Tuesday, July 31, 2012

Dooriyaan ab itni..



Dooriyaan ab itni ho gayi hain ke tera dil aur 
Meri dhadkan ke sur bi nahi chalte saath saath ..
Rehta hai ab mann bi tere bin udaas udaas 
Kaise batayein kitne dur aur kitne ho tum mere paas ..
bas ab teri yaadon ke saaye hain mere saath..

Monday, July 30, 2012

Naa basa mujhe..





Naa basa mujhe khayal mein
jo tumhari neendein ruth jaye..
Naa saja mujhe khwab mein ke 
sapna banke dhundla  jaayein...
Rehne de mujhe apne dil  mein
Jo har lamha reh paaye 
tere dil  ki dhadkan mein..



Sunday, July 29, 2012

Kyun bunte hai...




Kyun bunte hai khuwaab hum
Khuli aankhon se..
Kyun kehte hai apne apne..
Jab sab hai nazron ke bulbule 
neele akash ke talhe..
Moh maya ke jaal se hain  hum sab bandhe hue..
Kyun kho jate hain jazbaaton mein sab ke..
jab  hum sab hain maati ke putle,
ek din mitti se jaa ke milenge..

Lakh ranjish hi sahi..





Lakh ranjish hi sahi humse...
Ek baar mere dil ko 
Behlane ke liye aa.. 
Aaj.. Ruswa hi sahi... 
Mere udaas dil se ulfat 
Toh nibhane ke liye aa....
Ek baar fir se mere 
Khayalon mein khuwaab banke 
Aankhon mein rehne ke liye aa.. 





Friday, July 27, 2012

Phir jagaa gaye..



Phir jagaa gaye beetay lamhe dard ko..
Badi muddat se thay wo 
soye hue udaas palkon ke pichhe..
Aaj phir chal pare hain dard 
aansu banke aankhon se 
beete lamhon ke saath yaadon mein tahlne..

Thursday, July 26, 2012

Kaise dildar log hain..



Kaise dildar log hain hum sab.. 
Fb pe aisi pics daalte hain jis mein jyada likes milay..
Kya hai koi aisa jo shuruwat kare ke 
aise pics na dale jo kisi ki lachari bayaan kare..
Is se accha hai khud uski jaa ke madad kare..
Jaise MALIK takleef mein dhak ke humari madad karta hai.. 
'Kyun karte ho uski(malik) karigari ki 
numaish jo aadhi aur adhuri si ban gayi..
Yeh aisa hai kyun ke tujhe banane mein 
waqt jyada lag gaya isliye isko waqt ne de paaya",...
Per ismein wo hossle wo jazba hai jo tum mein nahi..
Kisi ko waise, kisi ko aisse sab ko karmon ke
Tarazu se tol mol ke vidaata ne banaya hai..
Phir kis baat ka prachaar kar rahe ho..
Agar tum us malik ke bakt ho toh.. 
Palkein jhuka ke uski kami ko tum dhak do..



Wednesday, July 25, 2012

aankhon ki yeh mastiya..


Teri aankhon ki yeh mastiya 
dil mein mere shor kare..
Teri nazron ki angraiyan 
mujhe bechain kare..
Yeh teri shararti palkon se
jalte aur bhujte hain mere dil ke diye..
Karne de deedar tere husn ka 
jo mujhe yun bekarar kare..

Tuesday, July 24, 2012

Kaisi mohabbat hai..



Kaisi mohabbat hai tumhari jo kar deti hai 
Itni bandishein pyaar ke aage..
Kar apne pyaar ka vishwas 
Jo bas jeeti hai lekar tera naam..
Kyun kar dete ho itna majboor 
Jo tumse dur chale jaye humesha ke liye hum...


Kaun ho tum..




Kaun ho tum....?
Kaise lagte ho tum pata nahi per
yeh tumara naam jo hai
Bahut pyara sa lagta hai ..
Labon pe aate hie muskaan lata hai..
Dil deewana sa ho jata hai..
Per jo bi ho tum mere liye aaj bi ajnabi se ho..



Monday, July 23, 2012

Kuch dil ke alfaz..



