Wednesday, March 23, 2011

DOR


Dor mein uski bandh gaya hai har ek.
Sab hain kisi rishte ki dor mein bandhe..
Toh yeh dor itni sakht kyun nahi.
Kyun humne is dor ko
Sahi tarah se thama nahi.
Kyun itni deel di ki har ek
Karta hai apni mann mani.
Har ek ki apni kahani.
Abh khoon bi ho gaya hai paani.
Apno ki dor mein, faasle aa gaye.
Apni zindagi daav per rakh di 
Har ek ho gaya hai apni 
Zindagi ka khiladi aur juari.
Jo dor apno ne di woh
Kyun sambhali nahi jati.
Har ek ho gaya hai 
Suwarthi(selfish).
Kyun apne hi
Haathon se dor chhod di.
Ish dor ko naa tor, aur naa kaat,
Ke har moti tutkar bikhar jaye.
Yeh hai anmol dor 
Apne bhuzurgon ki savgaat..
thaam le, sambhal le 
jab tak hai dil se 
saanso ki dor ka saath..