Saturday, April 30, 2016

Kitaab Ke Panno Mein..

Kitaab ke panno mein chhupa tha alfaaz..mohabbat
Padhte padhte, naa jane kab phans gaye is lafaz ke jaal mein.
Badal gaya andaz sochne aur dekhne ka zindagi ko.
Badle hum jaise badle mausum apne andaz..
Dooriyan kum hui jab nazrein chaar hui.
Khud se dur hue jab se unke kareeb hue..
Jaise waqt ne doh kitaab ke panne thay khole.
Zindagi thi alfazon ki mithas mein dhubi hui,
Jab tak kisi ne kitaab naa bandh ki thi..

Wednesday, April 27, 2016

BHEED...(Crowd)

Jahan dekho wahan hai, bheed subah aur shaam..
Mod koi bhi ho ya ho koi gali
Aati hai, jati hai bheed kahin na kahin..
Anjaane se chehre nazar aate hai
Pehchane se kabhi kabhi..
Yeh hai kaisi bheed jis mein 
Hai itna shor kahin koi jaa raha,
Kahin koi aa raha.. 
Kuch chehre khud se 
Ulhje hue toh kuch apno mein 
Chalte chalte gulte hue..
Yeh kaisi chehal pehal hai waqt ki jo 
Har taraf dekho toh nazar aati hai bheed..
Chalte chalte, nahi hai kisika kisi se koi male
Phir bhi milti hain nazrein, nazron se bheed mein..
Jaa rahe ho ya aa rahe hai par kuch lamhon ke liye 
Khud kho jaate hai is bheed mein..
Is bheed mein kitne tanha 
Nazar aate hai sab apne aap se,
Bas hoti hai koi wajah 
Jo milte hai bheed mein hum aap se..
Naa jane kaisi hai yeh waqt ki gari 
Jo bas tick tick kar ke 
Bheed mein hai sab ko bhagati..











Tuesday, April 26, 2016

Yeh Jeevan Hai...

Yeh jeevan hai..
Kuch saanson ki
Dor se bandi dardkano ka..
Naache hai insaan katputli sa..
Mann pe naa chale jor dil ka..
Lalaach ne lalchaya,
Majboori ne nachaya..
Waqt ne bas dur baith ke
Apna farz nibaya..
Har baar insaan gari
Dekh ke apna kariya karta..
Karni aur karm ko woh
Naa jane na pehchane jab tak
Kisi jaal mein naa phans jaye..
Phir toh pheer,pandit mandir,
Masjid aur girjaghar hai jata..
Take take ke maatha apna 
Apni karni ki maafi mangta..
Naa jane zindagi ne 
Kaisi khuwaishen kar li hai jo
Khud ko har roz daav pe lagata.
Naa saanso ka barosa hai, 
Naa hie dardkan ka 
Pata nahi kab daga de jaye dono.. 
Zindagi laayi thi jeevan dekar,
Maut le jayegi jeevan chura kar..

Friday, April 15, 2016

Dharti Tadapti Hai Dard Se..

Kahin pe jaljala toh kahin pe hai sukha,
Kahin pe hil jati hai zameen toh,
Kahin pe garaz te hain badal..
Aaj bi dharti tadapti hai dard se,
Kyun taar taar hai uska aanchal..
Kahin pe bhoond bhoond ko tarse
Toh kahin pe aag se hai jalti…
Yeh kaisi pariksha hai jo,
Dharti ke aanchal pe
Aisse dard ki olhay hai girte..
Thaame hai apne aanchal mein
Vishal gagan ko,
Phir kyun tadpe hai
Woh aasman ko chhune ko..
Yeh kaisa hai teen lok,
Darti ke ek haath mein
Aakaash toh ek mein paataal..
Dard se karati, kis ko de dosh..

Saturday, April 9, 2016

Yeh Jeevan Hai Anmol..

Eh zindagi,
Yeh jeevan hai anmol ke nahi,
Uss maa se jaa ke puchh..
Jisne kiye tere liye dard
Aur dukhon ka saamna..
Teri har karvat pe woh
Dheeme se muskurati,
Teri har dard ko woh sehlati..
Kitni raaton ko jaagi,
Kabhi nahi tujhe woh jatati,
Teri har aawaz pe woh
Dauri chali aati..
Uski dhadkan ka tha
Tere dil se aisa naata,
Jo tum roye, toh woh tadap jati..
Aisi maa ki fikar naa kar ke
Chaar din ke rishte mein,
Tum kya ulhje apni jaan hie de daali..
Yeh kaisi mohabbat hai
Jo aik pal bi tujhe,
Uss maa ki yaad naa aayi..
Aaj bheega hai aanchal uska aansun se,
Rohti hai aankhen uski..
 kya is din ke liye
Aayi thi eh zindagi, tum banke uski..


Saturday, April 2, 2016

Dil ka Darpan ho,

Dil ka darpan ho, ya ho deewar pe,
Nazar aata hai chehra 
Dono mein alag sa..
Do chehre har insaan ke
Jab tak aankhen na jatay sab fareb..
Kaisa hai yeh darpan, 
Jo insaan munh pe meetha,
Peeth pichhe khatas liye phirta..
Mann ki chanchalta aisi 
Jhoot ko bi batay sach..
Kaisa hai yeh fark darpan ka..
Kyun pehn ke insaan chehra,
Nache katputli sa yahan wahan..
Aisi kaunsi hai wajah, 
jo samjhe na dusre ke dard ko..
Kyun nahi dil ke darpan ko dekhte 
Jo deewar pe lage 
Darpan mein bi wohi nazar aate..