Kuch dil ke alfaz kore kagaz pe leekh dale.. 
Abi poori bi nahi hui thi meri baat aur 
Hawa ban ke le gayi wo kagaz tum apne saath.. 
Reh gaye adhure se mere dil ke jazbaat 
Adhura sa wo tera khayal..
Wo qalam ab bi hai kuch udaas 
poori na leekh sake apne dil ki baat..

Sunday, July 22, 2012

Tum jo phool...



Tum jo phool dekar saja gaye 
Sapne aankhon mein.. .
Wo mehak wo tera ehsaas 
Aaj bi hai in haathon mein.. 
Ab dekhti hai nazrein raahein 
Kab aaoge laut ke in aankhon mein...

Kuch toh tha..








Kuch toh tha tere mere darmiyaan...
Jo tum bin bole chal gaye kahan..
Mere haath pe haath tera tha toh
Manzilein bi thi jawan..
Ab tere bin ho gayi zindagi meri
Khali khandar ke samaan..

Saturday, July 21, 2012

Palkon mein bas ne wale..



Palkon mein bas ne wale 
Yun tadap ke na chhalak..
Dil mein rehta hi koi 
jara uska bi khayal kar..
Aankhon mein tasveer hai uski sajji 
Dekh le pahle usse ek nazar, 
Phir bhool jayega tu apne bi dard..



Patang..


Pehn ke rang bi rangi kagaz ka libaas
thaam ke patli lakdi aur daage ki dor.. 
Dekho kaise udh chali 
main neele aakaash..
Bandi hun aisi dor se jo 
karaye tha thai ka naach mujhe..
Yeh lo sab se khud ka 
peecha chhudaun bach bach ke
Yahan se wahan lehraun.. 
Mast hawaa mein kabhi 
Niche to kabhi uper main uddti jaaun..
Areee kisne kaat di meri dor 
lo main giri zameen ki or.. 
Lar khati bal khati dhak dhak karti 
lapak gayi kisi deewaar se jaa ke..
Ab latak ke hawa se lad rahi hun,
Fatti aur tutti hui si patang lag rahi hun..


Thursday, July 19, 2012

Aasmaan se...


Aasmaan se seedhe aaye ya 
Bichar se gaye hain apno se..
kisi ke dil ke tute hue tukre hain 
jo pade hai yun bikhre hue..
Is dharti pe thokar khane ke liye..
Naa koi jaan,naa koi dhadkan 
Bejaan se hai Samundar ke 
kinare pe soye hue pathar hum..


Main naa khwaab thi..


Main naa khuwaab thi..
Naa main koi sapna..
Jo teri palkein khulte
Dhundla jaati nazron se..
Kitni baar pukara tumhe
Dekh ke bi tum anjaan bane..
Kya itni jaldi tum bhool gaye mujhe..

Na masal apne..





Na masal apne dil-e-dard is tarah..
Kabhi thi wo teri mohabbat ka ehsaas..
Aaj ruthi hai mohabbat tumse to
Karte ho apne haathon ko lahoo lohan..
Thame thay kabhi phool uski liye in haathon mein
Ab kyun karte ho qatl ussi phool se unn hie haathon ke..

Wednesday, July 18, 2012

Rajesh Khanna ji chale..






Dur gagan pe bi hain apne paraye..
dekho kaise rooh udh jate hai dharti se
aakaash pe banke patang ke saaye.
kal tak thay zameen ke sitare
aaj chamak ne chale hai
aasman pe banke taare..
chhod ke dharti Rajesh Khanna ji
chale hai un sab se milne
udd ke kafan aur phool ki malayein..
Eshwar Rajesh Khanna ji ki aatma ko shanti de..

Khamoshi se kar jaye..




Khamoshi se kar jaye 
aankhon se aankhon pe vaar..
ho jaye nazron ka ikraar, 
aur bina boley ho jaye pyaar ..
wo dilse uthti samundar ke laheron ki aawaaz..
wo bajhte dhadkan se sargam ke sur saat, 
le aaye bin baat hoton pe muskurat.. 
jab wo sharma ke jhuka de nazar.. 
kitna pyara hai anjaan muhabbat ka izzhaar...

