Badi
nazuk hai yeh riston ki kadiyan
Judi hui zindagi ki zanzeer mein..
Judte gaye har baar ek naaye rishte se
Jab kholi palkein choti choti si..
Ajab se gajab lage yeh rishton ke chehre..
Anmol se ratano se saje zanzeeron mein..
Har kadi hai aise judi zanzeer se
jaise ho mala mamta ki..
Dekte dekte yeh zanzeer
riston ki lagne lagi tang si..
Sab kadiyan zanzeer ki lagi khiskne
Jab koi kadi toot ke alag hui..
Kaise ajeeb si hain yeh rishton ki zanzeer ki kadiyaan..
Saath saath toh hain aaj bi zindagi ki zanzeer mein
Par gutan jyada aur khushi kam
Nazar aati hai in riston ki zanzeer mein..
Ab toh koi kadi hie nahi rahi
Majboot ke zanzeer ko sambhale
Jab zindagi ki zanzeer ne tar tar
Kar diye rishton ki zanzeer ke daage..
Naa hai ab koi rishta zanzeer ka,
Naa hai koi kadi zanzeer mein nazar aati..
Ajeeb se lagti hain yeh
Zindagi ki zanzeer bina rishton ki kadiyon ke..