Wednesday, November 30, 2011

kitna anmol hai...


kitna anmol hai pyaar ka lafaz.
kitna nazuk hai yeh dil.
na zubaan kuch bolti
naa nazron ne samajha 
pyaar toh pyaar hai jaise is titli ki tarah.
bas jaise dil ko nazron se
mila sunder sa tofa.

Tuesday, November 29, 2011

Lamho ki khata per..

Lamho ki khata per ah dost 
sadhiyon ki sazaa na dena.
Is dhadkan ka koi barosa nahi 
kab ruth jaye dil se.
Jeena yuhi bhari hai aur 
ranjeesh ko hawaa mat dena.
Phir kabhi waqt hie 
na mile milne ke liye.

Monday, November 28, 2011

KAB KE BICHARE THAY..



Ya khudaya, mila ta hai to 
Jodta kyun nahi kismat se jisse dil chahe..
Tadap tadap ke reh gaya ab yeh dil uske liye..
Jab har pal kudrat ka hai likha, 
Phir wo pal Kyun na likha
Hum dono ke darmiyaan milane ke liye...
kyun hai aaj bi meri mohabbat juda mujhse .

Sunday, November 27, 2011

GEHRI DOSTI..


DIL AUR AANKHON KI HAI GEHRI DOSTI..
MANN SE YEH BAAT KAHAN CHHUPTI..
MANN TOH HAI CHANCHAL,
KARNE LAGA DONO SE CHHAL.
DILSE BOLA ..NAA SUNIYO RE.. 
AANKHA DE GHAL..
WOH TOH REHTI HAI 
SADHA PALAK JAPAK..
SARA DIN  PHARETI HAI 
APNI NAZAR EDHAR UDHAR.
YEH TO MUJHSE JYADA  
A DIL TUJHKO CHHERTI..
MANN AANKHOSE...
O RE PYARI AANKHIYAN 
KAHAY RE DILSE 
LADATI HAI NAINA..
DIL TO BACHCHA HAI JI.
THODI MUJHSE BI KAR LE DOSTI.

Friday, November 25, 2011

JAB HUM BACHCHE THAY..



Jab hum bachche thay,
Mann ke sache thay. 
Dhin duniya se kachche thay.
Naa thi jhoot aur sach se dosti.
Humari totli baaton pe maa bi hansti.. 
Dekha aaina to jana khud ko sayana.
Dhire dhire khud ko pehchana..
Pata nahi kahan kho gaya bachpan,
Chota sa ho gaya aaina. 
Pata nahi kab chhuta peeche
Maa ka aanchal aur baba ka haath.
Kho gaye duniya ki bheed mein hum aur aap...
Aaj hua ehsaas us dard aur khushi ka
Jab hue apne bachche.
Phir yaad aagaya wo gujra zamana
Jisko chhord aaye thay kal.
Aaj wo bachpan yaad aaya.
Jab apne bachhon mein
Dekha khud ka bachpan..

Thursday, November 24, 2011

HAI HAI MEHNGAI...


MEHNGAI ROOMAL SE CHADER HO GAYI.
INSAAN KI ZINDAGI PHAT KE TAR TAR HO GAYI.
DUNIYA MEIN YEH KAISI MEHNGAYI AAYI  
INSAAN SE INSAAN KI HO RAHI HAI LADAI.
KYA HUA HAI INSAAN KO 
KISNE HAI AB SAB KE 
MANN MEIN BUKH AUR 
LALACH KI AAG JALAYI.
HO GAYA HAI INSAAN ANDHA, 
CHUSSTA HAI KHOON APNI 
KHUWAAISHON KE LIYE MASOOMO KA, 
GAREEB GHUMTA 
BUKHA AUR NANGAA .
UTRA INSAAN KRODH MEIN  
BEECH RASTE PE KARNE KO DANGA.
AB JHAANKTI HAIN MAJBOORI USKE  HALAT SE. 
HO GAYA TANG AB WO ROZ KI MEHNGAI SE.
KHO BAITHA HAI APNA SANTULAN 
IS MEHNGAI KI LADAI SE
AMEER  KHELTE HAIN 
SIHASAT KA SHATRANJ. 
PISS GAYE GAREEB 
VOTE KARNE WALE, 
GAVAAN BAITHE SAB KUCH 
APNE HAATON SE UNKI BAATON MEIN.
LOOTA BAITHE DESH KO 
AMEER KE HAATHON MEIN.
AB ROTE HAIN APNI KISMAT KO 
BEECH RAASTON MEIN.
HUME TO LOOT LIYA 
APNA BOLNE WALON NE.
JHUTE RAJNEETI KE VAADON NE.
RAJNEETI KE KHILADIYON NE.

