Tuesday, December 23, 2014

KYUN....?

Roz roz zindagi se yeh khuwahishein kyun..
Chalti hui jeevan ki gaadi se yeh farmaishein kyun..
Chamakta hai subah ka suraj toh 
Raat ke aate hie andhera ho jata hai kyun..
Roz leti hai janam kayi zindagiyaan 
Phir bhi kayi joliyaan hai khali kyun..
Har kyun ka jawab nahi phir bhi 
Har sawal mein hai aata kyun..
Zindagi ke jedojehad mein 
Naa jane hai kitne aise kyun..
Pareshaan si ho jati hai 
Jeevan ke sukun ki ladiyaan, 
Yunhi suljate naa jane kitne kyun..
Har jeev ke saath juda hai aisa kyun, 
Ke aakhir saans tak reh jata hai yeh bas kyun.

Saturday, December 6, 2014

Bichhde Sabhi Baari Baari...


Bichhde sabhi baari baari..
Koi mann se toh koi dil se bichhda..
Jo kal tak apne thay, 
Woh aaj apno ki nazron se dur chale..
Dilon ke faasle ab, 
Maya ke mahal se lipte nazar aaye..
Zanjeeron ke jaale hain, 
Rishton pe taale hain
Apno ne daale, apno ke liye..
Badi beh-dard hai zalim yeh zindagi,
Mohabbat aur pyaar mein 
Haar jati hai lahoo ki laali..
Janam ka rishta kyun hua jhoota
Maya ke rang aankhon ko, 
Kar gaye itna aandha..
Jab jana hai sab ne 
Lekar hathli khali, 
Phir kyun samet rahe ho 
Yeh behd baav ki gathri bhari..
Yunhi aaye aur yunhi jayenge 
Apno ke dil jala kar pyaar ya 
Nafrat ke deep se hamesha ke liye..
Waqt ke chakra se nahi bach saka koi..
Aaj meri toh kal teri hai baari, 
Bichhde sabhi baari baari.






Wednesday, November 5, 2014

Aik Dil Aur Uske Sau Afsaane..

Aik dil aur uske sau afsaane,
Koi maane ya naa maane..
Dhadkan ki dori se armaano ki doli bandhi,
Soch ke jarokhe se mann ne angrayi li..
Khuwaab aur khayalon ke
Udan khatole mein saanso ki doli saji..
Mann ki mauze, dil ki dewaangi 
Le aayi aise morh ke dehleez par, 
Jahan nazar aayi badalon ke 
Aagosh se lipti khushi..
Khula aasmaan aur niche vishal dharti,
Dhole dil jaise azaad panchhi..

Thursday, October 30, 2014

Mohabbat Mili Mehboob Se..


 Muddaton baad mohabbat 
Mili mehboob se prade ke uss paar..
Lafz se kum nazron se keh gayi woh
apne mehboob se dil ki baat..
Aaj bi nazar aayi woh surai soni si,
Aankhon mein chhupa gayi 
Woh dard barson ke..
Naa jane kaisi gari thi,
Jo do dilon ko mila ke bichhra gayi..
Aaj bi yaad aate hai dono ke 
Pyaar bhare afsaane, 
Toh palkein bheeg jati hai ashqon se..
Chhere pe mohabbat ke
Muskaan toh hai par
Aaj bi dil ke gharonde mein
Mehboob ki judaai se,
Ungint dard hai woh chhupe..

Thursday, October 9, 2014

Bas Tumhari Yaadein Reh Gayi..

Yaadein, bas tumhari yaadein reh gayi..
Is dil ke zarokhe se dekhi humne 
Aankhon mein chhupi tasveer tumhari..
Tum toh coson durr chale gaye phir bi 
Har baat mein yaad aati hai tumhari..
Saath tha humara saalon ka, 
Na jane pal mein kaise bikhar gaya..
Thi daayan koi chaukhat pe khadi, 
Sindoor meri maang ka churake, 
Meri khushiyan bhare 
Aagan ko viraan kar gayi..
Ab yaadein tumhari, 
Bas saugat hai humari..
Aankhon se chalke moti bata gaye 
Ke tumko bi yaad aati hai humari.. 
Humse bichharne ka dard tum ko bi hua hai, 
Yaadon mein aake tumne jata diya hai..
Ab tumhari yaadein hai aur 
Yaadon mein hai har baat tumhari..


Tuesday, October 7, 2014

Tere Is Shehar mein...

