Wednesday, June 8, 2011

Koi lauta de...



Koi lauta de mere bheetay hue pal.
woh bachpan ke kal..
woh anjaane se pal.
na tha koi darr.
bas haath mein tha maa ka aanchal.
baba ka haath thaam kar 
gujar gaya baalpan.
aayi jawani, thodi si hui sayaani.
natkhat aur chanchal si bani.
titli ki tarah udhti idher udher.
lag gaye pahare band gayi haddein.
jab nazarein hui behchain.
baand diya kisi khaas ke sangh.
aaj yaad aa gaya woh 
bachpan, aur alhar pan.
wah kya tha mera jeevan.
phir koi lauta de mere bheetay hue pal..