Thursday, February 13, 2014

be-sabr kyun hai aaj kal insaan. (impatient)






Kahan kho gaya hai sabr insaan ka...
Sab ko jaldi jana hai kahin na kahin..
Jahan nazar pade har taraf hai
Be-sabri se khade katar mein kai..
Be-sabr ho jate hain aise ke
Phank laga ke udh chale jaldi se jaldi..
Badla bahut kuch toh khoya bi
Bahut kuch kisi na kisi ne be-sabr ho kar..
Chhoti chhoti baat par junjulaat aur
Gussa aa jata hai aise ke aaya ho
Toofan aur buchaal dimaag mein...
Kya ho gaya hai is insaan ko jo
Naa hai apni koi fikar naa hie hai
Kisi aur ke dard ka ehsaas..
Aisi bi kya besabri jo kuchal de dil ka sukoon..