Monday, June 13, 2011

Kya dard hai aisa.....




Kal tak thay jo tumhare saath
Ab hogaye hain durr..
Phir yeh tumhari aankhen
Kiska rasta dekhti
Rehti hain baar baar...
Kya dard hai aisa jo
Andhar rakh baithi ho ab tak tum..
Koi to isko bataye
Is jahan se jaane wale 
Kabhi laut kar nahi aate
Phirse zindagi mein..