghamon se tu ladi,
kitne toofano se hans ke kabhi roh ke takrayi
Kuch pal ki khushiyaan mili toh ganto mein gham,
dino ke dard aur saalon intezaar mein gujre.
Phir be tu khadi hai aise mor pe jahan apna na koi.
Apne ho gaye durr dhire dhire..
kisi mor pe mili khushiyaan toh mile aansu bi savgaat mein..
Jo pehchaan thi teri eh zindagi, sab piche reh gaya 
jab ki bandh aankhen Arthi thi sajji aur kaffan thay kai.
Sare thay apne per sanghi tha naa koi.
Har ek ko dekha sab ki thi palkein beeghi si.
Khatam hua safar, tute sare rishte natay.
eh zindagi ab tu be hui parayi.
Chalo chalo jaldi karo koi awaaz aayi.
Jana hai humein be jaldi se karo ab in ki bidaai.. 
yeh hai eh zindagi teri paalnay se shamsaan ki kahani..

Thursday, December 19, 2013

Nazrein dhoond rahi hain..

Jane kahan gaye ho jo aaj bi 
Nazrein dhoond rahi hain..
Hai talash aaj bi in khuli aankhon ko 
Kabhi toh laut ke tum aaoge humare paas..

Hazaron sawal is masoom dil mein uth rahe ke 
Kya itna hie tha saath un saat 
Pheron ka ek dujhe ke saath..
Chale thay saath saath par 
Tum na jane kahan aage chale gaye..

Laut ke aata hai din, laut aati hai roz raat 
Par tum na jane wapas 
Laut ke na aaye is baar..
Yeh kaise pardes gaye ho ke 
Bhool gaye hum sab ko ek saath.. 

Kabhi di thi suhaag ke naam se jo mala 
Mere gale ka shingaar thi bani.. 
Aaj woh bi teri jane se toot ke bikhar gayi..
Bikhra sansar bikhar gaya 
Tere mere atoot bandan ka woh saath..
Jane kahan chale gaye tum ke 
Adhure se reh gaye hum aaj..

Tuesday, December 17, 2013

Ashq..

Aankhiyon mein rehne de 
Na yun humein tadpa..
Tadap tadap ke bichhar ke 
Hum jayen to jayen kahan..
Uljhi hain nazrein teri dil ke dard se, 
Gham ke saaye mein 
Kyun karte ho humein yun qurbaan..
Rehne de hume apni aankhyon ke aaspass...

Do pyare dilon mein vichhora..

Dard dil ka dekh ke aankhen roti...
Thar tharaye lab ke kab tak haal apna 
Palkon ke pichhe se chhupaye koi..
Bichhran aisi aayi ke kar gayi 
Do pyare dilon mein vichhora.. 

Sunday, December 15, 2013

An illusion of destiny in my life..

Destiny writes & destiny decides about a life day n night..
Thinking deeply about one's life,
Seeing with eyes & feelings from heart..
But nothing is mine in this whole universe..
Its just an illusion..
Millions of words have been heard & said about life
But still nothing stays with anything forever..
Life is just an illusion of eyes..
Good & bad time passed by & changes came in as
An illusion of destiny in my life..
Dont know anything about destiny, 
    Still confused & deeply thinking about this illusion of life..
   Everything happens with destiny's choice but not mine..

Friday, December 13, 2013

Adhura Chand hai ya hai Raat Udaas...


Adhura chand hai ya hai raat udaas...
Milte toh hain par phir bi
Adhuri  hai chahat ki pyaas..
Yeh raat ki tarasti nazrein
Aur dilon mein khuwaaishein hazaar..
Roz hota hai raat ko
Chand se milne ka intezaar..
Chand aata nahi kabhi akela
Kabhi hoti hai aamavasya toh
Kabhi hoti hai purnima saath..
Hoti nahi poori aaj bi adhuri mulakaat..

Tuesday, December 10, 2013

Ginti ki Mala...

Zindagi ke safar mein saanse ho ya dhadkane, 
Khushiyaan ho ya dukh, sab hai ginti se tol mol ke milta.. 
Karmon ke tarazu mein,sab hai hissab apni apni karni ka..
Zindagi ke safar mein, janam se 
Maran tak hai ginti ko jodna aur kaat na..
Par bhool gaye ginti apne karmon ki..
Jodte gaye karni ki ginti bharm ke aaine dekh ke.
Hue aamir duniya mein par garib ho gaye sab kho ke 
Apne karmon se us malik ke nazar mein..
Mile kai mauke karmon ke tarazu ko sahi karne ke 
Par tha parda ghuman ka itna ke 
Aankhon ko kuch aur nazar na aaya..
Aaya waqt aisa ke karni aur 
Karam ka tarazu hua upar niche..
Atak gayi ginti saanso ki dhadkon se..
Toot ke chuur hua bharm ka aaina 
Kaat kut ke ginti shuniya rahi..
Aaye thay, karmon ki ginti kaat ne par 
Jaa rahe hain karni ki ginti ka hisaab jod ke..
Phir se is ginti ki mala ke phere mein 
Phans gaye re manna tum..


Monday, December 9, 2013

sone sa bachpan...

Sone sa tha bachpan, 
chandi sa tha tab dil ka darpan..
dekh dekh ke aaj jeevan ke kai roop 
kuch dundlane laga hai zindagi ka ab mann..
moom ki tarah thay tab hum.
maa ke aanchal se daka tha tab mera tan.
jahan jate pitaji ki thaami ungali 
kabhi kabhi thay unki bhaon mein 
mazay se itrate ghumte.
kaash koi laute de mujhe wo suhane se pal.

wo sone ka bachpan wo chandi sa dil ka darpan.
bas yaadon ko lekar dhundte hain 
khud ko apne bachon mein wo sone sa bachpan.
per ab toh wo alag sa lagta hai, 
mere bachpan se unka bachpan.
kahan kho gaya aaj ke bachon ka 
wo sone sa bachpan,
wo chandi sa dil ka darpan..

kho sa gaya hai 
ajeeb yantron mein aaj ka bachpan,
kho sa gaya woh mitti ke khilono ka rang..
badla zamana badli soch par 
kho gaya is mein bachpan anmol..

tez hai aaj ke bachche 
 khilono ki jagah computer, mobile aur 
ipad tablet ki hai chahat karte..
aate nahi bolne alfaaz thik se 
par aaj ke woh geet hai 
sunte aur gungunte bade chaha se..

kho gayi khushboo mitti ki perfume mein..
badla aisa zamana ke ab lagte hain 
bachche bade intelligent apne maa baap se..
kaisi ulti chal rahi hai ginti ke 
chhoti si ho gayi umar bachpan ki..
kho gaya sone sa bachpan, 
chandi sa dil ka darpan in ajeeb se yantron mein..