Tuesday, July 17, 2012

Kaash wo palat ke dekh le..



Kaash wo palat ke dekh le to 
Mehfil mein jaan aajaye.. 
O Husn-E-Noor ki malika..
Aik baar to dekh 
Murh ke chehra mera.. 
Kab se nazrein hain meri
Tumhe pukar rahi.. 
Tum ho ke gehron ke 
Naaz uthaye jaa rahi.. 
Aik hum hai ke Dil-O-Jaan 
Luta baithe hai tum pe, 
Aur tum ho ke apni adaon se
mera qatl kiye jaa rahi ho..

Aaj dil tumhe yaad...




Aaj dil tumhe yaad kar ke 
Muskurata raha aur aankhen ro padi.. 
Yaad aa gayi wo tumse pahli mulaqat ki gari..
Wo tumhari meethi si baatein
Wo tumhara pyara sa andaz.. 
Kaash na milte humse aap..
Ufff..toh naa hota mera 
Yeh bechain sa haal..
Aaj bi nazrein dhundti hai tumhe 
shayad meri yaad aajaye tumhe aur 
 tum ajnabi ban ke laut aao mujhse milne....

Sunday, July 15, 2012

Tah umar beet gayi is..



Tah umar beet gayi is din aur raat ke beech.. 
Pata na chala kab aagayi gaddi meri patri ke nich..
Sochta tha sochta hie reh gaya 
ab naa kuch hai mere haath de vich..
Tah umar beet gayi meri 
Dekhte dekhte sunhari dhoop..
Ab aankhon mein naa wo roshni hai 
na in bhajuon mein wo dum..
Sochta hun kahan kho gaya tha 
main jawani mein jo aaj hai
Mera yeh roop aur rang.. 
Tah umar beet gayi meri 
Ab mujh mein hie nahi hai 
Wo josh jo chal saku 
Is waqt ki tic tic ke sangh.. 
tah umar beet gayi ab 
ginta hun apne bache hue kal..




Kaisi hai yeh yaadein teri...




Kaisi hai yeh yaadein teri... 
Ab dhundlane lagi hai meri nazron se..
Halke halke se zehain mein mere tasveer teri,
jaise ab wo bi mujhse dur jaa rahi hai..
Sochti hun kaisa tha wo pal jo 
mere liye tum hie tum thay bas apne se..
Ab kho gaya sab kahin dur ke 
Sametna bi chahun to hathliyaan 
meri majboor hoke bandh ho jati hain..

Friday, July 13, 2012

Chale udh chale..




Chale udh chale
khula aakaash aur vishal dharti pe..
Ho gayi aapse bahut dosti yaaron.
Ab naa puchho kaunsi hai manzil meri..
Neela aasmaan hai 
neela samundar hai per 
ab na koi mera humsafar hai.
kal bi thay akele aaj bi hain akele se..
Mujh jaise anjaan musafir ka 
bas kuch palon ka saath tha aapse.. 
Dur dagar hai katthin safar hai..
Bas saath hai aapki pyari duaaon ka.. 

Takdeer ke khel bi..






Takdeer ke khel bi hai nirale.. 
Jo chahe milna unne dur bitha de.. 
Anjano ko mila kar aik bana de.. 
Jab milti hai nazrein to 
Kismat soti hai.. 
Kahin pe khilti hai zindagi to 
Kahin pe mohabbat marti hai.. 

Insaan hai ke dabb ta..






Duvaon se bare hain dargha..
Manaton ke minaar hai khade.... 
Khuwaishon se bandh hai qabrein.. 
Insaan hai ke dabb ta 
Jata hai inke tallay.. 
Koi pyaar ki lalach mein to 
Koi dhan dault ki lalach se 
phir ta inke aage pichhe.. 
Darghaon mein peer mile 
mandiron mein maharaj bi. 
Sab ne bataya mazaa le sab ka 
per saath na jata kuch bi.. 
Akhir aake milega 
is zameen mein hie..
Sochte hain kitna din raat.. 
Per aata nazar nahi kuch haath.. 
Khali hai hatheliyaan to 
Koi nahi thaamega ungliyaan bi..
Duvaon ka asar hai jo 
aaj bi is zameen per 
milte hai rabb aur khuda se 
jaa ke mandir aur masjid mein
per kam nahi hoti ab bi dil ki muradein..

