Monday, May 6, 2019

Shabad Ruthe hai ya...


Roz Roz hawaon ki lehron mein,
Dhunde Mann uski aahatay.. 
Woh jo kal tha khushiyaan meri,
Aaj bhi aankhon ko uska inthezaar hai.
Naa yeh dil maane, naa yeh Mann
Ke itni jaldi kaise chala gaya 
Noor-e-jigar meri zindagi se dur.
Aankhon se chhalakte aansu uski yaad mein 
Keh jate hain,abh woh nahi laut ke aanewala, 
Jiska tum karti ho khayal..
Iss Jahan se jane wale 
Kabhi laut ke nahi aate, 
Aate bhi honge toh woh apne nahi kehlate..


Khuli hai Palkien phir bi...


Khuli hai palkien phir bi khoye se hai dilse kahin.
utha sa hai koi Toofan Mann mein abhi,
khayalon ke jaal mein ulhjati jaa rahi hai meri soch.
Tum dil mein ho per nazron ke saamne nahi.
Aankhon ke Kinaron se Baras rahi hai neer ki Dhara,
khuli aankhonse dhund rahi hoon aaj bi chehra tumhara.

Sunday, June 25, 2017

Kuch Pal Baithun...

Kuch pal baithun
aankhen Mund ke,
eh Zindagi sochu tum kya ho..
Mitti sa Sharir tera, 
pedon ki zaron si nabz.
Badalon ki awaz si
dhak dhak dil ki,
Saanse Hai hawaon si..
Phir bi sochu kuch bhi toh tera nahi...
Eh Zindagi.. yeh jo saaye Hai Maya ke,
Phir kyun bandhe tumne 
moti in moh ke daagon mein.. 
Tera toh kuch Nahi, 
phir kyun phans gayi 
lalach aur Maya ke jaal mein.. 
Loot lenge teri khushiyaan,
bhar denge aankhen aansuon se..
Yeh jo Dikhte Hai masoom se phool 
in mein Hai kante chhupe hue..
Mitti ke andher bhi hote Hai chhupe pather
JAB chothh lage toh hota Hai dard ka asar..
Eh Zindagi phir bhi sochu kuch apna nahi, 
kyun baithi hun main 
aankhen Mund Kar kis soch mein..
sare Hai khel Mann aur aankhon ke
jo hai uljhate dil aur 
dimaag ko apni chaalon se.. 
Aankhen khuli toh ehsaas Hua 
yeh toh Hai jaal Maya ke... 
Jin mein bandh hoke rehgaye 
sab karmon ke chakker mein.. 

Thursday, May 4, 2017

Jism mit Gaya rooh fana ho gayi..

Jism raakh ho gaya, 
Rooh fana ho gayi.. 
Eh zindagi tum kahan se aayi, 
kahan chali gayi.. 
 Tujhse juda har rishta
Kachche daage ki tarah tut gaya,
Tere naam-o-nishan bas yaadein 
Banke tasveeron mein reh gaye.. 
 Sab ke chehre pe muskaan 
Aur khushiyaan dene wale, 
Aaj bhi tujhe yaad 
Karte hai har pal pal mein.. 
Ab bhar aati hai aankhen 
Aansuon se tujhe yaad karke..
Kaash tum laut ke aate hum sab ke liye..
Vhiyast hai tere dost apne roz ke kaam se, 
Par aata hai woh pal shaam ka 
Jab mehsus karte Hai, 
tera naa hona unke beech.
Hum sab ne kho diya tujhe, 
apne apne rishte se,
Kaash tum aaj bhi hote beech humare..
Pal pal hai dil rota mera,
Suhna ho gaya hai tere bin, 
Meri khushiyon ka gharonda..
Yaadien hai teri ab dil ke jarokhe mein,
Kaise samjahein is dil ko 
Ke ab tum is duniya mein nahi rahe..

Sunday, March 26, 2017

Zindagi ka safar...

Nav mehno ka safar, 
Minto mein tut gaya. 
Tere bachpan se teri jawani ka safar 
Kai rishton se tumhe dur le gaya.. 
Mujhse mile bhi tum toh 
Bas kuch lamhon ke liye... 
Roz ke bhagdaud mein 
Naa jane tum kab bade ho gaye.. 
Yaad aati hai teri har pal bas 
Aankhen roh deti hai palkon ko bheegokar.. 
Sab rishton se pyara tha tera mera rishta, 
Duniya se pehchaan banane ke liye, 
Tum mujhse durr jane lage..
Dil(relatives) bole tere bete 
Abh daari muhchh wale ho gaye,
Jaldi se iski shaadi kara de..
Mann hie mann main muskurati 
Jab tum mere se lambe nazar aane lage..
Tum toh thay farishte us khuda ke 
Mere aangan mein aake khilay..
Ruthe hote toh bhela kar mana leti tujhe,
Tum toh itne durr gaye mujhse 
Ke laut aane ke rastay hie nahi hai tere..
Kis kis se chhupaun apne dard, 
Ke apna hie chhod gaya apno ko baigana kar ke..
Abh dil rota hai tujhe yaad kar ke,
Kya yaad aati hai humari kabhi tujhe 
Ke bhool gaya humein jake daam prabhu ke..


Sunday, January 8, 2017

SAPNE...

Sapne.... 
Mere sapne tere sapne, 
Kaise hai yeh apne apne..
Khuli aankhon se, 
Bandh aankho mein aate.
Anjaan duniya mein ghumate..
Kabhi kuch jane,
Kabhi kuch anjaane se 
Chehre hai nazar aate..
Naa jane yeh kaisi duniya hai jo 
Bandh aankon ke sapne 
Ulhja jaate hai adhuri si baaton mein.. 
Kabhi rula jate hai toh 
Kabhi darra jate yeh sapne
Kuch adhuri kahaniyaan jo 
Aankh khulte hie dundla jati hai.
Kuch adhuri baatein jo 
Jaagte jaagte dimaag mein ruk jati hai..
Ulhji si nazar khuli aankhon se 
Jodti hai bheete hue bandh aankhon ke sapne..
Kaise hai yeh sapne jo 
Needh mein hie aate hai satane..
Bheete hue kal se aane wale kal ki 
Adhuri zindagi ki kahaniyaan dikhane...

Wednesday, January 4, 2017

Saathi Is Jeevan Ki Rail Ka...

Ooh re manna kyun ho tum itne udaas,
Koi nahi hota humesha saath..
Jeevan ke safar mein 
Milte hai aisse log hazaar 
Par koi nahi chalta saath. 
Mann ko behlana kuch lamhe unke beech,
Yeh nahi hai tere koi aziz..
Badal jate mausam, 
Yeh badle toh kyun hai tumko gham..
Matlab ke yeh dost, matlab ke yeh rishte 
Milte hai jeevan ke safar mein..
Naa rahe udaas safar mein 
Nahi humesha hota hai har koi saath..
Safar hai zindagi ka jeevan ki rail se, 
Kai aaye kai gaye, 
Naa jane kya kya saugat de aur lekar gaye.. 
Bas kabhi kuch ashq chhalak gaye aur 
Kabhi chhoti si muskaan chehre pe 
Khil gayi yaad aate hie unn palon ki.. 
Koi nahi tera ya mera, 
Har koi hai bas 
Saathi is jeevan ki rail ka...