Saturday, March 19, 2011

RISHTEY..

Rishton ki dor,
Aaj insaan hai kamzor.
Rehgaye hain akle apno ke hote..
Dil pe hai dard ka pahar,
Aankhon mein aasnuo ka sailaab.
Khushiyon ka qatl ho gaya jab
Baghban bikhar sa gaya..
Apno ne hi apno ka daaman
Taar taar kar diya..
Pyaar ki jagah nafrat
Ka beej boh diya.
Lalach ki aandhi
Ne rishton ke
Beech dewaar baandi
Insaan us dewaar mein
Daffan hota gaya.
Rishton ka mahatva
Khatam sa ho gaya.
Jis pyaar aur mohabbat se
Rabbji ne insaan ko sincha,
Insaan us rabbji ki
Takat ko bhool gaya.
Eh insaan naa faer
Nazrein in rishton se,
Zindagi ke har mor pe
Yeh rishtey hain tere humsafar.
Yeh to jeevan ki rail hai,
Rishton ka khel hai,
Station aa gaya dekho woh
Insaan kahan gaya.
Dhire dhire sab dhundla gaya.
Rishta ek yaad banke
Aansuon mein beh gaya...