Tere is shehar mein akele se ho gaye..
Tum toh na jane rishton ki 
Zanjeer se kahin dur nikal gaye..
Aati rehti hai yaadein 
Soch ke aangan mein 
Kho jate hain phir aake 
Hum tumhare khayalon mein..
Bin tere pal pal kaise beeta, 
Din aur phir saal mein 
Ab toh nazrein bi thak gayi 
Tere intezaar mein..
Palkein meri bheeg jati hain,
Jab jab dil hua udaas tere naam pe..
Aaj bi chahate hain tum laut ke aajao 
Phir se humare jeevan mein..
Kya yeh vaade aur yeh rishte thay,
Jin ke khai thi kasame 
Saath saath jeene aur marne ke..
Sab tod ke chal diye tum 
Durr hum se humesha ke liye..
Kabhi pal bhar bi naa socha tumne murh ke 
Tum bin kaise kaatenge yeh jeevan hum akele se..

Saturday, September 20, 2014

Eh Zindagi..



Naa jane kyun uth gaya 
Aitbaar tujhse, eh zindagi.. 
Meri taqdeer ki naav mein 
Kyun hai udaas si khadi..
Kuch pal ke liye dard ne 
Aanchal odha tha khushiyon ka, 
Palkon ke shaanv mein 
Aaj bi hai chhupi ashqon ki ladi..
Ab gehre hain itne darr ke saaye ke 
Chura na le jaye koi mere jeenay ki kadi..
Soch ke samunder se 
Khayalon ke mehalon mein 
Dhoondti hoon aaj bi 
Teri haisiyat, eh zindagi..



Monday, September 8, 2014

Zindagi Jaise Koi Kahani Kitaab Ki..


Zindagi, jaise kitaab ke panno pe likhi koi kahani,
Har kahani ke thay morh..
Har us morh pe aake rukh jati thi kadmon ki aahat..
Soch mein dhoob jati hai jeevan ki naiya,
Kis chhor pe aake bichhar jata hai koi apna sa..
Anmol hai zindagi ka pal pal,
Jab tak na lage koi thokkar..
Aankhon ka rishta dil se juda,
Dard mein ashq palkon ko
Bhigokar chhalak pada..
Umar bheet gayi panno ko palatte palatte
Naa jane kab dhundla gayi nazrein zindagi ko padte..
Ab daud zindagi ki ho gayi hai dimi si,
Chaal bi lar khara jati hai khalyon ki
Yaadon ke aaine ke aage..
Kabhi khushi se kudte toh
Kabhi udaasi mein dhoobte..
Pata na chala kitni dur nikal aaye
Zindagi ke anmol khazane ko sambhalte..
Kahan se kahan aa gaye
Akele thay aur akele hie reh gaye,
Ab toh panne, kitaab ke bi phat ne lage.
Kuch kuch alfaaz bi mit ne lage..
Lagne lagi kitaab purani si,
Zindagi ke safar mein
Bachpan se lekar khushal jawani thi,
Sapno ke rang se rangi zindgani thi..
Kuch boonde shabnam ki
Toh kuch boonde bharish ki thi..
Mere aagan mein toh
Khushiyaan mehmaan si thi..
Sar pe chandi si chamakne lagi
Chehre pe juriya khichne lagi..
Lakh karu jatan ab woh surat naa rahi..
Zindagi ke safar ki kahani
Kahan se shuru hui,
Kahan jake thhar si gayi..
Kitab ke paano ki beech aaj bi hain
Kuch panno ke kone muray hue..
Na jane kyun hai adhure se
Khuwaab in se aaj jude hue..
Kitaab ki kahani,
Lafzon ne aankhon se bayaan kar di..
Zindagi jaise kitaab ki kahani si ban gayi..


Sunday, September 7, 2014

Mitti ke thay....



Mitti ke thay aur mitti mein mil gaye...
Shraddha aur aastha ke chakravyhu mein phans gaye..
Insaan ke haathon se kahan se kahan aa gaye..
Kaisi hai yeh maya mandiron se nikal kar
Gharon mein mehmaan ban ke aaya..
Shraddha aur aastha insaan ki
Dekh kar mitti mein ja samaya..
Bin bin roop aur rang se
Mitti ke putle mein sajaya..
Aisi karigari insaan ne ki, unginit
Aankhon mein khoobsurat nazar aaya..
Le kar mahusay ki savari gar gar ghum aaya..
Kuch din tak mann mauji banke 
Kai tarah ke swaad chakhaye..
Har ek ke pyaar se mera mann bhar aaya..
Kisi ne do din toh kisi ne 
Paanch din tak mujhe manaya..
Chalo aaj aaya din, 
Band baaje ke saath mujhe, 
Ganpati bappa moriya,
 purcha varshi laukar ya, 
Ga ga ke apne gar se ravana kiya..
Eh insaan teri aastha dekh ke 
Mujhe bi aaschariya hua..
Kahan se laye aur kahan chhod aaye..
Kuch din mein, insaan ki shraddha 
Aur aastha ke dekhe roop anek se..
Insaan apne haathon se
Mujhe paani mein visarjan kar aaye..
Kal tak tha gar gar mein saja, aaj zameen pe 
Bhe-jaan sa main hoon pada..
Mitti ke thay aur mitti mein aa baithe..


