Thursday, August 30, 2012

Kya zamana aa gaya..


Kya zamana aa gaya ..
Khoon ke rishton mein bi
Paani ka katra chhaa gaya..
Waqt ne badle kai rang aur pehlu.
Jab lahoo se jude rishtey bi
Hote jaa rahe hain
Apno ki nazron se door..
Phir dosti ka kya kasoor..
Wo bi rehti hai bas daulat ke sangh
Pehn ke guroor ka mukut..
So nothing is pure,
Nothing is true..
There is no value for  
Love and emotions..
Now adays no relation
No friendship is true..
Its just an illusion of ur eyes..
Which always fools you..

Wednesday, August 29, 2012

Alfaaz ki meethas se..



Alfaaz ki meethas se dosti ke rishtey banate hain..
Itne pyare dost ban jate hain dil se ke
Vishwas kar ke unhe apna samajhte hain..
Phir alfaaz se bande rishtey ki dor kyun ho jati hai 
itni kamzor ke chand dard se bhare alfazon se 
toot jati hai yeh dosti itni aasani se..

Yunhi nahi woh kisi se..




Yunhi nahi woh kisi se kisi ko milata..
Hoti hai koi wajah tabi to 
Woh apni chaal se mulaqat hai karata..
Tere mere bas ki koi baat nahi..
Yeh toh sab uska khel hai..
Jo adhure rishtey aur
Adhure bandhan ka milap kara ke 
Har baar fursat mein apne ganit ke 
hissab ko baith ke sudharta rehta hai..


Agar dil mein thi koi baat...

Agar dil mein thi koi baat toh bata dete..
Yun tum humse hoke dur tanha toh na rehte..
Thi meri koi khata to dete koi aur saza 
Per tum na jaate humse dur jara..
Palkon se ashq baras rahe hain aur 
Hoton pe dard tadap rahe hain.
Akele akele se ab reh gaye tere bin 
Ab tanhaiyon mein bi aankhen 
Dhundti hai tumhe hardum..

Monday, August 27, 2012

Khuli si reh gayi meri haatheliyaan



Ya rabba..manga hai use, har dua mein tumse.. 
Aaj tum bi ro pade mere dard-e-haal pe.. 
Yeh barsaat ki boondein hai ya tere aansuon ka sailaab.. 
Thaamna bi chahoon inne toh fissal jate hain kisi tarah.. 
Lakeerein toh hai per meri kismat mein ab woh kahan..
Dekho aaj khuli si reh gayi meri hatheliyaan..  


Aaj mausam hai aashiqana...

Aaj mausam hai aashiqana...
Aye dil keh de unse bhool ke sare gile shikve
Humse milne  chale aana..
Yeh lehron ki maujay, 
yeh thandi hawaaon ka madhosh sama..
 jaise taras rahe hain mere saath unke deedar ke liye..
aye dil kahin se unko tum dhund lana..






Sunday, August 26, 2012

Wo shaks...


Wo shaks kabhi mila hi nahi ..
Usi ko apne khayalon mein sochti hoon..
Nazron se kabhi takraya hi nahi 
Main ussi ke khwab bhunti hoon..
Jo dil pe mere likh gaya naam apna 
Wo chehra main har chehre mein dhundti hoon.. 

Saturday, August 25, 2012

Kabhi toh Tanhaiyon Mein..


Kabhi toh Tanhaiyon Mein hamari yaad aayegi.
Akele hoge jo tum aankhon se bharsegi dard ki barsaat.
Chhalkenge jo chehre pe moti ban ke ashq,
Khud b khud zubaan tumhari hoton pe mera naam layegi..
Aansuon ko pee rahe ho chhupke se tum per palkein bheeg jayengi..
Kabhi toh tanhaiyon mein meri yaad  tumhe tadpayegi..
kabhi toh Tanhaiyon Mein hamari yaad aayegi.

Friday, August 24, 2012

khwab bi tere...


khwab bi tere khayal bi tere
chura jate hain aankhon se neendh meri..
teri yaadon ke ganhe badalon se
gujarti hai ab raatein meri.. 

Thursday, August 23, 2012

Mere mehboob kal tak...