Thursday, July 12, 2012

kali abi kheeli bi nahi..


kali abi kheeli bi nahi banware mandra ne lage..
dekh bawnron ki yeh dil lagi titliyaan tadap gi..
dekh na jab phool banegi  to hum hie honge 
aas paas iski khubsurati ke ghun gaate hue..

khamosh nazar..





khamosh nazar khoi hai kider..
khayal hai kis ka
jo tum dhube ho badi dher tak..
kabse japki nahi palkein,
lagta hai jaage mein
khoye ho kisi khwaab mein..
gehre hain nishaan teer-e-nazar ke..
koi to hai jo ho raha zakhmi tere is andaz se.
waah! tum qatl bi karte ho kitne pyaar se..

Wednesday, July 11, 2012

Aasmaan se barse tum..



Aasmaan se barse tum sailaab banke thehar gaye..
Per aankhon se chhalke to palkon ko
Geela kar ke pata nahi kahan gaye.. 
Boonde to aik jaisi thi per 
Aik aasmaan se aati hai mausam se.. 
Aur aik dard bayaan karne 
aankhon se chhalak padti hai dil se.

Lekar kattora haath mein..




Ya khudaya na banata yeh paet to kitna accha hota.. 
Jee lete hum in saanso aur dhadkon pe.. 
Per yun to naa dhar dhar rona padta 
Lekar kattora haath mein roti ke liye..
Koi deta hai roti to koi duudkaar deta hai ..
Per mere malik mera paet kahan barta hai..
Auron ko de diya itna sara phir
Mere liye kyun na diya thoda sa..
Ya wo sab tujhe pyaare hai to
Kya main na hun tera dulhara..

Ibaadat ho malik ki..



Ibaadat ho malik ki namaaz se ya praathna se 
bas sheesh juke to uske aage sajda karte hue..
Naa ho koi ghamand naa ho koi akkar 
jab mil ke aaye malik ke dar pe.. 
Khule to haath bi uske aagaye 
Shukar adaa kar ne ke liye.. 
Nazar uthi bi to palkon ko bandh kar ke 
Uski bandhgi kar ne ke liye.. 
Hai koi aisa jo naa jhuka uski rehmat ke aagay..
koi apni khushi bayaan kar gaya to 
koi apna dard suna gaya khamosh alfaaz se..

Tuesday, July 10, 2012

Apna apna bol ke..


Apna apna bol ke gehre bana kar chale diye..
Baatain kar ke hansa ne waale aansuon se rula gaye..
Abi unse milne ki khushiyaan sambhli bi nahi aur
Udaas raahon pe akela chhor gaye..

A FRIEND..


I think..
A friend is a gift from god..
an angel send by almighty..
we meet while crossing 
miles of life via via ways... 
Trust a friend with 
lots of  love & faith..
share thoughts & secrets with a friend..
Every friend gives good or bad gift of 
memories to Remember them in life..
am happy to have a friend like you in my life.. 
but are you lucky to have an angel as a friend in your life..


Radha ka krsna...




Radha ka krsna.. ya krsna ki radha thi..
Dono ke mann ki aik hie abilaasha thi.. 
Wo bansuri ke dhun wo payal ke jankar.. 
Wo pyaar ka milap wo chandni raat.. 
Gopiyon ka nacch wo krsna aur radha ka saath.. 
Waah yaad aa jata hai dono ka 
Wo pyaar aur mohabbat ka mitha sa raas..

Sochti hun tume..




Sochti hun tume shaam aur subah..
Aur main karu to kya..
Meri aankhon mein 
Basse ho tum is tarah ke 
Nazar aur koi aata nahi..
Khayal kahin aur jata nahi..
Labon pe naam tera 
Gungunate rehte hai 
Jaise tum geet ho pyaar ka..
Raat aur din rehta hai bas tera intezaar 
pata nahi kab aayegi wo suhani si mulakat ki shaam.. 

