Friday, April 25, 2014

Ek Jeevan Mila Usse Bi...


Ek jeevan mila usse bi
Lalach ne til til ke jala diya..
Kabhi khawishon ne toh kabhi
Khwabon ne ulhja diya..
Daudta hai chakra samay ka
Sab ki nazar mein ek samaan,
Par pal alag ho jate hain
Karmon ke hissab se..
Muthi bandh hoti hai toh
Sab ungliyan mil jati hain hathli se
Warna har ungli toh apne kad ke
Naap se alag hai ek dusre se..
Waise hum sab bhi nazar aate hain aise..
Kabhi nahi samajhe bas lalach ke
Aaine ko roz dekh ke khush ho jate..
Dhoondte rahe dusre ke ehab aur avgun,
Fursat hie nahi kabhi dekhein
Nazron se kis ke sadgun..
Yeh mann hai chanchal jo aankhon ko
Dikhana hie nahi chahata apne aapko..
Bhagata hai, lalachta hai
Ajeeb si soch vichaar ke khayalon mein...
Bas subah se raat tak
Daudte hain mann ke ghulam ho kar..
Naa samajhe uski chaal
Toh lurak jaye bich raah par..
Waqt chalta hie rehta hai apni kamaan pakad kar
Bas yeh zindagi hai jo ruk jati hai saanso ki dor tutne par..
Jalta hai jeevan janam se maran tak til til kar yunhi har pal..