Mere mehboob kal tak jee rahe they hum
Teri mohabbat ka dum bharte hue..
Aaj teri chahat ke intezaar mein 
Jab dekha tum ko kisi aur ki chhaon mein..
Mit gaya tera suroor khaak mein.. 
Teri bewafai se aaj hum jal ke ho gaye raakh mein..


Dur hi karna si manu use..


Ya rabba dur hi karna si manu, use to milaya kyun..
Akhan vich mere uske liye pyaar jata kyun..
Meri neend ud gayi raatan di,
Ab uske bina din vich bi sanu chain nahi milda ..
Mehboob da didar karna vaaste dil tadapta jaye..
Per tu to meri mohabbat ka dard nahi dikhta..

Sanson aur dhadkan ke..



Tujhe yaadon mein samait ke rakha hai dil mein..
Sanson aur dhadkan ke sur taal se.. 
Badi shiddat se chaha hai tujhe kab se.
Tum koi sapna nahi, naa koi khwab 
Mere palkon mein chhupe hue,
Jo aankhon ke khulene ke baad 
udh jaoge dur mujhse....



Wednesday, August 22, 2012

Taras gayi nazre...


Kabhi toh humein dilse yaad karle..
Kabhi toh humein dilse pukar le..
Taras gayi nazre tere deedar ko..
Taras gaye ab hum toh 
teri awaaz sun ne ko..
Mere saath saath tanha aur 
veeraan si hai who raahein..
Jahan khade pedh bi mere saath 
tere intezaar mein palkein bichhaye..




Tuesday, August 21, 2012

Ab khali sa pinjra..



Ab khali sa pinjra hun main.. 
Yahan surkh aankhon mein 
Ab na udaasi rehti hai aur 
Na dil mein dard hai daudta..
Jaa kahin aur apni mohabbat talash kar 
Ah dil tere qabil ab main nahi rahi..


Khuda se zikr...


Aaj apni duaa mein 
Mujhe yaad kar de..
Khuda se mera zikr karde..
lagta hai bhool gaya tha woh 
naam mera jodna teri lakeeron mein..
  Shayad teri ibaadat se  woh mujhe 
teri kismat mein leekh de..

Monday, August 20, 2012

Kyun ho liya re eh dil..


Kyun ho liya re eh dil tu mann ka..
Jab jab hua dard se tu ghayal,
Tere liye kitna roya main tha..
Tadpa hun main bi har baar, 
Tere pyaar mein ban ke pagal..
Batla na saka tujhe main apna pyaar bas
Dard se chhalka gaye aansu palkon se bahar...

Alfazon ke teer chala...



Kab tak tum yuhi 
Alfazon ke teer chala kar 
Karoge mujhe yun ghayal..
Mana bol nahi sakti 
Bas tadap kar 
Reh jati hun main har pal.
Tumhe kyun nahi hota hai 
Ehsaas mere dard ka..
Tut ke bikhar toh chuki hun main kab ki 
Ab kyun paas aake rula rahe ho baar baar..

Thursday, August 16, 2012

Yeh dard..



Gehre hain per mere hain...yeh dard..
Naa jane kaise thay wo lamhe
Jo hue dur unse hum..
Kabhi mujhe dete thay muskaan..
Aaj de gaye hai aankhon mein ashq..
Rota to dil hai bichhar ke unse.. 
 Bheegti hai palkein aaj bi
Unne yaad kar ke har pal..
Akele se reh gaye aaj tere bin hum..



Tut ke bikhar ne lage..



Tut ke bikhar ne lage,
Wo rishte jo kabhi apne se hue..
Galat fahmiyon se faasle badte gaye..
Ab naa wo rishte rahe naa woh paas mere...
Bas unne yaad karte karte 
Dil-e-dard ke zakhm gehre hote gaye..

Tuesday, August 14, 2012

Ab yeh zubaan ke rishte..



Jhute se lag ne lage ab yeh zubaan ke rishte..
Naa hai koi mol ab inke aagay pichhe..
Jude thay rishte jab meethay se thay tab,
Ab na jane kyun ho gaye rishte khatte se..
Ho gayi hain duriyaan itni ke woh
Nazron se nazrein chura ne lage..
Ab dhire dhire woh bin bataye chhup ne lage.. 
Jeen ke liye kal tak thay hum apne se
Ab naa jaane kyun hogaye hain hum unke liye paraye se.