Jalta hai dil mera....


Jalta hai dil mera phir bi andhera hai.
khaak huay sapne mere phir bi 
teri palkon mein kajal saja hai..
pyaasi hai aankhein 
meri tere deedar ko 
per tujh pe nasha kisi aur ka hai.
meri zindagi tere bina jeena 
ab mere liye sazaa hai..

Wednesday, November 23, 2011

LAUT KE AA JAO...


LAUT KE AAJAO..AA BI JAO..
TERE BIN SUNNA SUNNA 
LAGE YEH JAHAN.
TANHA TANHA SE 
REHGAYE HUM TERE BINA.
AB NA LO MERE 
SABR KE IMTIHAAN.
KAHIN CHHUT NA JAYE 
DHADKANE DILSE,
HO NA JAYE 
MERI SAANSSE FANAA.

Monday, November 21, 2011

Bada naaz tha hume...

.
Bada naaz tha hume unki dosti pe,
jo kal tak thay dost mere.
wo aaj kar gaye akela hume. 
jo kehte thay rahenge saath har pal tere.
yaara yaari karte ho to nibhana bi jano.
meri yaadein jo apne dil mein 
tumne basayi wo bi lauta jate.
yuh na bahane bana ke 
apna damaan humse chhurate..
kaise dost ho palak japakte badal gaye.
dil ke dard ko hum seene mein daba lete per 
aankhon ko to na tum mere itna rulate.

Sunday, November 20, 2011

akela tadapne ke liye...


kab se khuli aankhon se baith ke 
khuwaab bhunte hain tere.
kab se pukarte hain tume dilse , 
kyun odh ke soyi ho dard ke kafan, 
ke meri aawaaz bi nahi sunti.
meri neendhe le gayi tum.
mujhe kyun chhod gaye 
akela tadapne ke liye. 

Yaadon ke motiyon ki..


Teri yaad aate hie, 
chhalak aaye aankhon se ashq 
to unne roke kaise.
yaadon ke motiyon ki 
tuti hai lari aansu banke 
isse sambhale kaise..
dard jo chhupe thay dil mein 
tadap ke aaye zubaan per 
unko labhon se bole kaise.
tumne to bandh kar diye 
dil ke darwaazay
per hum na bandh kar sake 
apne dil ki aankhein.

Saturday, November 19, 2011

Shayar ki shayri ho ya...


Shayar ki shayri ho ya ho 
ghazal kisi ke khayalon ki.
tum ho rachna kisi kavi ki ya
mere aankhon ka ho koi khuwaab. 
jo bi ho tum khuda ki kasam ho lajawaab.
nayan tere jaise madhira ke piyale. 
hoton tere  jaise gulaab ki pankhri wale.
kaali kaali zulf lehraati chehre pe
tere jaise latay kisi ke pyaar ki.
mere dil ko chura gayi 
teri yeh mohini si surat.
jo bi ho tum gori bas ho lajawab si.

Ek sukha sa gulaab...


Uff yeh kaise waqt ke pal aaye..
ya hai teri nazron ka faer.
jo hum thay kabhi tere dil ke taj. 
kal tak thay teri nazron mein chaand. 
aaj kisi kabr mein dafan 
hoke reh gaye ek sukha sa gulaab...

Friday, November 18, 2011

Lamho ki khata per..


Lamho ki khata per ah dost 
sadhiyon ki sazaa na dena.
Is dhadkan ka koi barosa nahi 
kab ruth jaye dil se.
Jeena yuhi bhari hai aur 
ranjeesh ko hawaa mat dena.
ke phir kabhi waqt hie 
na mile milne ke liye.