Meri jaan..





Meri jaan, itna na tum kho jaya karo 
mere khayalon mein..
Fursat milegi jab zamane se 
Jaroor tumse milne 
Aajayenge haqeeqat mein.

Monday, July 9, 2012

Naraz hoke bi...



Kuch palon ki hai zindagi..
Kisi se naraz hoke bi
Nahi jee sakte kabhi..
Kya pata kab bandh ho jaye
Dharkte dil ki tic tic bi..
So smile n forget them
Who have hurt u
& disliked u kabhi na kabhi..
yehi hai is kalyug ki reet..
yeh duniya hai suwarthi aur
matlabiyon se bhari..
naa dena dosh kisi ko bi 
kyun ke sab hai jude hum se hie..


Sunday, July 8, 2012

uske dil ko bekarar..




Aaj karte hai uske dil ko bekarar..
Thoda sa tadpate hai khel ke dil si dil ki chaal..
Jo ban baitha hai mera talabgaar..
Bhulate hai unne sunna ke pyaar ki awaaz,
Kya wo aate hai paas mere sunke dil ki baat..
Aankhon ko hai intezaar bas
Nazrein karle thodi si shararat..
Aaj khelenge pyaar ki baazi dil se un sangh.
Bas dekhe wo nazar to aaye mehfil mein ab..

Eh meri mohabbat..



Eh meri mohabbat..
Tere pyaar mein hum
itne dhoob chuke ke
Ab hosh nahi rehta
Humein duniya ka..
Tujhse naa milay
To tadap ke bechain
Ho jata hun din raat..
Janta hun tum pe
Duniya ki nazron ke
Pehare hain hazaar..
Per kya karu mein
Tumse milne ke liye
yeh dil aur nazrein
Ho jate hai bekarar..
Raat gujarti nahi aur
Din tere bina kat ta nahi..
Bas hota hai intezaar
tumse milne ka har baar..

wo saree chhay gaz wali...


wo saree chhay gaz wali...
lagti pyari jab pehne koi bala ya nari..
lachkati kamar ho.
kande pe saja palu ho..
mathe ho bindiya aur 
hoton pe lali..
lagti soni soni saree wali..

Zindagi ka sab se aakhri jeev ..insaan..






Zindagi ka sab se aakhri jeev ..insaan.. 
Jo ladta rehta hai apne karmon ke 
Hissab se roz din aur raat... 
Kahin pe pyaar hai to 
Kahin pe hai kalesh kisi ke saath.. 
Bas juzta rehta hai har ek ke saath.. 
Kabhi acchai to kabhi bhurai.. 
Kabhi apne to kabhi pyare. 
Kabhi ameeri to kabhi gareebi.. 
Kabhi gham to kabhi khushi.. 
Kabhi dukh to kabhi sukh.. 
Kabhi aansu to 
Kabhi muskurat ke saath.. 
Yeh sab hai insaan ke 
Dost aur dushman.. 
Kai baar larkharaya 
Bi hai in raahon per, 
Per phir bi chalta raha 
Us malik pe vishwas rakh kar.. 
Lena deni ke chakkar mein 
Piss jata hai thak kar.. 
Koi khud chala jata hai.. 
Koi khud ko khattam 
Kar deta hai suicide karke... 
Per yeh chakkar hai 
84 lakh ke janmon ka 
Aisa sadhu aur saint hai kehte 
Per sab jante hai 
sab hai mohre uske shatraj ke.. 
Phir bi kehte phirte hai 
Mera mera aur apna paraya.. 
Jab kuch nahi hai saath jana.. 
Phir kis liye itna waqt 
In sab mein gahvana.. 
Jiske liye aaye ho 
(malik ke bandagi ke liye) 
Wo kar ke aage chalo.. 
Bas us malik ka naam japo.. 
Ya rabaa ji.. 
Tera bana(sirishti) mitha lage 
Jis mein hai rakhe tumne 
Swaad ke anhadd jaal bana ke .. 
Per hum nalayak jeev aaj bi hai 
Lalch aur makari ke jaal mein phanse.. 












