Mitti ke putlon se jude hain yeh kaise
anmol rishte..
Bas dil ki dhadkon se jaise saanse ho
kheech te..
Har raah pe hai bassi mandi,
Dosti se lekar jahan bikti hai rishte ki
dori..
Bik gaya raja to bik gayi hai rani
Ab hai yahan sab dil se bikhari..
Maya ne loot liya dikha ke daulat ki
chamak..
Aandhe ho gaye hain dil aur
Dimaag se yeh lalach ke pujari..
Bik gayi sharam se mitti kabhi thi jo
anmol,
Ab naachta hai paisa udh ke sone aur
chandi ke mol..
Kahan kho gayi woh mala motiyon
wali,
Jis mein sajji thi khushali naseebo wali..
Ab badlta musam bi lagta hai mitti se
khafa sa..
Nafrat ki lehar hai hawaon mein
Jalan se tapp gaya hai mahol jahan
ka..
Ab kahan apno mein se koi lagta
apna,
Bas deekhava hai jhoote
Pyaar ka pehn ke chasma..
Badla hai aur badal jayega yeh panna
Bas phir koi aur qalam hogi aur ek naya
panna.