Masoom tamanaon ne ...


sapno mein tume sajate sajate 
khayalon mein hie tere kho jate.
tume yaad karte karte neendh ko
aankhon mein aane nahi dete..
Mere Dil mein jhank ke dekh to lo.
Kitni masoom tamanaon ne 
dum torr diya tere inthzaar mein.

DARD KE ALFAAZ...


LIKHTI (QALAM)TUM HO, 
(KAGAZ)MUJHE DARD SEHNA PADTA HAI.
PATA NAHI YEH ZAALIM TUMARA
DIL KYUN ITNA TADAPTA HAI.
BAS (KAGAZ)MUJH PE HIE ATIYACHAAR HOTA.
KYUN RUTH KE TUT JATI HO
JO LAL SIHAYI SE (KAGAZ)MUJHPE 
LIKH JATI HO DARD KE ALFAAZ.
JINKO DEKH KE (kagaz)MAIN BI 
ROTA HUN CHUP CHAAP.
MERE(kagaz) ASHQ NAHI CHALAKTE PER 
LAFAZ MIT JATE HAIN HALKE SE 
(kagaz)MERA HIE DARD DEKH KE.

Saturday, November 12, 2011

PYAAR SUKHE PATTE KI...

kagaz aur kitaab mein 
pyaar likhna aur padhna 
bahut accha lagta hai.. 
haqeeqat ke samne aate 
pyaar ko ek sukhe patte ki tarah 
hawaa se ladte dekha hai..
pyaar roohani lafaz hai. 
jiska na koi aakar hota hai. 
jisko mila wo lafaz usne 
us se apne aakar mein jod diya.
par pyaar bewafaa nahi hota, 
bewafaa wo shaks hain jo 
pyaar ka matlab na samjh paaye..

JANAM DIN KI.....

AAYE YEH DIN MUBARAK HAR SAAL.
HUM SAB MILKE DE TUJHE
JANAM DIN KI BADAAIYAAN HAR BAAR.
JAB SE TUM BANKE AAYI
GUDIYA HUM SAB KE PAAS..
TERI HAR MUSKURAT PE
QURBAAN JAYE SARA PARIVAAR.
HO TUM PARCHHAI TO MAA KI,
PER HO KHUSHIYAAN IS AAGAN KI.
JAB TAK RAHE ZAMEEN AASMAAN
SADA RAHE TERE AANCHAL
MEIN DEHRON KHUSHIYAAN.

ROOH NE KI MOHABBAT.....

ROOH NE KI MOHABBAT ROOH SE..
DONO MIL BAITHAY
KHUDA KE DHAR PE.
KHULE AASMAAN KE NICHAY.
DHARTI PE  HAIN KAHI PEHRAY
NAZRON KE
DILON PER.
NA ZAMANE KA DARR NA KOI
DUNIYA KA DASTOOR.
BAS MAUJUD HAI
DONO KE DARMIYAAN
EK KHUDA KA WAJUD.

Friday, November 11, 2011

Chalak ke palkon ko...

chalak ke palkon ko
bheego gaye,
teri yaad mein aansu
meri aankhon se.
jaise koi moti ki mala
tuti ho kisi ke gale se.
tha wo dard us ek ek
aansu mein teri judaai ka.
bas mere labh na bata sake
tumse kabhi apne dil ki baat.

DOST...

DOST HOTE DIL KE
BAHUT KAREEB.
WO JO BANA LE
HUMARI TASVEER.
ACCHI YA BHURI
APNE DIL MEIN.
BHULE NAHI WO
HUME KABHI.

DOST JAISE BI HAIN 
PER HAIN DOST TUMARE.
PALKON PE YA AB
DIL MEIN BITHAY 
MANZOOR HAI.

Thursday, November 10, 2011

SHARBATI NAZREIN....

