Friday, May 23, 2014

Tera Bi Dil Roya Hai..

Kya hai apna kya paraya, 
Mujhe nahi yeh aaj tak samajh mein aaya.. 
Teri yeh zameen tera aasmaan, 
Phir kyun karte ho yun pareshaan..
Diya hai roz ki qiston pe yeh jeevan 
Phir yeh kaisi hai tere sansar ki laalach..
Yahan barosa agle pal ka nahi aur 
Karz barson ka diya hai sar pe..
Khwaishein hain ke ubhar aati hai nayi nayi..
Takdeer hai ke har pal saath dehti nahi..
Jeevan ki raah se gujarte
Waqt ke haathon se bachta raah par 
Na jane kyun teri is nagri mein, 
Bekaar nazar aane laga..
Tamannayein jaagti hai aasmaan dekh ke  
Mera bi apna koi ho is dharti pe..
Lakhon ki bheed mein bi naa jane
Main kyun akela phansa is beech raah par..
Barsaat ki boondo ko dekh ke lagta hai 
Tera bi dil roya hai aaj mujhe is halaat mein dekh kar..