Thursday, August 14, 2014

Kal Tak....

Kal tak, hum thay paas paas,
 har shaam hote thay saath saath..
Ab meri, shaamein tanha ho gayi tere bin.
Akele akele se, hum ho gaye tum bin.
Humse dur, kyun tum hoti jaa rahi ho.
Kya baat hai, jo palkein jukaye ho
Ab toh humse nazrein bi nahi milati ho..
Ya kisi aur ko aankhon mein chhupaye ho..




Wednesday, August 6, 2014

Bandh Muthi Kismat Ki..


Khabar agle pal ki nahi, chinta umar bhar ki hai..
Laya tha bandh muthi kismat ki, phir kyun pareshaan sa hai..
Sab woh deta hai waqt pe, phir fikar kisi cheez ki hai..
Dher, saver waqt ki hoti hai,kismat pe apne toh yakeen kar..
Zindagi di hai, toh takdeer bi likhi hogi, acchi nahi toh thik si hogi.
Heere aur sone si nahi par zindagi phoolon si toli hogi..
Pal pal anmol hai zindagi ka,kyun naa kare kader..
Be jaan si cheezon pe kyun kare hai itni fikar..
Aaye hain toh jana hai, ek din sab ne kabhi na kabhi..
Apna apna kehte hain par waqt pe,koi nahi deta do saanse udhaar ki..
Mila hai kismat se toh istamaal bi kar,
Naa ki bandh kar ke,aane wale kaal ka intezaar kar..
Pata nahi phir mile na mile,woh tere naseeb mein..
Uska diya woh jab chahe le le, phir chahe woh jeevan ho 
Ya aur koi punji(daulat,aulad)..
Ab waqt aisa aaya hai kuch keh nahi sakte 
Palak japakte kab kuch ho jaye..
Itne phans chuke hain is moh maya ke chakkar mein
 ke dene wale ko bhool gaye..
Apni mohr lagakar khuda ban baithe..
Naashukar insaan se, bada koi paapi nahi. 
Malik ne farishta banaya jeevan ki daulat ke sukh de kar 
Kisi ke liye farishta toh naa ban sake par laalach ke gulaam ban baithe..
Maut bi aayi toh maulat bi naa mili, jo gale se laga ke le jate woh sab, 
Jis ko umar bhar sambhala sab ki nazron se, woh hie chhod ke chale,le kar ke muthi khali..


Tuesday, August 5, 2014

khayalon ka Mahal dekha hai..

Dil ki jarokhe se khayalon ka mahal dekha hai..
Aisa ho gaya hai khush numa mahaul ke
Ab mann ko bi jalan si hui hai..
Dhooba dhooba sa hai mizaaj aaj haal e dimaag ka 
Aankhon ne toh kar di hai dimaag ki dukaan bandh..
Na jane yeh kaisi madhoshi si nazron mein chhayi hai,
Jaise surai se madira aankhon mein bhar aayi hai..
Joomta hai dil ga ga ke raag sawan ke,
Kaale baadalon se chham chham kar ke,
Barsaat dil ke aangan mein aayi hai..
Badalon mein chhup chhup ke 
Dilse aankhmicholi ki hai, 
Aaj chand ne dillagi ki hai..
Ab toh dil ko chand se mohabbat hui hai..

Monday, August 4, 2014

Life is not a Bed of Roses..




