Monday, April 21, 2014

Riston ki dewaron mein


Naa jane kaisi chal rahi hain yeh hawayein..
Riston ki dewaron mein 
Nazar aati hain khul ke dararein..
Chhupaye kai jhoot aankhon mein 
Jhooti si hain labon pe muskaane..
Yaad aagaye aaj waqt purane 
Kahan kho gayi woh sanskar aur saugatein..
Janam ke riston mein ab kahan hai mithas 
Bas nazar aati hai jalan aur khatas..
Anmol riston ki jagah gehron ne le li,
Ab kahan hai jaroorat apno ki kahin bi..
Daulat ne rang apne aise dikhaye ke
Lalach mein aake bhool gaye 
Mol apne aur paraye mein..
Kaisa nakaab maya ka aankhon pe rakha 
Khoon bi ab paani sa nazar aane laga.. 
Kured ke zakhm dard bhare 
Kyun sare aam apno ke dil ko ghayal kare.. 
Waqt aata nahi laut ke kabhi kisi ke liye 
Thaam le ab bi hai tere daaman mein 
Jo anmol rishte apno ki saugaat se mile hue..
Warna reh jaaoge pachhtate aur
Haath malte hue humesha ke liye..
Nafrat ki nazaron se aag niklegi badle ki
Jab julas jayegi anmol dor rishte ki, 
Phir baith ke khushi se mattam manana 
 kisi apne ka parayon ke saath..