Monday, March 14, 2011

DIL NE KHA MANN SE...


Dilne kaha mann se...
Tum toh ho mere dost,
Jis par kiya tha aitbaar.
Tha tum per pura vishwas.
Banaya tha tumko apna rajdaar.
Per tumne toh kar
Diya mera parda faash.
Tum ho dokhe baaj..
Sahi kahte hain sab..
Tumhare sangh dosti karne se
Dagga hi milti hai..
O bawanre mann kyun na socha
Ek pal teri chanchalta se 
Kitna hua hai mujhe dard 
In aankhon mein dekhle..