Saturday, March 2, 2013

Mazhab nahi sikhata...


Mazhab nahi sikhata insaniyat ko 
Nafrat ke aag laga kar jalao..
Phir kyun karte ho mazhab ko 
Badnaam de kar jaat paat ke naam..
Kyun bhulte ho aik hie hai zameen 
Aik hie hai aasmaan..
Aik hie rang hai 
Paani aur khoon ka..
Aik chand aur suraj 
Bi hai aik is srishti mein..
Phir kyun laga ke aag 
Khaak mein ho milate insaniyat ko..
Jo kabhi tera apna naa tha..
Phir kyun lal peela ho raha hai 
Usse mazhab ka naam de kar 
Tabah karne ke liye..
Jisse kabhi tumne racha hie nahi..
Yeh kaisi mohabbat hai,
Eh insaan teri us neeli chhatri wale se 
Ke tum uski sikhayi hui insaaniyat hie 
Bhool gaya rakshas ko dekh kar..