Sunday, August 12, 2012

Naa karo baatein aisi jo...




Naa karo baatein aisi jo nafrat ubhar aaye..
Bandh karo ab yeh apna nazariya
Hindu muslim aur yeh jaat paat ka..
Kya mila aaj tak yeh aag laga kar..
Barbad ho gaye insaan,
Insaan ka lahoo bha kar..
Padh leekh ke bi aisi baatein karte ho..
Anpadh aur gawar si soch rakhte ho..
Kitna sitam dhaaoge dharti maa per.
Kyun  ujharte ho suhaagan ke suhaag,
Kyun karte ho maasum bachon ko anaath.
Kya hassil hua aaj tak yeh nafrat ki aag laga ke
Jo aaj bi jala baithe ho 
dil mein behd baav ki chitta 
kisi lalach mein aa kar.
Mil jati nafrat ki maut saste mein..
Us maa se puchho kitna dard hua usse
Ek zindagi ko janam dene mein..
Jaago insaan ki jaat ho tum sab
Kyun janwaar si karte ho harqat..
Bandh karo yeh khel barbadi ka..
Jiske saath ladai kar rahe ho
Wo bi hai tumhari tarah lal kisi mai ka..

Tuesday, August 7, 2012

Wo suhana sa samha..



Wo suhana sa samha 
Wo madhur milan ki raat.. 
Jal rahi thi koi shama 
Jaise samunder mein lagi thi aag..
Udd ke chandi se badan pe suraj ka libaas.. 
Wo naach rahi thi jaise lagay ho 
Hawa ke pankh aaj uske haath..
Thi tadap uske sur mein,
Tha dard uske seene mein..
Tuta tha uska dil 
Sab kuch lootne ke baad..



Monday, August 6, 2012

kaash tum samajh paate..


kaash tum samajh paate in aankhon ko
to kabhi nazrein na faerte...
in mein uthe dard ko sailaab naa ban ne dete.
aaj tum chal diye yun mujhe chhor ke akela
kabhi hum thay tere liye khuwabon ki apsara....

kagaz pe likha..




kagaz pe likha mera dard koi na samajh sakha...
jisne bi dekha, wo bas apna dard us per leekh gaya..
mera zakhm kya kam tha dard se bhara 
jo mere naam per har koi apna dard bi bayaan kar gaya....

shabnam ki boond si..


Main toh shabnam ki boond si hoon..
Jo aankhon se chalak ke palkon ko karti  hoon num..
 jab labon pe thar tharate hai alfaaz dard se aur sisakta hai dil
Tab tadap ke beh jate hain chehre pe hum aansuo ke sailaab .

Friday, August 3, 2012

Chupke se kar lete jo..



Chupke se kar lete jo ek nazar deedar tere 
Aankhon se chhupa ke, nazron se chura lete.. 
Chhupa lete tumhe palkon mein apne.. 
Eh jaan-e-jigar dekh lete jo tum mujhe ek nazar 
Bitha dun tumhe humesha ke liye dil ke mandir mein ... 
Gayal jo hum hue jab teri nazron ke teer chale.. 
Naa jaane aaj tak kitne dil tute honge 
Teri mohabbat mein aahein barte barte..

Ek dil aur alfaz kai..




Ek dil aur alfaz kai..
Sochay toh sochay kis
Naam se tumhe koi..
Lafaz banke labon pe muskurate ho..
Khayalon se dil mein utter jate ho..
Kabhi pyaar banke
Aankhon mein chale aate ho..
Kabhi dard banke aansuon se
Palkein beego jate ho..
Per har andaz mein tum 
mujhe apni mohabbat nazar aate ho..



Wednesday, August 1, 2012

Paas hoke bi...



Paas hoke bi tere kitni duri si hai 
Aaj zindagi fir lagti adhuri si hai.. 
Wo shaam haseen thi.. 
Jab hum thay saath saath tere dil ke kareeb..
Ab yeh shaam bi ajeeb si hai..
Yaad dila ke uss pal ki rulati jaroor hai.. 
Chalakte hain ashq toh aaj bi in aankhon se 
palkon mein dard ki nami si aaj bi hai.. 
Ek wo shaam haseen thi aur ek yeh shaam ajeeb si hai..