Wednesday, June 11, 2014

Sona kitna sona hai....


Sona kitna sona hai 
Gareeb ki kalai se nikal ke 
Ameer ki tijoriyon mein 
Bandh hoke rehta hai..
Kal tak sajjta tha gehna 
Banke nar aur nari pe,
Ab toh mehnga sa dattu hai..
Keemat teri badh gayi 
Amuliya sa tu hogaya..
Aam insaan ki hadd se 
Bahar ho gaya..
Par ab mushkil hai 
Roz ke shingar mein tere hona..
Mehngayi ki maar ne 
Kar diya pareshaan har haal se..
Ab nahi sajjti koi nari sone ke singhar se..
Suraj ki chamak teri 
Chaundiya gayi looteron ki nazron ko
Naa mumkin hai ab 
Tujhe apne ang pe sajjana.. 
Kya re sona teri kismat 
Ab teri jarurat hai bas shubh din par..
Sab dattuon mein anmol tha 
Par ab amuliya sa ban gaya..
Shingar se uttar kar bade taale wale 
Sandhukon mein bandh ho gaya..
Ab toh bas jarurat pe hie tujhe 
Istmaal ya kharch kiya jata hai.