Monday, March 21, 2011

MAIN AUR TUM

Maine to tumara naam pucha,
Tumne woh bi nahi bataya.
Aur tumne to
Meri umar tak puchli.
Kitna differences aagaya ab.
Tumhe (boy) apna naam bi
Chuppake rakhna padta hai.
Aur yeh main (girl) hoon ki
Apna naam aur umar
Sidha bol deti hoon.
Abhi tak india ne
Itni tarki kar li
Per tumari(boy) soch abhi
Bhi wohi purani hai.
Yeh samajh mein nahi aata
Kya hogaya hai tume(boys),
Kyun phiche reh
Jate ho har baat mein.
Main (girl)dekho kitne
Faasle paar kar diye.
Aur aaj aage nikal aayi hoon.
Aao saath saath chalte hain.
Mil ke yeh soch badal de.
Ab ladke aur ladki mein
Koi farak nahi hai..