Wednesday, May 21, 2014

Mausam Kahan Sab Ko Raas Aate Hain..

Kudrat ke mausam kahan sab ko raas aate hain..
Dil ke dard aankhon ke ashq banke beh jate hain..
Bheegi palkein ho ya num aankhen 
Haal-e-dil bayaan kar jati hain..
Intezaar ke pal kat te nahi, 
Masuam aa ke chale jate hain
Par piya milan ko aate nahi..
Mann mera deewana byaa 
Aise mausam mein bi 
Piya milan ki aas liya khada..
Mohabbat hai yeh ya deewaangi
Jo jism mit jaye par 
Piya milan ki aas naa mitte ek pal ko meri..