Life is not a bed of roses for everyone..
Every individual has the share 
Of good n bad day..
Time alway play a key role 
In everyone's life..
But unfortunately luck 
Is blamed for unlucky stars..
 good n bad deeds, land a hand 
To move on the road of karmas..
Mind & brain struggle with 
Ups down of their thinking,
But poor heart & two eyes 
Bear the results of feelings..
Think for awhile, 
Why is the sky so high,
And the ocean so deep..
Trying to reach both side, 
But its out of reach of hands..
Always settle down with what is 
Available in hand..
 but unwanted demands will land you 
In hell with many reasons..
For soul, body is the path 
To reach to almighty 
By praying n meditations..
Oh lord, after the birth, 
Forgot the aim of coming here ..
Body got distracted with 
All illusions of mayas..
After birth, taught this is 
What am born for
Wrong ways of entertainment 
N happiness to satisfy a life..
But when the journey ends 
Bychance in the middle of the road,
When one has to go,
Everything is left behind..
The reason behind, soul
Being here on this earth is 
The choice of  the universe.. 
Months before birth, almighty 
Gives the sign of  new life coming, 
But, death doesn't give a sign of
Ending the journey of  life..
So wakeup & check yourself 
Where you stand today, hell or heaven,
From the eyes of your soul..


                                                                                 

Saturday, July 26, 2014

Kabhi Yun Bi Hota Hai...

Kabhi yun bi hota hai,
Shuniya ho jati hai dhadkan 
aur khamosh saanse bi..
Kho si jati hai nazar aik tak si soch mein.. 
Hoti hai halchal si mann aur dimaag mein..
Dil ho jata hai akela dono ke beech mein..
Chalti hai gaadi soch ki khayalon ke patri pe..
Kahan se kahan pounch jati nazar 
Vichaaron ke bhanvar mein..
Anzaam jo bi ho mann aur dimaag ki soch ka,
Dil ho jata hai pareshan sa be-vajah.. 
Aankhon se bayaan ho jata hai
Koi toofan toh hai, jo rooh se ulhaj ke 
Shuniya pe hai ruka..

Wednesday, July 23, 2014

Aaj Qalam Ungliyon mein

Aaj qalam ungliyon mein 
Kar rahi hai intezaar..
Dil kuch bole to likhun 
Uske haal chaal..
Soch mein dhuba hai dil,
Par mann samajh na paaye, 
Kiske khayalon mein 
Aaj khoya hai a dil...
Kaisi duvida mein aake 
Phans gaya re tu manna..
Naa hai khush, 
Na hai aaj yeh dil udaas..
Ulhji ulhji si uski nazrein, 
Pata nahi kis ke khayal hai aaspaas..
Na jhuki palkein, 
Na chalke ashq, 
Phir bi a dil tu khoya hai kider..
Yeh qalam tumse puchhe baar baar, 
Ab toh karo kuch uska bi humse, izhar e haal.

Yun Naa Tum Ruthke Jao..

Suno meri jaan,
mujhse, yun naa tum ruthke jao..
Aajao laut ke aajao..
Tere bin, hum jee naa sakenge 
ek pal ki bi duri..
Yeh kaisa pyaar hai tera
 jo chhoti chhoti baaton mein
Tum ho jati ho yun hie khafa..
Aa jao, laut ke aa jao..
Naa tum yun mujhse durr jao..
Tum bin kya yeh zindagi raas aani mujh ko..
Dekh le aake in pareshan aankhon ko..
Tere liye hie thay hum aaye, 
Ab tere bin kya jee ke karenge.. 
 lo chal diye, hum bi tumse durr, 
Kabhi naa laut aane ko..
Ab jo agar tum naa aaye, mere liye..

Tuesday, July 22, 2014

Tum bi Badalne Lage ho..

Tum bi badal ne lage ho mausam ki tarah..
Baat baat pe jagarne lage ho pagalon ki tarah..
Yeh kaisi zidd hai, ulfat-e-mohabbat mein tumhari, 
Dard-e-judai bi sehen tumse aur 
Ashq bi naa aaye aankhon se humari..

Aankhen Khoyi si...


Aankhen khoyi si hain aaj bi, uske yaadon mein, 
Dard kitna gehra tha, unn jhuki si palkon mein.. 
  eik dard ki tis si, dil mein uthti hai 
Jab dil roye aur aankhen ho num, unse bichharne se..
Mitti ke khilone hain, isliye 
Haath chhor dete hain beech raah mein aake..
Apna nahi hota koi, bas bharm hai rishton ka
Warna koi chhor ke na jata saath apno ka..



Wednesday, July 16, 2014

Zindagiai Aus Ki Boond Si..


