Friday, March 1, 2013

Itna padh likh ne ke baad bi..




Itna padh likh ne ke baad bi 
Kyun hai insaan naa samajh sa.. 
Apne haathon se aane wali peedi ke liye
Kya yeh khaak ki saugaat chhor ke jayenge..
Aaj hai jeena mushkul is mehngai mein..
Kabhi socha aane wale kal mein,
Kaise jee payenge bina paani aur petrol ke..
Aaj roti ko tarasta hai muh toh rota hai dil ditkaar se...
Kya kiya yeh sansar mein aake..
Kahan se aayi yeh dayan mehngai saamne..
Dasti hai kali nagin ki tarah har baar aake saamne..
Hua mehnga sab kuch bazaar mein..
Bas bikta hai ab insaan kodiyon ke baav se..