Sunday, June 26, 2016

Aankhen Takti Hain Raah Teri...

Aankhen takti hain raah teri,
Kabhi toh aayegi tum ko yaad meri..
Udaas hai aankhen toh rota hai dil 
Kyun nahi aata tumko khayal mera ek pal..
Bhool gaye raaste is manzil ke
Ya mil gayi nayi raahein.. 
Roz roz yahan aake ruk jate hai mere kadam 
Udaas mann se phir laut jate hai hum..
Sochti hun woh kaunsi wela thi 
Jo humse dur chale thay tum..
Ab toh nazrein taras gayi tere deedar ko,
Bhule se hie mil jao in nazron se tum. 

Friday, June 24, 2016

Mausam Aate Jate Hai..

Mausam aate jate hai,
Har baar kuch naya samjha ne..
Aati hai baharen jati hai par 
Kai yaadein dil mein chhor jati hai..
Woh khil khilate phool aur 
Woh hare hare pedh aur paude,
Jo lehrate hain subah aur shaam..
Woh saundhi saundhi 
Khushboo hawa mein phoolon ki 
Yaad dilaye tere aaspaas hone ki
Beeti raat ka yun chup chaap se 
Jana aur har roz naye din ka aana.
Mausam jaa ke laut aate hai 
Par jinay hum chahate hai 
Woh kyun chhor jate hain.. 
Kyun nahi laut ke 
Aate mausam ke jaise..

Thursday, June 23, 2016

Chund Saanso Ki Udaari...

Chund saanso ki udaari de,
Beekhre hai kai sapne 
Unhe sametne ko 
Aankhon mein needh de..
Chund lamhon ki fursat de,
Uljhe hai saanso ke taar 
Unne suljane ki maulat de..
Chund dhadkon ki udaari de,
Har pal pal hai tera mujh pe udhar 
Usse chukane ki ijazat de.. 
Na jane kitni arzoo 
Sajaye baitha hai mera mann  
Bas unne pura karne ki mehrbani kar de..
Naa jane is maya ke jaal se kab dil ruth jaye 
Sare vade tut jaye kuch pal 
Teri bandagi karne ki bakhshish kar de..
Atki hai chund saanse hulak mein
Mujhe mere ghunao ki maafi de de..

Sunday, June 19, 2016

Teri Kaisi Justaju..

Eh zindagi yeh hai teri kaisi justaju(talash)
Naa jane kitni baar hazaron arzoo
Dil mein dabake yunhi ghut ti rahi..
Saanso ke samundar mein heechkhole khati rahi..
Aasmaan ko chhune ki chaahat liye hawa mein
Panchi jaise upper ki taraf udhne lagi..
Naa jane kitni baar dhaal se toot ke
Sukhe patte ki tarah zameen pe bikhar gayi..
Iss justaju ke, naa jane kitne roop hai jo
Har baar naye rang odh ke jeevan mein aage aa jati thi..
Jeevan ki kashmakash mein naa jane 
Kab tu aasman se dhaal pe atak gayi, 
Aaj dhadkan ke taar tute toh zameen mein sama gayi..

Saturday, June 18, 2016

Aaj Phir Yeh Shaam..

Aaj phir yeh shaam udaas gujar gayi..
Aankhon ko unke aane ki khabar mili 
Toh aik tak si raah pe bichh gayi..
Hua andhera intezaar mein toh 
Palkon ko lipat kar roh di..
Aanchal thaam ke ungliyon ne 
Chup chaapse hatheli mein chhupa liya..
Dard se bhare thay ashq 
Chehre ki rangat chura gaye..
Aane wale ne apne paigam mein 
Mulakat ka waqt likhna bhool gaya..
Haye re dil tu bi kitna bola nikla..