Saturday, July 7, 2012

Wo yaad aa...






Eh dil na kar na kisi se itna pyaar ke 
Wo yaad aa aa ke rula ke jaye baar baar... 
Ruthe hote to mana lete unne kisi tarah per 
Pata nahi wo kyun chhup baithe hain 
Kahin jaake dur humse.. 
Eh dil kaise batayein un ne ke 
Yeh duriyaan bahut chubti hai tanhaiyan banke.. 
Wo laut aaye to ab jaane na dena dur apne se..

Friday, July 6, 2012

Ghari bhar ruk jaa..




Ghari bhar ruk jaa aaj ki raat.. 
Kuch pal to beeta mera saath.. 
Yeh shama bi jal ke khak ho jayegi.. 
Per meri aankhon ki pyaas na bhuj payegi..
Kar lun jee bharke tere deedar..
Kahin chhalak ke na aajaye aansu bahar..
Deewana hua baitha hai dil zidd pe.
Naa maane tum to rula dega 
aankhon ko bedardi se.. 

A gift..


A gift brings happiness..
Until its wrapped up with
Love & sweet smile..
The moment you unwrap the gift
See the surprise in the eyes..
The moment you see the gift
Heart decides like close 2 d heart.
& dislike keep away from d eyes..
But no one sees d sentiments
Of d gift giver's choice..
Pls..think 4r a while..

Thursday, July 5, 2012

My life's wonderful..


The journey of life bought u & me closer..
I know we wont be forever together..
But your love care & smile will always be 
My life's wonderful treassure..

main hun na yaar...


Jab saaya hie saath chhor de andhere ko dekh kar..
Apne hie na ho saath dukh ke waqt..
Bas dost hie hote hai sahara us waqt 
jo thaam lete hai haath us pal 
Tu darr mat main hun na yaar.

Wednesday, July 4, 2012

Kya fb ke bahar bi aap apni dosti nibhaoge..




Kya fb ke bahar bi aap apni dosti nibhaoge...?
Aaye din yeh post hota rehta hai..facebook pe..
Areey..is zameen per jahan khoon ke rishte nahi tikte.

To dil ke rishte kaise reh paayenge saath..
Aap aur hum to ab mile hai ..
Aise kaise aapko batayein..
Kisko pata kab tak ka ho saath..
Zindagi ke safar mein milay ho to
Hans bolke chal do saath..
Ab kisi bi rishte se umeed na
Rakh saath nibaane ki..
Har rishte pe hai raaj lalach aur bukh ka...
Ab insaan ho gaya hai andha apni jaruraton ka
Karne laga hai apne khoon ko naga..
Sharam sar kar diya hai
Apne janam data ko.
Kya bole ab hum aapko.
Ab nahi hai khud se kisiko fursat jo
aapki sunne ya apni sunnay baith ke kabhi...
So dear frnd..live 4r today only..
Sachi dosti hai aapki aur humari to
jaroor chalegi jab tak hai
saans aapko aur hume pyaari..




Tuesday, July 3, 2012

Koi to wajah hogi jo..


Koi to wajah hogi jo kismat ne milaya tumse..
Meri adhuri si zindagi ke panne per tumhara bi 
Naam chhupa tha chand lafazon mein..
Tumhara bi kirdaar tha ajeeb sa.. 
Jaise kuch pal ka saath tha tumhara ajnabi sa.. 
Na tum dost bane, na tum saathi zindagi bhar ke..
Safar-e-zindagi mein tum aaye ek khuwaab se..
Aankhein khuli to saath tumara bi chhut gaya..
Dhere dhere tum bi mujhse dur ho gaya.
Bas ab tumhari kuch dhundli si 
yaadein hain seene mein bandh mere.. 


Monday, July 2, 2012

Aik rishta jo..




Aik rishta jo banaya tumse vishwas ka..
Sab rishton se uper hai rishta tumse aitbaar ka..
Lakh ho anban ki baatein dil mein humare per
Chhodte naa tum dor dosti ki..
Chahe baando bandan kitne bi
Jab tak na ho saath vishwas
To atibaar bi nahi aata paas..
Yeh hai har rishte ka raaj..