Friday, March 22, 2013

Kaisa yeh Karmon Ka Lekha Chokha...




Paet ki bhook aur majboor haalat 
Rula dete hain aankhon se aansuon ko..
Kaisa hai yeh karmon ka tarazu 
Jo upar niche hota rehta hai humesha..
Kyun nahi hai sab ek samaan,
Jaise do aankhen ya do haath..
Suna hai sab ka malik ek hai 
Toh phir kyun hai dilon mein 
Itna antar aur bedh baav..
Dekha nahi jata aankhon se 
Samane wale ka dard aur haalat..
Soch ke ho jata hai 
Dil majboor aur laachar 
Kya yeh hai apne apne 
Karmon ka hissab kitaab..
Jiske liye hum karte hain 
Har din prathna subah aur shaam..
Eh malik tere bandhe hum..
Phir bi bhara hai 
Kitna kapat aur ghamandh..
Sheesh nimate toh hain 
Kar ke naa jane kitne 
Gunah aur dilon ko tang..
Phir bi kehte hain tu dayalu bada 
Rakh de mujhe apne charno mein ab.
Waah re malik jab sab hai khel tera 
Phir kaisa yeh karmon ka 
Lekha chokha ka hissab 
Baith ke jodta hai 
Apne khilono ke saath..