Zindagi hai aus ke boond si
Koi phool pe giri toh koi zameen pe..
Kismat toh sab ki hoti hai haseen 
Bas lakeerein nahi chamakti
Aasmaan ke taaron si..
Mil ke bichharna hai
Lehron ko kinaron se..
Kab saath rehta hai sapna
Aankhon mein jaag ne pe..
Naa jane kab aus, 
Ashq ban ke aankh se chalak jaye..
Safar mein milne wale naa jane kab 
Palkon ko chhu kar bichhar jaye..
Zindagi hai bas aus ke boond si  
Yaadein banke dil mein 
Reh jati hai motiyon si..

Friday, June 27, 2014

Kainat mein Insaan ki Jaat..

Kainat mein insaan ki jaat, 
Kudrat ki karigari..
Mamta ki murat..maa..
Pyaar ka bhandaar..pita..
Hansi mazak, ladai jagra, 
Bhai behan ke saath..
Chatur aur chaalak, 
Dost aur rishtedar,
Jo matlab samjhaye jeevan ka..
Ek zindagi ke kai roop, har roop mein, 
Basa hai achhai aur burai ka beej..
Kuch janam se toh kuch aadat se 
Majboor hote hain isliye 
Batak jate hai apni manzil..
Gunegaar hai jeev jo rahte 
Darti aur aakash ke beech..
Insaan ko baksha sab sukh aur 
Dukh ka swaad de kar dil aur dimaag..
Matlabi aur makaar nikla insaan, 
Bana baitha us malik ke 
Kai aakar, aur de kar kai naam..
Jis mein uski lalaach 
Uthi aur hua mann bhimaan.
Bol, bol ke, ram ram sita ram..

Thursday, June 26, 2014

Alfazon Ki Jugalbandi Se...

Alfazon ki jugalbandi se, 
Main shayar ki shayri bani,
Kavi ki bani kavita..
Saaj aur sur ke taal se 
Bani geeton ki mala..
Mere roop ka koi 
Pagla deewana ho gaya, 
Toh koi parwana ban ke 
Mere liye jalta raha..
Mehfil aur maikhane saje, 
Mujhe dekh madira ke jaam uthe 
Mujhe pyaar ke suron pe nachane lage..
Naachi mein baand ke gungroo har baar..
Shama ban ke roshan hui,
Sab ke dilon ki chahat har raat..


Wednesday, June 25, 2014

Nazron Mein Uske Dard Ubhar Aaya..

 Nazron mein uske dard ubhar aaya..
Aankhon ke kinaron pe jaise 
Samunder uttar aaya.. 
Palkon ki numi se uske 
Gulabi gaalon pe kajra bikhar gaya,
 ashq moti ban ke lariyon mein chalak pare..
 hoton ne jaise uski zubaan ko qaid kar diya, 
Dard jo uske dil mein tha, 
Nazron ne nazron se bayaan kar diya..












Tuesday, June 24, 2014

Kismat Ki Chader Pe Hai Kai Silvatein..


Kismat ki chader pe hai kai silvatein..
Kuch dard se kara rahi hai toh 
Kuch waqt se ladh ke thak gayi..
Jaise har roz ki subah shaam se 
Ulhajte ulhajte haar gayi..
Be-zuban si hai taqdeer, 
Seene se jaise latakti saanso ki zanzeer..
Ghut ghut ke jee rahi hai jaise aankhon se zindagi..
Yeh chader maili haddi ke dhanche se lipti hui..
Kahin se roti hui kahin se sisakti hui 
Apni zindagi ke halat bayaan karti hui..
Yeh hai kismat ki chader gareeb ke naseeb ki..

Saturday, June 21, 2014

The World Has Changed From...



 The world has changed from 
Simple living to modern living..
Latest inventions of technology, gadgets,etc 
Have made life easy within the touch of a button..
  today, we enjoy the facilities of electronics..
But you must have felt the 
Change in your life from the past..
You are happy ,since, you are in touch 
With all the modern amenities available..
We got many gadgets that made life comfortable.. 
But have you seen the change world is facing today..
Slowly slowly our life is soffocated 
With the chemicals available in air..
Today, environment is damaged with 
The reaction of chemicals used in technology..
Technology products are hazardous
For our life & other living creatures on earth..
Now a days many of us are facing 
Health hazards at this young age..
Heard about world warming signs just in news or
When world face some climate problems, 
But still people are not really worried about it..
Signs & singals of climate &
Earth warming around the world
For all this reactions of latest
Technology gadgets available in our daily life..
Think today what we lost & what we found
When we are facing so much
Problems with today's climate,
What are we going to leave
For tomorrow's generations..
Invent new product with technology
But at the same time see not to
Harm mother earth as their are other
Creatures present who will
Suffer too with latest technology..