AANKHON KO NAA ITNA 
SAJA KE NIKLA KARO.
FISAL JATI HAIN 
NAZREIN ASHIQON KI.
NAA KAALE KAJAL SE 
IN KO SANWARA KARO,
KE BIN PEEYE MADHOSH
HO JAYE DEKH NE WALE BI.
SHARBATI NAZREIN TERI 
KARTI HAI GHAYAL KITNE DIL.
TUJHE DEKHE BINA 
INKA BI GUJARTA NAHI DIN. 

Dil ki kitaab kori.

Kho gaye sare alfaaz.
ho gayi 
 kori dil ki kitaab.

sukh gaye ashq aankhon se.
jo kal tak thay chhalkte.
ghum gayi wo yaadein
jo thi humari dil ki dhadkan.
udh gayi rooh hawaa mein
bas mil gaye mitti mein hum.

Tuesday, November 8, 2011

Anjaane se kisi ke...

Kyun anjane se kisi ke
dil mein jaa baithte.
Wo chahe na chahe
usse apna bana liye.
Kyun bhool jate wo 
dil pe kisi ka jor nahi.
Laga ke pankh hawaaon ke
udan khatole mein jhule.
Palak japki ke sapna tuta,
anjaan to anjaan hei raha.
Apna to bas khayal tha
jo nazron ne khwab banaya.
Aankhein khuli aur bikhar gaya.
na wo apna raha na wo anjaan tha.
Ek bhram tha ashq banke
palkon se chalak gaya.

Monday, November 7, 2011

EHSAAS..


Kab hoga tumko ehsaas ke 
tumne kya khoya kya paaya 
Is duniya mein aake.
Kyun nikal chale tum kar ke 
Apni zindagi se dokha.
Kab tak yuhi duniya se, zindagi ke dhaav 
khelte rahoge.
Kabhi toh thak jaoge 
tab tum kya karoge.
Kya apne aapko zindagi ke 
Toofan se sambhal paoge.
Kya milega koi waqt ke 
Apni zindagi ko 
sametne ke liye.
Kahin aisa na ho ke 
bikhar jaye zindagi aur 
Saath apna na ho koi..

DIL KE GHAAV....


Dard se bhare hain 
mere dil ke ghaav.
Na chhed enko 
kahin aankhon se 
aansuon ka sailaab 
na nikal aaye.
Bade pyaar se sambhal ke 
rakha tha mehram vishwas ka.
Kahin tum dokha banke na 
ab inko tadpana.

Dil ke dard...

Mere dil ke dard ho
gaye hain purane.
Ek ek dhadkan mein
chhupe hain dard bhari saanse.
Aankhon se ab
ashq chhalkte nahi,
ho gayi hain surkh 
tumare intezaar mein.
Badi mudat se tadap rahe thay
tumko paane ke liye,
aur tum ab tak aaye nahi
humein thaam ne.
Ho rahi hai Rooh 
juda is jahan se,
bas reh jayegi kuch
nishan tere mere pyaar ke.
sambhal kar daal na
kaffan is mitti per
kahin mit na jaye
teri tasveer mere dil se.

Sunday, November 6, 2011

KAASH APNE AANE...

KAASH APNE AANE KI KHABAR DETE..
KADMON MEIN AAPKE PHOOL BICHHA DETE.
AGAR IS WAQT PHOOL NA MILTE TO
APNI PALKEN BICHHA DETE.
RAKHTE DIL KA DARWAAZA KHULA
TUME USMEIN BITHA DETE
..

Saturday, November 5, 2011

TERE NAA AANE...


Har roz aane wale, aaj kyun na aaye.
Pal pal tera intezaar kiya.
Koi toh tere na aane ki wajah batay.
Dil ki bechaini badti jaye.
Kis se puchay tera haal-e-dil.
Abh toh chup bi baithna hai mushqul.
Hume na tha pata ke tum 
Is tarah humse ruth jaoge.
Bin bataye hume uhi tadpaoge.
Jane kya khata hui ke tum durr ho gaye. 
Kam se kam bata ke to jate 
Saza kis baat ki di hai humein.
Jo tum majhboor hokar rah gaye durr humse.
Jao durr humse kitni durr ja sakte ho.
Pyaar humara sacha hai toh tum wapas aaoge,
Phir puchange tumse har pal ka hisaab,
Jo dard tumne diya humein is judaai mein.

