Saturday, September 20, 2014

Eh Zindagi..



Naa jane kyun uth gaya 
Aitbaar tujhse, eh zindagi.. 
Meri taqdeer ki naav mein 
Kyun hai udaas si khadi..
Kuch pal ke liye dard ne 
Aanchal odha tha khushiyon ka, 
Palkon ke shaanv mein 
Aaj bi hai chhupi ashqon ki ladi..
Ab gehre hain itne darr ke saaye ke 
Chura na le jaye koi mere jeenay ki kadi..
Soch ke samunder se 
Khayalon ke mehalon mein 
Dhoondti hoon aaj bi 
Teri haisiyat, eh zindagi..



Monday, September 8, 2014

Zindagi Jaise Koi Kahani Kitaab Ki..


Zindagi, jaise kitaab ke panno pe likhi koi kahani,
Har kahani ke thay morh..
Har us morh pe aake rukh jati thi kadmon ki aahat..
Soch mein dhoob jati hai jeevan ki naiya,
Kis chhor pe aake bichhar jata hai koi apna sa..
Anmol hai zindagi ka pal pal,
Jab tak na lage koi thokkar..
Aankhon ka rishta dil se juda,
Dard mein ashq palkon ko
Bhigokar chhalak pada..
Umar bheet gayi panno ko palatte palatte
Naa jane kab dhundla gayi nazrein zindagi ko padte..
Ab daud zindagi ki ho gayi hai dimi si,
Chaal bi lar khara jati hai khalyon ki
Yaadon ke aaine ke aage..
Kabhi khushi se kudte toh
Kabhi udaasi mein dhoobte..
Pata na chala kitni dur nikal aaye
Zindagi ke anmol khazane ko sambhalte..
Kahan se kahan aa gaye
Akele thay aur akele hie reh gaye,
Ab toh panne, kitaab ke bi phat ne lage.
Kuch kuch alfaaz bi mit ne lage..
Lagne lagi kitaab purani si,
Zindagi ke safar mein
Bachpan se lekar khushal jawani thi,
Sapno ke rang se rangi zindgani thi..
Kuch boonde shabnam ki
Toh kuch boonde bharish ki thi..
Mere aagan mein toh
Khushiyaan mehmaan si thi..
Sar pe chandi si chamakne lagi
Chehre pe juriya khichne lagi..
Lakh karu jatan ab woh surat naa rahi..
Zindagi ke safar ki kahani
Kahan se shuru hui,
Kahan jake thhar si gayi..
Kitab ke paano ki beech aaj bi hain
Kuch panno ke kone muray hue..
Na jane kyun hai adhure se
Khuwaab in se aaj jude hue..
Kitaab ki kahani,
Lafzon ne aankhon se bayaan kar di..
Zindagi jaise kitaab ki kahani si ban gayi..


Sunday, September 7, 2014

Mitti ke thay....



Mitti ke thay aur mitti mein mil gaye...
Shraddha aur aastha ke chakravyhu mein phans gaye..
Insaan ke haathon se kahan se kahan aa gaye..
Kaisi hai yeh maya mandiron se nikal kar
Gharon mein mehmaan ban ke aaya..
Shraddha aur aastha insaan ki
Dekh kar mitti mein ja samaya..
Bin bin roop aur rang se
Mitti ke putle mein sajaya..
Aisi karigari insaan ne ki, unginit
Aankhon mein khoobsurat nazar aaya..
Le kar mahusay ki savari gar gar ghum aaya..
Kuch din tak mann mauji banke 
Kai tarah ke swaad chakhaye..
Har ek ke pyaar se mera mann bhar aaya..
Kisi ne do din toh kisi ne 
Paanch din tak mujhe manaya..
Chalo aaj aaya din, 
Band baaje ke saath mujhe, 
Ganpati bappa moriya,
 purcha varshi laukar ya, 
Ga ga ke apne gar se ravana kiya..
Eh insaan teri aastha dekh ke 
Mujhe bi aaschariya hua..
Kahan se laye aur kahan chhod aaye..
Kuch din mein, insaan ki shraddha 
Aur aastha ke dekhe roop anek se..
Insaan apne haathon se
Mujhe paani mein visarjan kar aaye..
Kal tak tha gar gar mein saja, aaj zameen pe 
Bhe-jaan sa main hoon pada..
Mitti ke thay aur mitti mein aa baithe..