Monday, June 24, 2013

Jab ishq aankhon mein samaye

Jab ishq aankhon mein samaye
 Aur Zuban shayri sunaye,
 Tab pyaar ka Rang hawaon mein  
Mohabbat ke geet gun gunaye..

Naya naya sa pyaar hai 
Mehboob ke bina jeena dushvaar hai..
Bas ab khayalon mein uska hie ikhtiyaar hai..

Fursat hie nahi milti jo sapno se jaagay 
Dhundte rehte hain mulakaat ke raaste..

Kaisa yeh ishq hai, labon pe chhupa mushq hai 
Par nazron se rehte hain chori se sharmaye...haaye haaye. 


Monday, June 17, 2013

Khile thay ek shaak pe kaliyon ki tarah...

Khile thay ek shaak pe kaliyon ki tarah...
Khile phoolon ki tarah toh bikhar gaye..
Koi dori mein band gaya toh 
Koi dpaas hoke bi durr nazar aaya..
Ab naa woh khushboo hai naa woh meethas 
Bas surat aur rang se hai har ek ki pehchaan
Kaisa hai yeh ajeeb sa nata..
 Afsos..pedh pe saath nahi rehta koi phool humesha..

Sunday, June 16, 2013

Karvaten badalte rehte hain din aur raat

Karvaten badalte rehte hain din aur raat..
Rehta tha roz aaj ko kal ka intezaar..
Badi pareshaan si rehti thi mausam ke haath..
Kabhi milne aati thi khushi toh 
Kabhi aati thi gham ki aandhi toofan ke saath..
Bas kabhi mil na paya kal aaj ke saath..

Saturday, June 15, 2013

Waqt ki masti mein...

Waqt ki masti mein
Zindagi kharch ho gayi...
Jab aankh hui bandh toh
Apno ki aankhen nam ho gayi..
Chale thay kal tak jin ke saath saath kuch kadam,
Aaj unke kande pe arthi jaa rahi..
Eh..zindagi tum toh kitni masoom thi..
Waqt ki masti mein yunhi karch ho gayi...

Friday, June 14, 2013

Chura ke nazar tum kab se...

Chura ke nazar tum kab se 
Mere deedar kiye jaa rahe ho...                
Kis baat pe tum itna sharma ke 
Akele akele muskura rahe ho..
Yun bandh kar ke aankhon ko palkon se 
Humein kab se tum chhere jaa rahe ho..

Friday, June 7, 2013

Lagakar aatma hatya ka phanda..

Kitne kamzor hai yeh aaj ke bachche..
Bade hain yeh akal se kache..
Naa hai mann par khud ke kaboo..
Naa hai hosla mushkilon se ladne ka..
Kitne hai yeh andhar se 
Dard ke daal daal mein phanse..
Jab sabke saath hote hue bi 
Hain dilse yeh akele se.. 
Haar jate hain apne 
Khade kiye sawalon se..
Kar dete hain annt, 
Maa baap ke armaano ka
Lagakar aatma hatya ka phanda..

Thursday, June 6, 2013

Zindagi ki kitaab khol rakhi..

Zindagi ki kitaab khol rakhi.. 
Par main unpadh naa padh sakha iski a b c d..
Har pal tha ik aaina aankhon ke samne 
Par main badnaseeb na dekh saka us mein rabbji.. 
Karta raha jane anjane itni galtiyaan ke
Dhundli si ho gayi nazar meri..
Auron ki khamiyaan ginte ginte 
Khud unginit galtiyaan kar baitha..
Kho baitha hoon anmol pal
Ab kaise hoga bhugtan waqt ka..
Maafi mil toh jayegi maut ke roop mein 
Par shayad yeh zindagi phir kabhi 
Na mil payegi rabb ji se milne ke liye..

Monday, June 3, 2013

Uffff...yeh adda teri...

Ufff... Yeh adda teri aankhon ki
Chhupaye hain  kai raaz  
Aur yun tera muskurana 
Kahin behosh na ho jaye hum yahan..

Sunday, June 2, 2013

Dekhe hain insaan ke ajeeb rang..

Dekhe hain insaan ke ajeeb rang..
Kaisi hai yeh apno se nafrat ki jung..
Apno se hie hai aaj kitne tang..
Zubaan ke rishtay ke aage 
Jhoote hogaye lahoo ke rang.. 
Rishtay hain naam ke,
Dil ke aage apne khoon se,
Na jane woh kyun hai bhaagte..
Tute na tute saanso ki dor par 
Chhut gaye hain haath jaroor..
Pyaara tha bachpan jaise jude thay 
Haath se ungaliyon ke sangh..
Ab uthe hai haath apno pe karne ko vaar..
Afsos.. Lagta hai gale ka phanda
Yeh janam ke rishton ka bandan.. 
Gehron ke saaye mein 
Bhool gaye apne lahoo ke dhaar...