Lafazon ke bazaar...

Bas ek tanhai thi har pal
mere(dimaag) saath.
bahut ghume uske sangh
hum lafazon ke bazaar.
alfaaz ko jod ke banai thi
dil ke liye shayri khaas.
mile nahi hum dono ke khayalat.
is chakkar mein gujar gayi raat.
ho gaya dil udaas..
ab sochu kabhi kabhi
tanhai bi kar deti sab ko be-haal.

baat karte nahi..

Aaj hum hain to
aap baat karte nahi..
kal aap baat
karna bi chahenge
per hum nahi honge
sun ne ke liye tabhi..
bas reh jayengi
wo baatein yaad
jo ki thi kabhi saath.
bas hoga ek afsos dil ke paas.
kho diya ek dost jo tha
kabhi in nazron ke aas paas.

Thursday, November 3, 2011

badle badle se lage..

Jab jab bi milay tum
badle badle se lage..
tumari bheegi palkein tumara
haal-e-dil bayaan kar gayi.
lakh chhupaye dard-e-dil,  
ab wo tumare chehre pe
nazar aane lage
yuhi tum humse
dheere dheere
durr jane lage.

Pyaar ka dard

Yeh mere pyaar ka dard hain,
is pe na koi mehram karo.
jis ne diya hai dard mujhe
zara us per reham karo.
wo lete hain pyaar
mein mere imtihaan.
wo na jane mera 
dil bi  hai unka,
jaan bi un per hai
meri qurbaan...

YEH DIL...

Yeh dil ke dard bi 
anokhe hote hai..
kabhi phoolon ki 
tarah komal
to kabhi ashqon ki 
tarah masoom se..
pagal fir bi 
dil hie hota hai.

Wednesday, November 2, 2011

kab se tarasti ....


Tujhe dekhne ko kab se tarasti thi meri nazrein. 
per tumne badal di apni raahain.
jab jab chhalke ashq meri aankhon se, 
tab tab bheegi teri palkein.
jab jab tadpa tha mera dil tere liye, 
per dard ki shikanje tere chehre pe nazar aane lagi.
na tha ganvara dekhna hume,
per hume to dekhne dete kuch pal tume.
kyun thi aisi berukhi hum na samajh paaye.
dard mere thay aur tadapte tum nazar aaye.

samundar ka aanchal se....

Naa wo raat aayi na tum aaye.
tere intezaar mein hum
kitni durr chale aaye.
akale akale se rehgaye
teri raah mein palkein bichhay.
na jane kab nindh aayi,
us se na dekhi gayi meri udaasi.
le chali teri yaadon ke
sagar mein mujhe ghumane.
reth ki aagosh mein mujhe sula diya
oudha ke samundar ka aanchal.

udaas...

Hai raat udaas ,hai chand udaas .
lage dono kaise adhure se aaj..
jal jal ke  main(shama)pigalti rahi,
dono mera haal jane na.
meri baat maane na.
dono ka mujhse aisa nata hai.
jaise sone pe suhaga hai.
a raat tu maane ya na maane
tere bina yeh chand
lagta phika aur adhura sa hai.

Tuesday, November 1, 2011

Bhuj gayi shama ..

Likhe jo alfaz,
aansuon se mit gaye.
bhuj gayi shama jo
khushiyon se jalayi.
abi hua tha roshan
pyaar ka chiraag.
ke dhadkane dil ki
jawab de gayi.

Udh ja re a dil

udh ja re a dil
pankh laga ke.
yahan kaun hai tera
jo tu baitha dera daale.
jin ko kehte ho apne apne,
yeh to sab hain,
khuli aankhon ke sapne.
palkein hui bandh,
dhadkane hui num,
saanse gayi tham.
bas hoga sabko
kuch pal ka gham.
jeevan to bas
ek baati hai.
rooh udh jati hai
hawaa ke sangh.
naa kar tu koi gham.
chal udh chal 
a dil tu mere sangh.